Hakeem-Ul-Ummat Allama Muhammad Iqbal Ki Tasneef ‘Bal-E-Jibril’ Se Makhuz Yeh Ek Nihayat Hi Mashhoor Aur Falsafiyana Ghazal Hai. Is Paak Aur Fikri Kalam Mein Dil Ki Bedari, Haqiqi Azadi Aur Deen-O-Eeman Ki Salamati Par Behad Gehri Roshni Dali Gayi Hai. Aaiye Is Azeem Shairi Ke Mukammal Lyrics Roman, Hindi Aur Urdu Zabaan Mein Mulahiza Farmayein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Dil Baidar Farooqi Dil Baidar Karari |
| Poet / Writer | Allama Muhammad Iqbal |
| Category | Sufi Poetry / Ghazal |
| Naatkhawan / Reciter | Al-Haj Owais Raza Qadri |
| Book Name | Bal-E-Jibril |
Dil Baidar Farooqi Dil Baidar Karari Lyrics In Roman
Dil-E-Baidar Farooqi, Dil-E-Baidar Karrari
Mis-E-Adam Ke Haq Mein Keemiya Hai Dil Ki Baidari
Dil-E-Baidar Paida Kar Ke Dil Khawabida Hai Jab Tak
Na Teri Zarb Hai Kari, Na Meri Zarb Hai Kari
Mashaam-E-Taiz Se Milta Hai Sehra Mein Nishan Iss Ka
Zan-O-Takhmeen Se Haath Ata Nahin Ahoo’ay Tatari
Iss Andeshe Se Zabt-E-Aah Main Karta Rahon Kab Tak
Ke Mugh Zade Na Le Jaen Teri Qismat Ki Chingari
Khudawanda Ye Tere Sada Dil Bande Kidhar Jaen
Ke Darvaishi Bhi Ayyari Hai, Sultani Bhi Ayyari
Mujhe Tehzeeb-E-Hazir Ne Ata Ki Hai Vo Azadi
Ke Zahir Mein To Azadi Hai, Batin Mein Giraftari
Tu Ae Maula-E-Yasrib S.A.W. Aap Meri Chara-Sazi Kar
Meri Danish Hai Afrangi, Mera Iman Hai Zunnari
Dil Baidar Farooqi Dil Baidar Karari Lyrics In Hindi
दिल-ए-बेदार फ़ारूक़ी, दिल-ए-बेदार कर्रारी
मिस-ए-आदम के हक़ में कीमिया है दिल की बेदारी
दिल-ए-बेदार पैदा कर कि दिल ख़्वाबीदा है जब तक
न तेरी ज़र्ब है कारी, न मेरी ज़र्ब है कारी
मशाम-ए-तेज़ से मिलता है सहरा में निशां इस का
ज़नो-तख़मीं से हाथ आता नहीं आज़ू-ए-तातारी
इस अंदेशे से ज़ब्त-ए-आह मैं करता रहूं कब तक
कि मुग़-ज़ादे न ले जाएं तिरी क़िस्मत की चिंगारी
ख़ुदावंदा ये तेरे सादा दिल बंदे किधर जाएं
कि दरवेशी भी अय्यारी है, सुल्तानी भी अय्यारी
मुझे तहज़ीब-ए-हाज़िर ने अता की है वो आज़ादी
कि ज़ाहिर में तो आज़ादी है, बातिन में गिरफ़्तारी
तू ऐ मौला-ए-यसरिब आप मेरी चारा-साज़ी कर
मेरी दानिश है अफ़रंगी, मेरा ईमां है ज़ुन्नारी
Dil Baidar Farooqi Dil Baidar Karari Lyrics In Urdu
دلِ بیدار فاروقی، دلِ بیدار کراری
مسِ آدم کے حق میں کیمیا ہے دل کی بیداری
دلِ بیدار پیدا کر کہ دل خوابیدہ ہے جب تک
نہ تیری ضرب ہے کاری، نہ میری ضرب ہے کاری
مشامِ تیز سے ملتا ہے صحرا میں نشاں اس کا
ظن و تخمیں سے ہاتھ آتا نہیں آہوئے تاتاری
اس اندیشے سے ضبطِ آہ میں کرتا رہوں کب تک
کہ مغ زادے نہ لے جائیں تری قسمت کی چنگاری
خداوندا یہ تیرے سادہ دل بندے کدھر جائیں
کہ درویشی بھی عیاری ہے، سلطانی بھی عیاری
مجھے تہذیبِ حاضر نے عطا کی ہے وہ آزادی
کہ ظاہر میں تو آزادی ہے، باطن میں گرفتاری
تو اے مولائے یثربؐ آپ میری چارہ سازی کر
مری دانش ہے افرنگی، مرا ایماں ہے زناری