Hazrat Makhdoom Syed Auhad-ud-deen Ashraf Jahangir Simnani

Hazrat Makhdoom Sayyed Auhad-ud-deen Ashraf Jahaangeer Simnani rahmatullāhi alaihi :
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦

Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Jahaangeer, Mehboob-e-Yazdaani, Ghauṡ-ul-aalam.

****
Aap ki wilaadat 708 Hijri (1308 A.D.) Simnan (Iran) me hui.

Aap ke waalid ka naam Sultaan Sayyed Ibrāheem Noor Bakhshi bin Sayyed Imaad-ud-deen aur waalida ka naam Bibi Khadeeja Begum binte Khwaja Ahmad Yasawi hai.

Aap Husaini Saadaat hain.

Aap ke waalid Simnan ke Sultaan the.

****
Aap ke waalidain ko betiya hi thi, koi beta nahi tha. Ek baar subah ke waqt dono musalle par the. Itne me Hazrat Ibrāheem Majzoob rahmatullāhi alaihi un ke mahel me aaye. Sultaan Sayyed Ibrāheem Noor Bakhshi un ke isteqbaal ke liye aage aaye. Hazrat ne un se farmaaya ke ‘Tum bete ke liye khwaahish-mand ho.’ Sultaan ne kaha ‘Agar aap ki dua se hume wo mil jaaye to hum bahot khushnaseeb honge.’ Hazrat ne farmaaya ‘Is ki qeemat bahot zyada hogi kyun ki main tumhe bahot qeemati ne’amat dilaane wala hu.’ Sultaan ne kaha ‘Aap hukm karen.’ Hazrat ne imtihaan lene ke liye farmaaya ke ‘Tum mujhe 1000 deenaar do.’ Sultaan ne foran aap ko 1000 deenaar hadiya de diya. Hazrat ne khush hokar dua di ke ‘Aye Ibrāheem, In sha Allāh jald hi tumhari muraad puri hogi.’

******
7 saal me Aap Haafiz e Qur’an hue aur Qir’at ki 7 qism ke maahir hue.

Phir Aap ne Maulana Imaad-ud-deen Tabrizi, Imaam Abdullāh Yaafai (Makkah mukarrama), Baba Mufrah bin Khwaja Najm-ud-deen Kubra (Iskandaria) aur Maulana Ahmad Haqqaani aur deegar masha’ikh aur ulama se taaleem haasil ki.

******
15 saal ki umr me Aap ke waalid ke inteqaal ke baad Aap Simnan ke Sultaan bane.
Aap bahot hi aadil baadshaah the.

23 saal ki umr me Hazrat Khwaja Uwais Qarni radiy-Allāhu ta’ala anhu aap ke khwaab me aaye aur Aap ko Azkaar e Uwaisia sikhaaye. Aap ne in ka wird karna jaari rakha.

3 saal baad Hazrat Khizr alaihis salaam ne aakar Aap ko bashaarat di ke ‘Aye Ashraf! Dunya me aap ke aane ka asl maqsad kuchh aur hai. Aap Hindustan jaao waha Pandwa (Bengal) me Makdoom Shaikh Ala-ul-Haq Ganj e Nabat Chishti aap ka intazaar kar rahe hain, Un se faiz haasil karo.’

Aap ne apni waalida se ijaazat lekar Hindustan ki taraf apna safar shuru kiya. Shuru me 12000 sipaahi Aap ke saath the. 3 manzil ke safar ke baad Aap ne sab ko waapis lautne ke liye kaha. Aur ek khaadim ke saath apna safar jaari rakha. Phir kuchh waqt baad use bhi lauta kar tanha safar jaari rakha.
Hazrat Ala-ud-daula Simnani rahmatullāhi alaihi ne Aap ke saath kuchh waqt safar kiya aur Aap ko wohi khushkhabari sunai.
Jab aap Uch shareef (Multan) pahunche to waha Hazrat Makhdoom Jahaaniya jahaan-gasht Jalaal-ud-deen Bukhari rahmatullāhi alaihi se mulaaqaat hui aur unho ne bhi wohi khushkhabari sunai.
Aap kuchh din waha rookne ke baad phir safar karte hue Hazrat Daata Ganj-bakhsh Lahori rahmatullāhi alaihi ke mazaar par pahunche aur waha faiz haasil kiya.
Phir aap Delhi pahunche aur Hazrat Khwaja Qutb-ud-deen Bakhtiar Kaaki rahmatullāhi alaihi ke and phir Hazrat Khwaja Nizaam-ud–deen Auliya Mehboob e Ilāhi rahmatullāhi alaihi ke mazaar par pahunche aur waha faiz haasil kiya.

