Ye Hooriyan-E-Farangi Dil-O-Nazar Ka Hijab Lyrics || Barkate Raza

Yeh Ek Nihayat Hi Falsafiyana Aur Roohani Kalam-E-Iqbal Paak Hai Jo Insani Aqal Aur Ishq Ke Rishte Ko Bayaan Karta Hai.
Is Noori Aur Baseerat-Ameez Kalaam Ko Parh Kar Aap Ke Dil Mein Sacchi Baseerat Aur Khudi Ka Jazba Mazeed Bedaar Ho Jayega.

Naat InformationDetails
Naat TitleYe Hooriyan E Farangi Dil O Nazar Ka Hijab
Poet / WriterAllama Iqbal
CategoryKalam E Iqbal
Naatkhawan / ReciterOwais Raza Qadri
Book NameBal E Jibril

Ye Hooriyan E Farangi Dil O Nazar Ka Hijab Lyrics In Roman

Ye Hooriyan-E-Farangi Dil-O-Nazar Ka Hijab
Bahisht-E-Magrabiyan Jalwa Ha’ay Pa Ba-Rakab

Dil-O-Nazar Ka Safina Sanbhal Kar Le Ja
Mah-O-Sitara Hain Behar-E-Wujood Mein Gardab

Jahan-E-Soot-O-Sada Mein Sama Nahin Sakti
Latifa’ay Azali Hai Afghan-E-Ching-O-Rubab

Sikha Diye Hain Isse Shewa Haye Khanqahi
Faqeeh-E-Sheher Ko Sufi Ne Kar Diya Kharab

Woh Sajda Rooh-E-Zameen Jis Se Kanp Jati Thi
Ussi Ko Aj Taraste Hain Minber-O-Mehrab

Suni Na Misar-O-Falasteen Mein Woh Azaan Main Ne
Diya Tha Jis Ne Paharon Ko Raisha’ay Simab

Hawa-E-Qurtuba Shaid Ye Hai Asar Tera
Meri Nawa Mein Hai Souz-Surroor-E-Ehad-E-Shabab

Ye Hooriyan E Farangi Dil O Nazar Ka Hijab Lyrics In Hindi

ये हूरियान-ए-फ़रंगी दिल-ओ-नज़र का हिजाब
बहिश्त-ए-मग़रबियाँ जलवा हाए पा बा-रकाब

दिल-ओ-नज़र का सफ़ीना संभाल कर ले जा
माह-ओ-सितारा हैं बहर-ए-वजूद में गर्दाब

जहाँ-ए-सौत-ओ-सदा में समा नहीं सकती
लतीफ़ा-ए-अज़ली है अफ़ग़ान-ए-चंग-ओ-रुबाब

सिखा दिए हैं इसे शेवा हाय ख़ानक़ाही
फ़क़ीह-ए-शहर को सूफ़ी ने कर दिया ख़राब

वो सज्दा रूह-ए-ज़मीं जिस से काँप जाती थी
उसी को आज तरसते हैं मिम्बर-ओ-महराब

सुनी न मिस्र-ओ-फ़लस्तीन में वो अज़ान मैं ने
दिया था जिस ने पहाड़ों को रेशा-ए-सीमाब

हवा-ए-क़ुर्तुबा शायद ये है असर तेरा
मेरी नवा में है सोज़-ओ-सुरूर-ए-अहद-ए-शबाब

Ye Hooriyan E Farangi Dil O Nazar Ka Hijab Lyrics In Urdu

یہ حوریانِ فرنگی دل و نظر کا حجاب
بہشتِ مغربیاں جلوہ ہائے پا بہ رکاب

دل و نظر کا سفینہ سنبھال کر لے جا
ماہ و ستارہ ہیں بحرِ وجود میں گرداب

جہانِ صوت و صدا میں سما نہیں سکتی
لطیفۂ ازلی ہے فغانِ چنگ و رباب

سکھا دیے ہیں اسے شیوہ ہائے خانقاہی
فقیہِ شہر کو صوفی نے کر دیا خراب

وہ سجدہ روحِ زمیں جس سے کانپ جاتی تھی
اسی کو آج ترستے ہیں منبر و محراب

سنی نہ مصر و فلسطین میں وہ اذاں میں نے
دیا تھا جس نے پہاڑوں کو رعشۂ سیماب

ہوائے قرطبہ شاید یہ ہے اثر تیرا
میری نوا میں ہے سوز و سرورِ عہدِ شباب

Leave a Comment