Pur Noor He Zamana Subhe Shabe Wilaadat Lyrics
Pur Noor He Zamana Subhe Shabe Wilaadat
Parda Utha He Kiska Subhe Shabe Wilaadat
Jalwa He Haq Ka Jalwa Subhe Shab E Wilaadat
Saaya Khuda Ka Saaya Subhe Shab E Wilaadat
Fasle Bahaar Aayi Shakle Nigaar Aayi
Gulzar He Zamana Subhe Shab E Wilaadat
Phoolo Se Baagh Mehke, Shaakho Pe Murg Chehke
Ahde Bahaar Aaya Subhe Shabe Wilaadat
Dil Jagmaga Rahe He, Qismat Chamak Uthi He
Faila Naya Ujala Subhe Shabe Wilaadat
Aayi Nayi Hukumat Sikka Naya Chalega
Aalam Ne Rang Badla Subhe Shab E Wilaadat
Ruhul Amee(N) Ne Gaada Kaabe Ki Chat Pe Jhanda
Ta-Arsh Uda Pharera Subhe Shab E Wilaadat
Padhte He Arsh Waale, Sunte He Farsh Waale
Sultan E Nou Ka Khutba Subhe Shabe Wilaadat
Din Fir Gaye Hamare, Sote Naseeb Jaage
Khursheed Hi Wo Chamka Subhe Shabe Wilaadat
Pyare Rabi Ul Awwal, Teri Jhalak Ke Sadqe
Chamka Diya Naseeba Subhe Shabe Wilaadat
Teri Chamak Damak Se Aalam Chamak Raha He
Mere Bhi Bakht Chamka Subhe Shabe Wilaadat
Noushah Banau Unko, Dulha Banau Unko
He Arsh Tak Ye Shohra Subhe Shabe Wilaadat
Shadi Rachi Hui He, Bajte He Shadiyane
Dulha Bana Wo Dulha Subhe Shabe Wilaadat
Hushiyar Ho Bhikari, Nazdeek He Suvaari
Na Keh Raha He Danka Subhe Shabe Wilaadat
Aamad Ka Shor Sunkar, Ghar Aate He Bhikari
Ghere Khade He Rasta Subhe Shab E Wilaadat
Har Jaan Muntazir He, Har Deed Rah-Nigaar He
Gouga He Marhaba Ka Subhe Shabe Wilaadat
Baata He Do Jaha(N) Me Tune Ziya Ka Baada
De De Hasan Ka Hissa Subhe Shab E Wilaadat
Pur Noor He Zamana Subhe Shabe Wilaadat
Parda Utha He Kiska Subhe Shabe Wilaadat
Pur Noor He Zamana Subhe Shabe Wilaadat Lyrics
- Fazilat, Duas and Important Aspects of Ramadan
- hadith collection
- Roza Aur Ramzan Ke Zaroori Masail
- Hadith e Noor | Analysis of Hadith-e-Nur
- how many surahs are in the Quran
- Witr Namaz Ka Tarika
- 99 Names of Allah – (Listen or Read & Download)
- Ten tips to help your memory improve
- Kitni namaz Sunnat-e-Muakkadah aur Sunnat-e-Ghair Muakkadah hai?