Madine Ki Muqaddas Galiyon Ki Yaad Aur Wahan Ki Noorani Hawaon Se Apni Be-Chaini Ko Sukoon Mein Badalne Ka Haseen Izhaar Karta Yeh Behad Dil-Soz Kalam Hai. Shair Ne Is Naat-E-Paak Mein Gumbad-E-Khazra Ke Saaye Mein Dam Toatne Aur Madine Mein Maut Naseeb Hone Ki Khwahish Ko Nihayat Shauq Se Bayaan Kiya Hai.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Dil Se Hazaar Baar Madinah Tujhe Salaam |
| Poet / Writer | Ujagar (Muhammad Shamim Ujagar) |
| Category | Naat Sharif (Yaad-e-Madina) |
| Naatkhawan / Reciter | Muhammad Ashfaq Attari |
Dil Se Hazaar Baar Madinah Tujhe Salaam Lyrics In Roman
Dil Se Hazaar Baar Madinah Tujhe Salaam
Aaqa Ka Tu Dayaar Madinah Tujhe Salaam
Lareib Khaare Dasht-E-Madinah Ke Husn Par
Qurban Laalazaar Madinah Tujhe Salaam
Tujhse Miti Hamesha Meri Be-Qarariyan
Tu Dil Ka Hai Qaraar Madinah Tujhe Salaam
Toote Mera Jo Dam To Madinah Ho Samne
Ye Dil Ki Hai Pukaar Madinah Tujhe Salaam
Taiba Se Door Kaise Ujagar Rahega Ab
Mushkil Hai Intizaar Madinah Tujhe Salaam
Dil Se Hazaar Baar Madinah Tujhe Salaam
Aaqa Ka Tu Dayaar Madinah Tujhe Salaam
Dil Se Hazaar Baar Madinah Tujhe Salaam Lyrics In Hindi
दिल से हज़ार बार मदीना तुझे सलाम
आक़ा का तू दयार मदीना तुझे सलाम
लारैब ख़ार ए दश्त ए मदीना के हुस्न पर
कुर्बान लालाज़ार मदीना तुझे सलाम
तुझसे मिटीं हमेशा मेरी बे-क़रारियां
तू दिल का है क़रार मदीना तुझे सलाम
टूटे मेरा जो दम तो मदीना हो सामने
ये दिल की है पुकार मदीना तुझे सलाम
तैबा से दूर कैसे उजागर रहेगा अब
मुश्किल है इन्तिज़ार मदीना तुझे सलाम
दिल से हज़ार बार मदीना तुझे सलाम
आक़ा का तू दयार मदीना तुझे सलाम
Dil Se Hazaar Baar Madinah Tujhe Salaam Lyrics In Urdu
دل سے ہزار بار مدینہ تجھے سلام
آقا کا تو دیار مدینہ تجھے سلام
لارَیب خارِ دشتِ مدینہ کے حسن پر
قربان لالہ زار مدینہ تجھے سلام
تجھ سے مٹیں ہمیشہ میری بے قراریاں
تو دل کا ہے قرار مدینہ تجھے سلام
ٹوٹے میرا جو دم تو مدینہ ہو سامنے
یہ دل کی ہے پکار مدینہ تجھے سلام
طیبہ سے دور کیسے اجاگرؔ رہے گا اب
مشکل ہے انتظار مدینہ تجھے سلام
دل سے ہزار بار مدینہ تجھے سلام
آقا کا تو دیار مدینہ تجھے سلام