Yeh Aala Aur Imaan Afroz Manqabat Shehzada E Kounain Maula Imam Hasan Ki Wiladat Aur Shan E Aqdas Mein Likhi Gayi Hai. Is Kalaam Mein Ahle Bait E Athar Ki Azmat Aur Khushi Ka Bayan Nihayat Dilkash Andaz Mein Milta Hai. Is Roohani Manqabat Ko Parh Kar Apne Dil Ko Ishq E Ahle Bait Se Munawwar Karein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Ali Ke Ghar Ki Taraf Hai Nazar Zamane Ki |
| Poet / Writer | Mir Takallum |
| Category | Manqabat Sharif |
| Naatkhawan / Reciter | Farhan Ali Waris |
| Book Name | Barkate Raza Naat Book |
Ali Ke Ghar Ki Taraf Hai Nazar Zamane Ki Lyrics In Roman
Ali Ke Ghar Ki Taraf Hai Nazar Zamane Ki
Khabar Jo Pai Hai Maula Hasan Ke Aane Ki
Mureed Ho Gayi Shabbar Ki Zulfiqar E Ali
Adayein Dekhi Hain Jab Se Qalam Chalane Ki
Woh Aaye Zohar Mein Aur Maa Ke Saath Asar Padhi
Khuda Ke Sajde Mein Aadat Thi Sar Jhukane Ki
Abhi Imame Hasan Pusht Par Hain Baithe Hue
Rasool Kijie Zahmat Na Sar Uthane Ki
Hai Zikre Maula Hasan Panjatan Ki Aamad Hai
Badal Rahi Hain Fazayein Gareeb Khane Ki
Abhi Main Jashne Imame Hasan Mein Aaya Hoon
Ai Maut Ja Abhi Fursat Nahi Hai Aane Ki
Hai Inki Tooti Hui Kabr Se Bhi Khauf Unko
Wo Kaise De De Ijazat Haram Banane Ki
Hai Humko Roze Mein Aadat Takallumo Farhan
Maya Sana E Hasan Peene Aur Pilane Ki
Ali Ke Ghar Ki Taraf Hai Nazar Zamane Ki Lyrics In Hindi
अली के घर की तरफ़ है नज़र ज़माने की
ख़बर जो पाई है मौला हसन के आने की
मुरीद हो गई शब्बर की जुल्फ़िक़ार ए अली
अदाएं देखी हैं जब से क़लम चलाने की
वो आए ज़ोहर में और माँ के साथ अस्र पढ़ी
ख़ुदा के सज्दे में आदत थी सर झुकाने की
अभी इमामे हसन पुश्त पर हैं बैठे हुए
रसूल कीजिए ज़हमत ना सर उठाने की
है ज़िक्रे मौلا हसन पंजतन की आमद है
बदल रही हैं फ़ज़ाएं ग़रीब ख़ाने की
अभी मैं जश्ने इमामे हसन में आया हूँ
ऐ मौत जा अभी फ़ुरसत नहीं है आने की
है इनकी टूटी हुई क़ब्र से भी ख़ौफ़ उनको
वो कैसे दे दे इजाज़त हरम बनाने की
है हमको रोज़े में आदत तकल्लुमो फ़रहान
मय सना ए हसन पीने और पिलाने की
Ali Ke Ghar Ki Taraf Hai Nazar Zamane Ki Lyrics In Urdu
علی کے گھر کی طرف ہے نظر زمانے کی
خبر جو پائی ہے مولا حسن کے آنے کی
مرید ہو گئی شبیر کی ذوالفقار علی
ادائیں دیکھی ہیں جب سے قلم چلانے کی
وہ آئے ظہر میں اور ماں کے ساتھ عصر پڑھی
خدا کے سجدے میں عادت تھی سر جھکانے کی
ابھی امام حسن پشت پر ہیں بیٹھتے ہوئے
رسول کیجیے زحمت نہ سر اٹھانے کی
ہے ذکر مولا حسن پنجتن کی آمد ہے
بدل رہی ہیں فضائیں غریب خانے کی
ابھی میں جشن امام حسن میں آیا ہوں
اے موت جا ابھی فرصت نہیں ہے آنے کی
ہے ان کی ٹوٹی ہوئی قبر سے بھی خوف ان کو
وہ کیسے دے دیں اجازت حرم بنانے کی
ہے ہم کو روزے میں عادت تکلم و فرحان
مئے ثنائے حسن پینے اور پلانے کی