Mustafa Aaj Dula Bane Hain Naat Lyrics || Barkate Raza

Meraj Ki Muqaddas Shab Par Pyare Aaqa Ki Shaan-E-Dulha Ko Bayan Karta Yeh Nihayat Khubsurat Kalam ‘Mustafa Aaj Dulha Bane Hain’ Mulahiza Farmayein. Ahmadul Fattah Faizabaad Ki Khubsurat Awaz Mein Parhe Gaye Is Kalam Mein Safar-E-Meraj Ke Ruhani Manazir Ko Khubsurat Andaz Mein Pesh Kiya Gaya Hai. Aaiye Is Ruh-Parwar Naat Sharif Ko Padh Kar Pyare Nabi Ki Mohabbat Se Apne Quloob Ko Roshan Karen.

Naat InformationDetails
Naat TitleMustafa Aaj Dulha Bane Hain
Poet / WriterMuhammad Asim-ul-Qadri Muradabadi
CategoryShab-e-Meraj Naat
Naatkhawan / ReciterAhmadul Fattah Faizabaad
Book NameBarkate Raza Naat Book

Mustafa Aaj Dulha Bane Hain Lyrics In Roman

Josh Par Rahmat E Kibriya Hai
Mustafa Aaj Dulha Bane Hain

Har Taraf Noor Chhaya Hua Hai
Mustafa Aaj Dulha Bane Hain

Bheeni-Bheeni Hawa Chaar Su Hai
Mahki-Mahki Faza Chaar Su Hai

Aur Mausam Suhana Hua Hai
Mustafa Aaj Dulha Bane Hain

Aaj Jibreel Ne Bhi Labon Se
Mere Aaqa Ke Talwon Ko Chooma

Allah Allah Kya Martaba Hai
Mustafa Aaj Dulha Bane Hain

Jaa Ke Sidra Pe Jibreenl Bole
Aage Jaunga To Par Jalenge

Ya Nabi Ye Meri Inteha Hai
Mustafa Aaj Dulha Bane Hain

Yun Hua Arsh Par Unka Jana
Ek Lamhe Me Hi Laut Aana

Kitna Dilchashp Ye Waqya Hai
Mustafa Aaj Dulha Bane Hain

Mustafa Aaj Dulha Bane Hain Lyrics In Hindi

जोश पर रह़मत ए किबरिया है
मुस्त़फ़ा आज दूला बने हैं

हर तरफ़ नूर छाया हुआ है
मुस्त़फ़ा आज दूला बने हैं

भीनी-भीनी हवा चार सू है
महकी-महकी फ़ज़ा चार सू है

और मौसम सुहाना हुआ है
मुस्त़फ़ा आज दूला बने हैं

आज जिब्रील ने भी लबों से
मेरे आक़ा के तल्वों को चूम्मा

अल्लाह-अल्लाह क्या मर्तबा है
मुस्त़फ़ा आज दूला बने हैं

जाके सिदरा पे जिब्रील बोले
आगे जाऊंगा तो पर जलेंगे

या नबी ये मेरी इन्तहा है
मुस्त़फ़ा आज दूला बने हैं

यूं हुआ अ़र्श पे उनका जाना
एक लम्हे में ही लौट आना

कितना दिलचस्प ये वाक़या है
मुस्त़फ़ा आज दूला बने हैं

Mustafa Aaj Dulha Bane Hain Lyrics In Urdu

جوش پر رحمتِ کبریا ہے
مصطفیٰ آج دولہا بنے ہیں

ہر طرف نور چھایا ہوا ہے
مصطفیٰ آج دولہا بنے ہیں

بھینی بھینی ہوا چار سو ہے
مہکی مہکی فضا چار سو ہے

اور موسم سہانا ہوا ہے
مصطفیٰ آج دولہا بنے ہیں

آج جبریل نے بھی لبوں سے
میرے آقا کے تلووں کو چوما

اللہ اللہ کیا مرتبہ ہے
مصطفیٰ آج دولہا بنے ہیں

جا کے سدرہ پہ جبریل بولے
آگے جاؤں گا تو پر جلیں گے

یا نبی یہ میری انتہا ہے
مصطفیٰ آج دولہا بنے ہیں

یوں ہوا عرش پہ ان کا جانا
ایک لمحے میں ہی لوٹ آنا

کتنا دلچسپ یہ واقعہ ہے
مصطفیٰ آج دولہا بنے ہیں

Leave a Comment