Dariya Hussain Ka Hai Samandar Hussain Ka Lyrics

Dariya Hussain Ka Hai Samandar Hussain Ka Lyrics

 

 

दरिया हुसैन का है समंदर हुसैन का / Dariya Hussain Ka Hai Samandar Hussain Ka

दरिया हुसैन का है, समंदर हुसैन का
प्यासों के वास्ते है ये लंगर हुसैन का

है आरज़ू वहाँ भी मिले दर हुसैन का
जन्नत में बन के जाऊँ मैं नौकर हुसैन का

सूरज ने अपने सर को अदब से झुका लिया
नेज़े पे जब बलंद हुआ सर हुसैन का

सब जानते हैं कितने बहादर हुसैन हैं
मौला ‘अली के हाथ का ख़ंजर हुसैन हैं

राह-ए-ख़ुदा में घर दिया और सर भी दे दिया
अब सोचिए कि कितने दिलावर हुसैन हैं

कोई यज़ीद कैसे भला सर उठाएगा
मौजूद रब के फ़ज़्ल से घर घर हुसैन हैं

चौदह सौ साल पहले गया था जो क़ाफ़िला
उस क़ाफ़िले के आज भी रहबर हुसैन हैं

ज़हरा के घर में लाल-ओ-जवाहिर हैं बेशुमार
जो सब से क़ीमती है वो गौहर हुसैन हैं

उस का भी हश्र होगा यज़ीदों के साथ साथ
जिस ने कहा कि मेरे बराबर हुसैन हैं

इब्न-ए-ज़ियाद का तो वहीं दम निकल गया
हुर्र ने कहा जो मेरा मुक़द्दर हुसैन हैं

ना’त-ख़्वाँ:
ज़ैन-उल-आबिदीन कानपुरी

 

dariya husain ka hai, samandar husain ka
pyaaso.n ke waaste hai ye langar husain ka

hai aarzoo waha.n bhi mile dar husain ka
jannat me.n ban ke jaau.n mai.n naukar husain ka

sooraj ne apne sar ko adab se jhuka liya
neze pe jab baland huaa sar husain ka

sab jaante hai.n kitne bahaadar husain hai.n
maula ‘ali ke haath ka KHanjar husain hai.n

raah-e-KHuda me.n ghar diya aur sar bhi de diya
ab sochiye ki kitne dilaawar husain hai.n

koi yazeed kaise bhala sar uThaaega
maujood rab ke fazl se ghar ghar husain hai.n

chaudah sau saal pehle gaya tha jo qaafila
us qaafile ke aaj bhi rahbar husain hai.n

zahra ke ghar me.n laal-o-jawaahir hai.n beshumaar
jo sab se qeemti hai wo gauhar husain hai.n

us ka bhi hashr hoga yazeedo.n ke saath saath
jis ne kaha ki mere baraabar husain hai.n

ibn-e-ziyaad ka to wahi.n dam nikal gaya
hurr ne kaha jo mera muqaddar husain hai.n

Naat-Khwaan:
Zainul Abedin Kanpuri

Sharing Is Caring:

Leave a Comment