Bas ali ka saath humko do jahan se pyara hai lyrics

Bas ali ka saath humko do jahan se pyara hai lyrics

 

 

Bas ali ka saath humko do jahan se pyara hai
Ye he to sab hamara he bus ali ka saath
Unki ulfat ki dolat mili humko to jina ras aya
Hubbe Haider Ke pyale piye hamne to iman Jagamgaya
Ishq haider ka hame to jaan se bhi pyara hai
Bas ali ka saath humko do jahan se pyara hai
Wo shabe hijrat taigo ke saye me suku se so raha hai
Keh rah te sab jaise payambar ho guma ye ho raha hai
Nur ne bistar pe apne nur ko sulaya hai
Bas ali ka saath humko do jahan se pyara hai
Mushkil meri pad jae mushkil me agar raho me aye
Meri kashti se tufa jo takarae to khud hi dub jae
Meri Kashti Par Ali mushkil kusha ka saya hai
Bas ali ka saath humko do jahan se pyara hai
Jiska me maula uska ali maula
Ye farmate nabi hai bolta qur’an
Sultan walio ka ali jaane nabi hai mustafa Ke bad…….
Mustafa Ke Bad haider har bashar se ala hai
Bas ali ka saath humko do jahan se pyara hai
Azmate hogi unki baya kaise ye jiska martaba hai
Jinke baite hai sardar jannat ke dulhan khairun nisa hai
Wo ali maula ke jinka ghar ka ghar hi maula hai
Bas ali ka saath humko do jahan se pyara hai
Ayaz apne khwaja muin ki he dilo par hukmarani
Apne to apne gairo ko bhi dena hai aadat khandani
Ye mera khwaja ali maula Ke jesa data hai
Bas ali ka saath humko do jahan se pyara hai

Sharing Is Caring:

Leave a Comment