Aakhir me jab aap Pandawa Shareef pahunche to Shaikh Ala-ul-Haq rahmatullāhi alaihi pehle se Doli ke saath Aap ke istaqbaal ke liye tayyaar the. Aap un ke qadmo me jaa pade. Hazrat Shaikh Ala-ul-Haq ne Aap ko mureed banaakar Chishtiya Nizaamiya ki khilafat ata farmai.
4 saal apne peer ki sohbat me rehkar Aap ne Tareeqat, Haqeeqat wa ma’arefat ka ilm haasil kiya.

****
Tasannif :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ne bahot saari kitaaben likhi hain :
(1) Kanz ul Asraar
(2) Fataawa Ashrafia
(3) Lata’if-e Ashrafi
(4) Sirr ul Asqaar
(5) Sharh e Awaarif ul Ma’arif
(6) Sharh e Fusoos ul Hakam
(7) Sharh e Sikandar Naama
(8) Qawaa’id ul Aqaa’id
(9) Ashraf-ul-Ansaab
(10) Bahr-ul Azkaar
(11) Fawaa’id ul Ashraf
(12) Tanbeeh ul Akhwaan
(13) Bashaarat uz zaakireen
(14) Bashaarat ul Ikhwaan
(15) Irshaad ul Ikhwaan
(16) Musta Lehate Tasuwwuf
(17) Manaaqib e Khulfa e Rashideen
(18) Hujjal uz Zaakireen
(19) Tafseer e Noor Bakhia
(20) Risaala Wahaadat-ul-Wajood
(21) Risaala Dar Tajweez e tane Yazeed
(22) Bahr ul Haqaa’iq
(23) Nahw e Ashrafia
(24) Kanz ud Daqaa’iq
(25) Bashaarat ul Mureedeen
(26) Deewaan–e–Ashraf.

♦ Aap ke khalifa Hazrat Makhdoom Sayyed Abdur Razzaaq Noor-ul-ain Ashrafi rahmatullāhi alaihi ne ‘Maktubaat e Ashrafi’ kitaab me aap ke khato aur dars ko jama kiya hai.

******
Aqwaal :
¯¯¯¯¯¯¯
(1) Har Buzurg ki koi baat amal karte raho kaamyaab ho jaaoge.

(2) Khidmat e khalq Nawaafil se zyada afzal hai.

(3) Peer ko kabhi bhi mureed ke maal o daulat ki laalach nahi rakhni chaahiye.

******
Karamaat :
¯¯¯¯¯¯¯¯¯
(1) Ek baar aap Ameer Taimur ki saltanat se guzar rahe the. Us ne Aap ka istaqbaal aur ta’azeem kiya. Pahaadi par chadhte waqt Ameer Taimur ne Hazrat Makhdoom Simnani se kaha ke ‘Jaha tak aap ki nazar jaae waha tak ka ilaka aap ko tohfe me de sakta hu.’
Aap ne us se farmaaya ke ‘Main jaha tak dekh sakta hu, wo ilaka tumhari saltanat me nahi hai.’ Ye kehkar aap ne Ameer Taimur ke sar par apna daste mubarak rakha aur farmaaya ke ‘Ab tum kya dekhte ho?’ Ameer Taimur ne kaha ke ‘Mujhe Makkah mukarrama aur Madeena munawwara nazar aa raha hai.’ Aap ne farmaya ke ‘Kya ye tumhari hukoomat me hai?’ Ameer Taimur ne sharminda hokar inkaar kiya. Aur us ki aqeedat aur bhi mazboot ho gai.

(2) Ek baar ek aurat apne bache ko lekar aai jo marne ke qareeb tha. Jab wo Aap ki baargaah me pahunchi to bache ki saans rook gai. Us aurat ne rote hue kaha ke ‘Aap ALLĀH ke wali hain. Mujhe mere bete ki zindagi waapis dilaiye.’ Aap ne farmaaya ke ‘Zindagi aur maut ALLĀH ta’ala ke haath me hai.’ Ye sunkar wo budhiya bahut buri tarah rone lagi. Ye dekhkar aap ne jalaal me aakar kaha ‘Jaao, Main apni zindagi me se 10 saal tumhare bete ko dilaata hu.’ Is ke baad aap ki dua se wo ladka zinda ho gaya aur 10 saal tak zinda raha.

