Muhammad Mustafa Salley Ala Ki Aaj Mehfil Hai Ek Nihayat Hi Roohani Aur Barkat Bhari Naat-E-Pak Hai. Is Haseen Kalam Ke Shayer Janab Khwaja Muhammad Akbar Warsi Sahab Hain Jinhone Isme Sarkar Ki Mehfil Ki Barkaton Ka Zikr Kiya Hai. Niche Is Paak Kalam Ke Mukammal Lyrics Roman, Hindi Aur Urdu Zabaan Mein Mulahiza Farmayein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Muhammad Mustafa Salley Ala Ki Aaj Mehfil Hai |
| Poet / Writer | Khwaja Muhammad Akbar Warsi |
| Category | Naat Sharif |
| Naatkhawan / Reciter | Alhaj Owais Raza Qadri |
| Book Name | Barkate Raza Naat Book |
Muhammad Mustafa Salley Ala Ki Aaj Mehfil Hai Lyrics In Roman
Muhammad Mustafa Salley Ala Ki Aaj Mehfil Hai
Habibe Kibriya, Salley Ala Ki Aaj Mehfil Hai
Parho Salley Ala, Salley Ala, Salley Ala, Har Dam
Ke Mehboobe Khuda, Salley Ala, Ki Aaj Mehfil Hai
Muhammad Mustafa
Wuzu Se Aaein, Bethein, Ba Adab, Bhejein Durood Unpar
Jahan Ke Rehnuma Salley Ala Ki Aaj Mehfil Hai
Muhammad Mustafa
Farishtey Alamey Bala Se Sun, Sun Kar Yeh Kehte Hain
Chalo Noore Khuda, Salley Ala, Ki Aaj Mehfil Hai
Muhammad Mustafa
Huey Hai Jis Ke Faizey Noor Se Donon Jahan Raushan
Usi Shamsud Doha, Salley Ala, Ki Aaj Mehfil Hai
Muhammad Mustafa
Nikala Jis Ne Chashmah Aab Ka Ungli Se Jangal Mein
Usi Behre Sakha, Salley Ala Ki Aaj Mehfil Hai
Muhammad Mustafa
Duaein Mangley Jo Mangni Hon Haqq Se, Aey Akbar
Tere Mushkil Kusha, Salley Ala Ki Aaj Mehfil Hai
Muhammad Mustafa
Muhammad Mustafa Salley Ala Ki Aaj Mehfil Hai Lyrics In Hindi
मुहम्मद मुस्तफ़ा सल्ले अला की आज महफ़िल है
हबीबे किब्रिया, सल्ले अला की आज महफ़िल है
पढ़ो सल्ले अला, सल्ले अला, सल्ले अला, हर दम
के महबूबे खुदा, सल्ले अला, की आज महफ़िल है
मुहम्मद मुस्तफ़ा
वज़ू से आएँ, बैठें, बा अदब, भेजें दुरूद उनपर
जहाँ के रहनुमा सल्ले अला की आज महफ़िल है
मुहम्मद मुस्तफ़ा
फ़रिश्ते आलमे बाला से सुन, सुन कर ये कहते हैं
चलो नूरे खुदा, सल्ले अला, की आज महफ़िल है
मुहम्मद मुस्तफ़ा
हुए हैं जिसके फ़ैज़े नूर से दोनों जहाँ रौशन
उसी शम्सुद दोहा, सल्ले अला, की आज महफ़िल है
मुहम्मद मुस्तफ़ा
निकाला जिसने चश्मा आब का उंगली से जंगल में
उसी बहरे सखा, सल्ले अला की आज महफ़िल है
मुहम्मद मुस्तफ़ा
दुआएँ माँगले जो माँगनी हों हक़ से, ऐ अकबर
तेरे मुश्किल कुशा, सल्ले अला की आज महफ़िल है
मुहम्मद मुस्तफ़ा
Muhammad Mustafa Salley Ala Ki Aaj Mehfil Hai Lyrics In Urdu
محمد مصطفیٰ صلی علیٰ کی آج محفل ہے
حبیبِ کبریا، صلی علیٰ کی آج محفل ہے
پڑھو صلی علیٰ، صلی علیٰ، صلی علیٰ، ہر دم
کہ محبوبِ خدا، صلی علیٰ، کی آج محفل ہے
محمد مصطفیٰ
وضو سے آئیں، بیٹھیں، با ادب، بھیجیں درود ان پر
جہاں کے رہنما صلی علیٰ کی آج محفل ہے
محمد مصطفیٰ
فرشتے عالمِ بالا سے سن، سن کر یہ کہتے ہیں
چلو نورِ خدا، صلی علیٰ، کی آج محفل ہے
محمد مصطفیٰ
ہوئے ہیں جس کے فیضِ نور سے دونوں جہاں روشن
اسی شمس الضحیٰ، صلی علیٰ، کی آج محفل ہے
محمد مصطفیٰ
نکالا جس نے چشمہ آب کا انگلی سے جنگل میں
اسی بہرِ سخا، صلی علیٰ کی آج محفل ہے
محمد مصطفیٰ
دعائیں مانگ لے جو مانگنی ہوں حق سے، اے اکبر
تیرے مشکل کشا، صلی علیٰ کی آج محفل ہے
محمد مصطفیٰ