Main Kya Bataun Tamanna-e-Zindagi Kya Hai Lyrics || Barkate Raza

Fana Bulandshahri ka tehrir karda yeh nihayat hi maqbool aur roohani Sufiyana kalam hai, jisme Murshad aur Aaqa ﷺ ki bargah mein be-had aqeedat aur sachi mohabbat ko pesh kiya gaya hai. Is kalam ke ek ek sher mein dil-e-majboor ki faryad aur unki aamad ke sadqe mili zindagi ki raunaq ka khoobsurat charcha hai. Aayye is mubarak kalam ko nihayat hi adab aur aqeedat ke sath mukammal taur par padhein.

Naat Information Details
Naat Title Main Kya Bataun Tamanna-e-Zindagi Kya Hai
Poet / Writer Fana Bulandshahri
Category Sufiyana Kalam / Qawwali
Naatkhawan / Reciter Ustad Nusrat Fateh Ali Khan / Gyasuddin Warsi

Naat Lyrics in Roman

Jab Tak Bika Na Tha To Koi Poochhta Na Tha
Tumne Kharid Kar Hameiñ Anmol Kar Diya

Aapki Muhabbat Ka Har Qadam Sahara Hai
Aap Hi Ka Gham Mujhko Zindagi Se Pyara Hai

Main Kya Bataun Tamanna-e Zindagi Kya Hai
Huzur Aap Salamat Raheñ Kami Kya Hai

Agar Na Dil Mein Tadap Ho To Aashiqi Kya Hai
Mile Na Dard Ki Daulat To Zindagi Kya Hai

Haiñ Is Ke Waaste Kaunain Tere Daaman Meiñ
Tere Gada Ke Liye Taaj-e Khusravi Kya Hai

Tere Karam Ka Sahara Hai Zindagi Meri
Tera Karam Na Ho Shaamil To Zindagi Kya Hai

Meri Namaaz Yahi Hai Ke Poojta Hooñ Tumhein
Mujhe Khabar Nahi Aadab-e-Bandagi Kya Hai

Chaman Ke Husn Ko Dekhuñ To Kis Tarah Dekhuñ
Tere Jamaal Ke Aage Ye Raushni Kya Hai

Fana Ye Unki Muhabbat Nawaziyañ Dekho
Wo Mujhse Poochh Rahe Hain Teri Khushi Kya Hai

Naat Lyrics in Hindi

जब तक बिका न था तो कोई पूछता न था
तुमने ख़रीद कर हमें अनमोल कर दिया

आपकी मुहब्बत का हर क़दम सहारा है
आप ही का ग़म मुझको ज़िन्दगी से प्यारा है

मैं क्या बताऊँ तमन्ना-ए-ज़िन्दगी क्या है
हुज़ूर आप सलामत रहें कमी क्या है

अगर न दिल में तड़प हो तो आशिक़ी क्या है
मिले न दर्द की दौलत तो ज़िन्दगी क्या है

हैं इस के वास्ते कौनेन तेरे दामन में
तेरे गदा के लिए ताज-ए ख़ुसरवी क्या है

तेरे करम का सहारा है ज़िन्दगी मेरी
तेरा करम न हो शामिल तो ज़िन्दगी क्या है

मेरी नमाज़ यही है के पूजता हूँ तुम्हें
मुझे खबर नहीं अदब-ए-बन्दगी क्या हैै

चमन के हुस्न को देखूं तो किस तरह देखूं
तेरे जमाल के आगे ये रौशनी क्या है

फ़ना ये उनकी मुहब्बत नवाज़ियाँ देखो
वो मुझसे पूछ रहे हैं तेरी ख़ुशी क्या है

Naat Lyrics in Urdu

جب تک بکا نہ تھا تو کوئی پوچھتا نہ تھا
تم نے خرید کر ہمیں انمول کر دیا

آپ کی محبت کا ہر قدم سہارا ہے
آپ ہی کا غم مجھ کو زندگی سے پیارا ہے

میں کیا بتاؤں تمنائے زندگی کیا ہے
حضور آپ سلامت رہیں کمی کیا ہے

اگر نہ دل میں تڑپ ہو تو عاشقی کیا ہے
ملے نہ درد کی دولت تو زندگی کیا ہے

ہیں اِس کے واسطے کونین تیرے دامن میں
ترے گدا کے لئے تاجِ خسروی کیا ہے

ترے کرم کا سہارا ہے زندگی میری
ترا کرم نہ ہو شامل تو زندگی کیا ہے

مری نماز یہی ہے کہ پوجتا ہوں تمہیں
مجھے خبر نہیں آدابِ بندگی کیا ہے

چمن کے حسن کو دیکھوں تو کس طرح دیکھوں
ترے جمال کے آگے یہ روشنی کیا ہے

فنا یہ ان کی محبت نوازیاں دیکھو
وہ مجھ سے پوچھ رہے ہیں تری خوشی کیا ہے

Leave a Comment