Kabhi Barbaad Aaqa Zindagi Hone Nahi Dete Naat Lyrics || Barkate Raza


Yeh Ek Nihayat Hi Pyaari Aur Ruhani Naat Sharif Hai Jis Mein Huzoor Alaihissalam Ki Rehmat Aur Sakhawat Ka Zikr Kiya Gaya Hai. Is Khoobsurat Kalaam Ko Padh Kar Dil Ko Sukoon Aur Rooh Ko Tazgi Milti Hai. Aaiye Is Barkat Se Bhare Kalaam Ke Paakeeza Alfaaz Ko Dil Se Mehsoos Karein.

Naat InformationDetails
Naat TitleKabhi Barbaad Aaqa Zindagi Hone Nahi Dete
Poet / WriterUjaagar
CategoryNaat Lyrics
Naatkhawan / ReciterAlhaaj Owais Raza Qadri
Book NameBarkate Raza Naat Book

Kabhi Barbaad Aaqa Zindagi Hone Nahi Dete Lyrics In Roman

Kabhi Barbaad Aaqa Zindagi Hone Nahi Dete
Ataa Ki Barishon Me Woh Kami Hone Nahi Dete

Hamesha Woh Hamein Ajaaz Par Ajaaz Dete Hain
Nikamma Hone Ka Ehsas Bhi Hone Nahi Dete

Nabi Ke Naam Ki Jo Har Jaga Mehfil Sajaate Hain
Phir Unke Naam Ko Neecha Nabi Hone Nahi Dete

Labe Kawthar Aansuon Ko Labaa Lab Jaam Dete Hain
Sare Mehshar Kisi Ko Tishnagi Hone Nahi Dete

Inhi Ke Yaad Se Aabaad Hai Dil Bhi Ujaagar Ka
Kabhi Veeraan Woh Dil Ki Gali Hone Nahi Dete

Kabhi Barbaad Aaqa Zindagi Hone Nahi Dete Lyrics In Hindi

कभी बर्बाद आक़ा ज़िन्दगी होने नहीं देते
अता की बारिशों में वो कमी होने नहीं देते

हमेशा वो हमें एज़ाज़ पर एज़ाज़ देते हैं
निकम्मा होने का एहसास भी होने नहीं देते

नबी के नाम की जो हर जगह महफ़िल सजाते हैं
फिर उनके नाम को नीचा नबी होने नहीं देते

लबे कौसर आंसुओं को लबालब जाम देते हैं
सरे महशर किसी को तिश्नगी होने नहीं देते

इन्हीं की याद से आबाद है दिल भी उजागर का
कभी वीरान वो दिल की गली होने नहीं देते

Kabhi Barbaad Aaqa Zindagi Hone Nahi Dete Lyrics In Urdu

کبھی برباد آقا زندگی ہونے نہیں دیتے
عطا کی بارشوں میں وہ کمی ہونے نہیں دیتے

ہمیشہ وہ ہمیں اعزاز پر اعزاز دیتے ہیں
نکما ہونے کا احساس بھی ہونے نہیں دیتے

نبی کے نام کی جو ہر جگہ محفل سجاتے ہیں
پھر ان کے نام کو نیچا نبی ہونے نہیں دیتے

لب کوثر آنسوؤں کو لبا لب جام دیتے ہیں
سر محشر کسی کو تشنگی ہونے نہیں دیتے

انہیں کی یاد سے آباد ہے دل بھی اجاگر کا
کبھی ویراں وہ دل کی گلی ہونے نہیں دیتے

Leave a Comment