ali ke sath hai zehra ki shadi lyrics
Sabhi khush hain
Sabhi khush hain khudaayi bhi khuda bhi
Ali ke saath hai zehra ki shaadi
Larka hai khuda ke ghar ka larki hai nabi ke ghar ki
Wo arz o samaan ka maalik ye malika behr o bar ki
Zameen raksa hai raksa aasmaan bhi
Haidar hai kulle imaan aur kulle ismat zehra
Us sar pe wafa ka sehra is sar pe haya ka sehra
Wo shehzaada hai aur ye shaahzaadi
Dulha ke roop me pyaare ali ibne taalib hain
Tha baap bhi sab se ghaalib ye bhi kulle ghaalib hai
Ye daamaade nabi hai aur wo sambdhi
Baaraat chali haidar ki rehmat ke saaye saaye
Baaraat ke aage aage qur’aan qaside gaaye
Nabi saare chale ban kar baraati
Tohfe me mile mehk aise inhein jannat aur kawsar ko
Ye saara namak aur paani haq mehr mila zehra ko
Salaami me mili marzi khuda ki
Qudrat ki taraf se inko abhi tohfe aur milenge
Kal inke haseen aangan me do asli phul khilenge
Haseen shajarein jinhein denge salaami
Ab chaahe koyi bharke ab chaahe koyi tarpe
Ab meri bhalaa se chaahe mar jaaye koyi jal jal ke
Khushi ki baat thi maine sunaadi
Kaise ho bayaan wo manzar jab khatm huwi sab rasmein
Kaunein ki har sheh gauhar kehti thi kha kar qasmein
Mubaarak hai mubaarak hai ye shaadi
Aankhon Ka Tara Naam E Muhammad Lyrics
Aao Aao Sar Ko Jhukayen Aaqa Ka Rauza Nazar Aagaya Lyrics
Aao Ahle Shariat Pardhaye Tumhe Lyrics
Aao Mere Nabi Ki Shaan Suno Lyrics
Aaj Muhammad Aye Moray Ghar Lyrics
Aaka Ko Pukar Bande Aaka Ko Pukar Lyrics
Aakhri Lamhon Mein Kya Shehr O Biyabaan Dekhun Lyrics
Aala Hazrat Naat Lyrics | Hadaiq E Bakhshish Complete Lyrics