(3) Pandawa Shareef se waapis aane ke baad ek baar israaq ke waqt aap apne mureedo ke saath baithe the. Itne me kuchh log aap ke paas ek zinda shakhs ko kafan me letakr laaye aur us ki janaaza padhane ke liye kaha. Aap ne pehle mana kiya. Phir jab unho ne bahut zor kiya to aap ne apne ek shagird ko janaaza padhakar us ki khwaahish puri karne ke liye kaha. Us ne janaaza padha di. Phir wo log us shakhs ke khade hone ka intazar karne lage. Magar jab kafan ko kholkar dekha to wo shakhs murda ho gaya tha.

(4) Ek baar aap apne mureedo ke saath Banaras se guzar rahe the. Aap ka ek mureed mandir me ek but ko dekhkar waha rook gaya. Aap ko kuchh door jaakar is baat ka pata chala. Aap ne apne dusre mureed ko waha jaakar us but ko bulaane ke liye kaha. Us mureed ne waha jaakar aap ke hukm ke mutaabiq kiya. Us ke kehne par wo but hilne laga aur phir ek khubsurat ladki ki shakl me aap ke paas haazir hua aur musalman hua. Aap ne apne mureed ke saath us ka nikaah karaaya.

(5) Aap ka ek Mureed jo Khurasani tha aur Safar wa Hajar me hamesha Hazrat ke saath rehta tha. Use ek din khoon ki kharaabi ki beemaari ho gai aur us ka saara jism kharaab ho gaya. Us ne khayaal kiya ke Meri maujoodgi se khaanqaah waalo ko takleef hogi aur ho sakta hai un ko bhi meri wajah se ye beemaari lag jaaye. Behtar hai ke main kahi door chala jaata hu.
Jab wo apna saamaan tayyaar karne laga to Makhdoome paak ki aur khaanqaah ki judaai ke sadme me bahot rone laga. Jab logo ne dekha to Hazrat se jaakar us ka haal bataaya. Aap ne us mureed ko bulwaaya aur use tasalli di.
Phir ek piyaale me paani mangwa kar us me apna Luabe dahan (thoonk) daala aur us mureed ko dekar farmaaya ke ‘Is ko apne beemaari waale jism par lagaana’. Jab us mureed ne aisa kiya to kuchh hi din me us ko shifa ho gai.

(6) Ek martaba Aap ka guzar Qasba Saubankali me hua. Waha par har saal dariya ki tugyaani (sailaab) se logo ki khetiya kharaab ho jaati thi. Is baar dariya ki tugyaani zyaada hui. Waha ke musalmano ne Hazrat ki baargaah me aakar apni takleef bayaan ki.
Aap ne kaagaz ka ek tukda mangwaaya aur us par apne daste mubarak se likha ke ‘Aye dariya ke paani! Abdullāh Ashraf Simnani ki taraf se tumko maaloom ho ke agar teri tugyaani (Sailaab) Hukme khuda se hai to Ba-hukme Khuda jaha tak had muqarrar ki jaaye us se aage na badhna.’ Aur un hudood par lakdi ya patthar nishaan ke liye gaad diye. Logo ki takleef door ho gai.

