Nazar Ik Chaman Se Do Chaar Hai Naat Lyrics

Nazar Ik Chaman Se Do Chaar Hai Naat Lyrics

Nazar Ik Chaman Se Do Chaar Hai Na Chaman Chaman Bhi Nisaar Hai

Ajab Uske Gul Ki Bahaar Hai Ki Bahaare Bulbule Zaar Hai

Na Dile Bashar Hi Figaar Hai Ki Malak Bhi Uska Shikaar Hai

Yeh Jahaa(N) Ki Hazda Hazaar Hai Jise Dekho Uska Hazaar Hai

Nahi Sar Ki Sajda Kuna(N) Na Ho Na Zabaa(N) Ki Zamzamaa Khwaa(N) Na Ho

Na Woh Dil Ki Uspe Tapaa(N) Na Ho Na Woh Seena Jis Ko Qaraar Hai

Woh Hai Bheeni Bheeni Waha(N) Mahak Ki Basa Hai Arsh Se Farsh Tak

Woh Hai Pyari Pyari Waha(N) Chamak Ki Waha(N) Ki Shab Bhi Nahaar Hai

Koi Aur Phool Kaha(N) Khile Na Jagah Hai Joshishe Husn Se

Na Bahaar Aur Pe Rukh Kare Ki Jhapak Palak Ki To Khaar Hai

Yeh Saman Yeh So-Sano Yaasman Yeh Banfasha Sumbulo Nastaran

Gulo Sarwo Laalah Bhara Chaman Wohi Ek Jalwa Hazaar Hai

Yeh Saba Sanak Woh Kali Chatak Yeh Zabaa(N) Chahak Labe Joo Chalak

Yeh Mahak Jhalak Yeh Chamak Damak Sab Usi Ke Dam Ki Bahaar Hai

Wohi Jalwa Shahar Ba Shahar Hai Wohi Asle Aalamo Dahar Hai

Wohi Bahar Hai Wohi Lahar Hai Wohi Paat Hai Wohi Dhaar Hai

Woh Na Tha To Baagh Mein Kuch Na Tha Woh Na Ho To Baagh Ho Sab Fanaa

Woh Hai Jaan Jaan Se Hai Baqaa Wohi Bun Hai Bun Se Hi Baar Hai

Yeh Adab Ki Bulbule Benawa Kabhi Khul Ke Kar Na Sake Nawaa

Na Saba Ko Tez Rawish Rawa Na Chalakti Nehro(N) Ki Dhaar Hai

Ba Adab Jhuka Lo Sare Wilaa Ki Main Naam Loo(N) Gulo Baagh Ka

Gule Tar Muhammade Mustafa Chaman Un Ka Paak Dayaar Hai

Wohi Aankh Un Ka Jo Munh Take Wohi Lab Ki Mehw Ho Na’at Ke

Wohi Sar Jo Unke Liye Jhuke Wohi Dil Jo Un Pe Nisaar Hai

Yeh Kisi Ka Husn Hai Jalwagar Ki Tapaa(N) Hain Khoobon Ke Dile Jigar

Nahi(N) Chaak Jaibe Gulo Sahar Ki Qamar Bhi Seena Figaar Hai

Wohi Nazre Shah Mein Zare Nikoo Jo Ho Unke Ishq Mein Zard Roo

Gule Khuld Usse Ho Rang Joo Yeh Khazaa(N) Woh Taaza Bahaar Hai

Jise Teri Saffe Ni’aal Se Mile Do Niwaale Nawaal Se

Woh Bana Ki Uske Ugaal Se Bhari Saltanat Ka Udhaar Hai

Woh Uthi(N) Chamak Ke Tajalliyaa(N) Ki Mita Di Sab Ki Tajalliyaa(N)

Dilo Jaa(N) Ko Bakhshi Tasalliyaa(N) Tera Noor Baarido Haar Hai

Rusulo Malak Pe Durood Ho Wohi Jaane Unke Shumaar Ko

Magar Ek Aisa Dikha To Do Jo Shafi’e Roze Shumaar Hai

Na Hijaab Charkho Maseeh Par Na Kaleemo Toor Nihaa(N) Magar

Jo Gaya Hai Arsh Se Bhi Udhar Woh Arab Ka Naaqa Suwaar Hai

Woh Teri Tajalliye Dilnasheen Ki Jhalak Rahe Hain Falak Zamee(N)

Tere Sadqe Mere Mahe Mubee(N) Meri Raat Kyun Abhi Taar Hai

Meri Zulmate(N) Hain Sitam Magar Tera Mah Na Mehr Ki Mehr-Gar

Agar Ek Cheent Pade Idhar Shabe Daaj Abhi To Nahaar Hai

Gunahe Raza Ka Hisaab Kya Woh Agarche Laakhon Se Hain Siwaa

Magar Aye Afooww Tere Afw Ka Na Hisaab Hai Na Shumaar Hai

Tere Deene Paak Ki Woh Ziya Ki Chamak Uthi Rahe Istafaa

Jo Na Maane Aap Sakar Gaya Kahi(N) Noor Hai Kahi(N) Naar Hai

Koi Jaan Bas Ke Mahak Rahi Kisi Dil Mein Us Ke Khatak Rahi

Nahi Uske Jalwe Mein Yak-Rahi Kahi(N) Phool Hai Kahi(N) Khaar Hai

Woh Jise Wahabiya Ne Diya Hai Laqab Shaheedo Zabeeh Ka

Woh Shaheede Lailaaye Najd Tha Woh Zabeehe Taige Khiyaar Hai

Yeh Hai Dee(N) Ki Taqwiyat Us Ke Ghar Yeh Hai Mustaqeem Siraate Shar

Jo Shaqee Ke Dil Mein Hai Gaau Khar To Zabaa(N) Pe Choodha Chamaar Hai

Woh Habeeb Pyara To Umr Bhar Kare Faizo Jood Hi Sar Basar

Are Tujh Ko Khaaye Tape Sakar Tere Dil Mein Kis Se Bukhaar Hai

Woh Raza Ke Neze Ki Maar Hai Ki ‘Adoo Ke Seene Mein Ghaar Hai

Kise Chaara Jooee Ka Waar Hai Ki Ye Waar Waar Se Paar Hai

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

%d bloggers like this: