mehshar mein maghfirat ka bada aasra mila lyrics

mehshar mein maghfirat ka bada aasra mila lyrics

 

 

mehshar mein maghfirat ka bada aasra mila
ham hain durvesh na jaageer na zar rakhte hain
taaj rakhte hain na ham laal o gauhar rakhte hain
sainkdo aib sahi ek hunar rakhte hain
bekhabar laakh sahi teri khabar rakhte hain

taazeem se leta hai khuda naam e muhammad
kya naam hai ae salle ala naam e muhammad
allah kare uspe haraam aatish e do zakh
jis shakhs ke ho dil pe likha naam e muhammad

buron ko apna kaha rehmat e do aalam ne
bada haseen hai muqaddar gunahgaaron ka

mehshar mein maghfirat ka bada aasra mila
ham bekason ko daaman e khair ul wara mila

sajde hue qabool dayar e huzur mein
ab yaqeenan mujhe meraj e muhabbat hogi

sajde hue qabool dayar e huzur mein
qaabe se badh ke humko dar e mustafa mila

uske sar e niyaz ko meraj ho gayi
sarkar e do jahaan ka jise naqsh e paa mila

qadmon pe uske jhukte hain duniya ke taajwar
shaahon se badh ke pyare nabi ka gada mila

Sharing Is Caring:

Leave a Comment