(7) Ek shakhs ek buzurgh ke paas gaya aur bai’at ke liye arz kiya. Bai’at se pehle us shakhs ne kaha ‘Meri ek shart hai. Main Sharaabi hu aur main sharaab pina nahi chhod sakta.’
Ye sunkar unho ne use mureed banaane se manaa kar diya.
Is tarah woh shakhs ek ke baad ek buzurg ke paas gaya. Magar shart sunkar sab ne us shakhs ko Mureed karne se manaa kar diya.
Phir wo shakhs Hazrat Makhdoome paak ke paas aaya aur kaha ‘Main aap ke paas badi ummeed lekar aaya hu. Mujhe kisi bhi buzurgh ne mureed nahi banaaya hai.’
Aap ne us se farmaaya ‘Wuzu karke aao’ Jab wo wuzu karke aaya aur mureed hone ke liye aap ke saamne baitha to us ne kaha ‘Huzoor! Main sharaab pita hu. Meri ek shart hai ke mujhe sharaab chhodne ke liye na kahen.’
Aap ne kaha ‘Theek hai. Lekin meri bhi ek shart hai. Maanoge?’
Us ne kaha ‘Ji, Hazrat aap ki shart maanuga.’
Aap ne kaha ‘Tum sharaab mere saamne nahi pioge.’
Us ne kaha ‘Ji Hazrat. Main apne murshid ke saamne kaise pee sakta hu. Main aap ke saamne sharaab hargiz nahi piunga.’
Aap ne use mureed kar liya.
Mureed hone ke baad shakhs waha se jaane laga to sochne laga ‘Main mureed bhi ho gaya aur aap ne murshid se chhup kar sharaab bhi pee lunga.’
Door jaakar us ne sharaab pine ke liye sharaab ki botal jeb se nikaali. Jab wo sharaab ki botal ko munh se lagaane hi jaa raha tha us ne dekha ke us ke saamne Hazrat khade hain aur muskura rahe hain. Us ne jaldi se sharaab ki botal ko chhupa liya.
Phir Wo apne ghar aaya aur ghar ke sabhi darwaazo ko band kar diye. Aur sharaab ki botal nikalkar pine hi jaa raha tha ki us ne dekha Hazrat us ke saamne muskura rahe hain. Us ne Aap se muafi maangi. Aap ne use muaaf kar diya.
Woh shakhs jab bhi sharaab pine ki koshish karta Aap ko apne saamne paata.
Woh shakhs ghussm aakar Aap ke paas aaya aur kehne laga ki ‘Aap to mere pichhe hi pad gaye hain. Mujhe sharaab nahi pine dete.’
Aap ne farmaaya ‘Kaun si sharab pioge meri ya apni?
Us mureed ne socha ki Maine apni waali bahot pee hai. Aaj inhi ki sharaab pita hu. Us ne kaha ‘Aap waali sharaab piunga.’
Aap ne use wuzu karne ke liye farmaaya. Jab wo wuzu karke aaya to Aap ne kaha ‘Mere saamne baitho aur mere aankho me dekho.’ Wo aap ki aankho me dekhne laga.
Kuchh der ke baad us ne kaha ‘Bas Hazrat, Ab mat pilaiye warna mera seena phat jaayega.’
Is tarah Aap ne use Wali e kaamil bana diya.

****
Aap Hazrat Shaikh Ala-ul Haq Pandawi Chishti Siraaji rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Hazrat Makhdoom Jahaaniyan Jahaangasht Sayyed Jalaal-ud-deen Husain rahmatullāhi alaihi ne aap ko Suharwardi Jalaali, Qaadri aur Chishti Naasiri silsila ki khilaafat ata farmai hai.
Hazrat Khwaja Abu Nasr, Mohammad al-Paarsa rahmatullāhi alaihi ne ‘Naqshbandi’ silsile ki khilaafat ata farmai hai.

Aap se ‘Chishti Ashrafi’ silsila jaari hai.

Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Sayyed Abdur Razzaaq Noor-ul-ain rahmatullāhi alaihi
(2) Hazrat Shaikh Saif-ud-deen Muhammad Alwari rahmatullāhi alaihi
(3) Hazrat Shaikh Kabeer al-Abaasi rahmatullāhi alaihi,
(4) Harat Asad-ud-deen Zinjani rahmatullāhi alaihi.

****
Aap ka wisaal 28 Moharram 808 Hijri (25 July 1405 A.D.) ko hua.

Aap ka mazaar Kichhauchha (Uttar Pradesh) me hai.

***
1435 Hijri (2013 A.D.) me Urs ke mauqe par Hazrat Makhdoom Ashraf Jahaangeer Simnani rahmatullāhi alaihi ke ki ek karamaat zaahir hui.
Aap ke mazaar ke qareeb ek jhil hai. Log us ka paani istemaal karte hain.
4 bad-mazhab shakhso ne bughz ki wajah se us jhil me zeher daal diya. Jis ke wajah se jhil ki tamaam machhaliya mar gai. Magar paani istemaal karne wale logo ko kuchh asar na hua.
Wo chaaro shakhs waha se bhaage. Magar Delhi ke qareeb ek haadse (accident) me un me se 3 mar gaye aur ek ke dono haath kat gaye. Us ne darkar sab ko ye baat batai aur muafi maangi.

***
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Sayyed Makhdoom Ashraf Jahaangeer Simnani rahmatullāhi alaihi ke aur Ahle bait Aur Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae. aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Top Posts & Pages

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

%d bloggers like this: