encouraging quotes
Insan Ke Gunaah Dil Ko Bechain Rakhte Hain :
Jab Tum Sukoon Ki Kami Mehsoos Karo Tou Apne Rabb Ki Bargaah Me Taubah Karo, Kyun Ke Insan Ke Gunaah Hii Hai Jo Dil Ko Bechain Rakhte Hain.
– Imam Ali (RadiAllahu Anhu)
Poora Ramzan Khair Hi Khair Hain :
Amirul Mominin Hazrat-A-Umar Farooq (RadiAllahu Anhu) Ramzan-Ul-Mubarak Ka Mahina Tashrif Lata Tou Farmaya Karte, “Iss Mahine Ko Khush-Aamadid Hain Jo Hame Paak Karne Wala Hain! Poora Ramzan Khair-Hi-Khair Hain! Din Ka Roza Ho Ya Raat Ka Qayaam (Namaz), Iss Mahine Me Kharch Karna Jihaad Me Kharch Karne Ka Darja Rakhta Hain!”
– (Tambihul Gafileen)(Faizaan-A-Sunnat Pg-1174)
Roza Dhaal Hai, Jab Tak Usey Faada Na Ho :
Hazrat Abu Hurairah (Radi’Allahu Anhu) Farmate Hai, Roza Dhaal Hai, Jab Tak Usey Faada Na Jaaye. Arz Kiya Gaya! Kis Cheez Se Faada Jayega ?
Farmaya: Jhoot Ya Geebat Se.
– (Tibrani Sharif)
Geebat Ki Wajah Se Roze Ki Nuraniyat Jaati Rehti Hai.
– (Durr-e-Mukhtar)
Din To Sirf 3 Hai :
Hazrat Abdul Qadir Jilani (Rehmatullah Alayh) Farmate Hai..
“Din To Sirf 3 Hai …
EK Kal Jo Guzar Gaya …
Ek Aaj Jo Amal Ka Din Hai…..
Ek Aane Wala Kal Jiski Bas Ummid Hi Ummid Hai…
Kaha Nahi Jaa Sakta Ke Wo Uske Liye Aayega Ya Nahi…
Guzra Huwa Kal Ek Naseehat Hai.
Aajka Din Ghaneemat Hai.
Aane Wala Kal Sirf Ek Khayaali Cheez Hai.
Rizq Kaha Se Aaye Ga :
Hazrat Imam Ali (Radiallahu Anhu) Se Logon Ne Pucha Ke: Agar Kisi Shakhs Ko Kamre Me Bandh Kar Ke Darwaza Bandh Kar Dia Jaye, Tou Uss Ki Rozi (Rizq) Kaha Se Aaye Gi ?
Imaam Ali (Rehmatullah Alayh) Ne Jawaab Me Farmaya: “Jahan Se Uss Ki Mout Aayegi”
Ibadat Me Do Cheez Bohot Pasand :
Muze Ibadat Me Do Cheez Bohot Pasand Hai,
1. Sard Mousam Me Fazar ki Namaz, Aur
2. Garm Mousam Me Ramzan ke Roze .
– Hazrat Ali (RadiAllahu Anhu)
Zindagi Ki Asal Khoobsurti :
“Zindagi Ki Asal Khoobsurti Ye Nahin Ke Tum Kitne Khush Ho, Balke Zindagi Ki Asal Khoobsurti Tou Ye He Ke Doosrey Tum Se Kitna Khush Hain”
– Imam Ali (RadiAllahu Anhu)
70 Saal Ki Ibaadat Se Behtar 7 Wo Pal :
Hazrate Imaam Gazali (Rahmatullah Alayh) Farmate Hai: “Woh Saat (Ghadi, Pal) Jisme Insan Apne Aapko Zaleel Khayaal Karta Hai, 70 Saal Ki Ibadat Se Behtar Hai”.
– (Ahya-Ul-Uloom)
Nafs Bohat Keemti Hai :
Hazrate Ali (RadiAllahu Anhu) Farmate Hai, “(Aye Ibne Aadam!) Tera Nafs Bohat Keemti Hai, Isey Jannat Se Kam Kisi Keemat Pe Mat Baich”.
Duniya Ek Baag Hai :
Imam Fakhruddin (Rehmatullah Alayh) Farmate Hain Ke, “Duniya Ek Baag Hai” Jise 5 Cheezon Se Sajaya Gaya Hai.
1) Aalimo Ke Ilm Se.
2) Haakimo Ke Insaaf Se
3) Ibadat Guzaron Ki Ibadat Se
4) Tajiron Ki Amanat Se.
5) Aur Ahle Pesha Ki Naseehat Se.
To Iblees Ne 5 Kism Ka Jhanda Lakar Unn Cheezon Ke Bagal Me Gaad Diya :
1) Ilm Ke Pehlo Me Hasad Ka Jhanda.
2) Insaaf Ke Bazun Me Zulm Ka Jhanda
3) Ibadat Ke Bagal Me Riyaa Kari Ka Jhanda
4) Amanat Ke Pehloo Me Khayanat Ka Jhanda
5) Aur Ahle Pesha Ke Bazu Me Khot Ka Jhanda.
– (Tafseer-e-Kabeer, Jald Awwal, Safa 276, Ilm Aur Ulma)
Neeche Baithne Wala Kabhi Girta Nahi :
Hazrat Ali (RadiAllahu Anhu) Se Kisi Ne Kaha Ke, Aap Ameer-Ul-Momneen Hain! Neeche Zameen Pe Kyu Baithe Hain ?
Aap Hazrat Ali (Radi’Allahu Anhu) Ne Jawaab Diya Ke, “Neeche Baithne Wala Kabhi Girta Nahi”
Allah Ek Hee Waqt Saari Kainaat Se Hisaab Kaise Lega ?
Hazrat Ali (Radi’Allahu Anhu) Se Pucha Gaya Ke, Allah Qayamat Ke Din Ek (1) Hee Waqt Saari Kainaat Se Hisaab Kaise Lega ?
Hazrat Ali (Radi’Allahu Anhu) Ne Farmaya – Jaise 1 Hee Waqt Me Saari Kainaat Ko Rizq De Raha Hai.
Kamiyab Woh He Jisne Khuloos Ke Sath Amal Kiya :
Hazrat Imam Gazali (Rehmatullahi Alaihi) Farmate Hai:
“Duniya Ke Saare Insan Murda Hai, Zinda Wo He Jo Ahle Ilm Hai.
Saare Ahle Ilm So Rahe Hai, Jaag Woh Raha He Jo Amal Kar Raha Hai.
Saare Ahle Amal Khasarre Me Hai, Kamiyab Woh He Jisne Khuloos Ke Sath Amal Kiya.
Sabaq : Pehle Din Ka Ilm Sikhe Fir Uspar Allah Ko Raazi Karne Ke Liye Amal Kare.
Musibat Ke Waqt Aaraam Ki Talaash Na Kar :
Hazrat Imaam Ja’afar (RadiAllahu Anhu) Farmate Hai:“Musibat Ke Waqt Aaraam Ki Talaash Na Kar, Kyun Ki Iss Se Aaraam Tou Nahi Milega, Lekin Musibat Zarur Ziyada Ho Jayegi.”
Maa Ek Darakht Hai Jo :
Saiyedah Fatima Zehra (Radi’Allahu Anha) Ne Farmaya –Maa Ek Darakht(Tree) Hai Jo Dhup Seh Kar Ke Aulaad Ko Chanw Deti Hai..!!
– (Sirat-e-Fatima)
Jab Matlab Haasil Ho Jaye :
Aala Hazrat (Rahmatullah Alayh) Farmate Hai, “Jab Matlab Haasil Ho Jaye Usey Allah Ki Inayat Aur Meharbani Samjho Apni Chalaki Ya Danaai Na Jaano”
Waqt Talwar Ki Tarah Hai :
Waqt Talwar Ki Tarah Hai, Agar Tumne Usey Na Kaata (Sahi Istimal Na Kiya) Tou Woh Tumhe Kaat Dega.
– Imam Shafaee (RadiAllahu Anhu)
Kaam Karoge To Mukhalifat Bhi Hogi :
“Kaam (Mehnat) Karoge Tou Mukhalifat Bhi Hogi, Pichhe Mood Kar Dekhoge Tou Kaam Adhura Reh Jayega”.
– Hazrat Rafiq e Millat (Rehmatullah Alayh)
Kitna Bad-Bakht Hai Woh Shakhs Jo :
“Kitna Bad-Bakht Hai Woh Shakhs Jo Khud Tou Mar Jaaye Magar Uss Ka Gunaah Baaqi Rahe”.
– Hazrat Abu Bakar Siddique (Radi’Allahu Anhu)
Sabr Ek Aisi Sawaari Hai Jo Sawaar Ko :
1) Sabr Ek Aisi Sawaari Hai Jo Sawaar Ko Kabhi Girney Nahi Deti.
2) Jo ‘Khuda’ Ko Naraaz Kar Ke Logo’n Ki Khush-Nudi Haasil Karna Chaahey Tou ‘Khuda’ Uss Ko Logo’n Par Hi Chod Deta Hai
– Farman-e-Hazrat Ali (RadiAllahu Anhu)
Soorat Aur Seerat Me Farq :
“Soorat” Aur “Seerat” Me Sab Se Bada Farq Yeh He Ke Soorat “Dhoka” Deti He Jab Ke Seerat “Pehchaan” Karaati He
– Hazrat Ali (Radi Allahu Anhu)
Uss Se Mohabbat Karo Jo Tumse Mohbbat Karta He :
Hazrat Ali (Radi Allahu Anhu) Ne Farmaya…
1: Uss Se Mohabbat Karo Jo Tumse Mohabbat Karta Hai.
2: Mooh Se Hamesha Achchey Alfaaz Hi Nikalo Taake Apney Dushman Ko Bhi Dost Bana Sako.
3: Jo Zaraa Si Baat Par Dost Naa Raha Woh Dost Tha Hi Nahi.
4: Jise Aise Dost Ki Talaash Hai Jis Me Koi Khaami Naa Ho Usey Kabhi Dost Nahi Milega.
5: Haqiqi Dost Se Badh Kar Koi Aaina Nahi Hai.
6: Mohabbat Unse Karo Jo Neki Kar Ke Faramosh Kar Dete.
Mana Ki Hui Baaton Se Parhez Karna Hi Taqwa :
Manaa Ki Hui Baaton Se Parhez Karna Hi Taqwa Sachchaai Hai Aur Deen-e-Islaam Ki Asl Hai.
– Hazrat Mujadid-e-Alfesani Rehmatullah Alaih
Qaul Wa Amal Ka Goodah Ikhlas Hain :
Hazrat Abdul Qadir Jilani (Rahmatullah Alayh) Farmate Hain “Qaul Wa Amal Ka Goodah Ikhlas Hain, Qaul Wa Amal Jab Ikhlas Se Khali Ho Jaye Tou Bagair Goodeh Ka Chilka Reh Jayega, Aur Jaante Hi Ho Ki Chilka Siway Jalane Ke Aur Kisi Bhi Kaam Me Nahi Aata!”
– (Sirat-A-Gaus-A-Alal-Aazam, Pg-105)
Duniya Ki Musibaten Kamyabi Ki Buniyaad Hai :
Duniya Ki Musibaten Zaahir Me Zakhm Deti Hai, Lekin Haqeeqat Me Kaamyabi Ki Buniyaad Hai.
– Hazrat Mujaddid-e-Alfesani (RadiAllahu Anhu)
Dil Me Sakhti Badan Me Susti aur Rizq Me Tangi :
Tumhare Dil Me “Sakhti”, Badan Me “Susti” Aur Rizq Me “Tangi” Tumhari “Faltu” aur “Bekaar Baaton” Ka Natija Hai.
– Hazrat Imam Malik Bin Dinaar (Rehmatullah Alayh)
Halaal Tareeqon Se Rozi Kamane Wala :
Halaal Tareeqon Se Rozi Kamane Wala Allah Ta’ala Ka Mehmaan Hai.
– Khwaja Usman Harooni (Rehmatullah Alayh)
Insan Duniya Me Ess Kadar Mashghool :
Insan Dunia Me Ess Kadar Mashghool Hota Hai Ke, Usay Pata Bhi Nahi Chalta, Ke Jis Kapde Se Uss Ka Kafan Ban’na Hai Wo Bazar Ma Aa Chuka Hai.
– Hazrat Ali (RadiAllahu Anhu)
Jiski Nigahain Azad Ho Uska Dil Ranjeeda :
Jiski Nigahain Azad Ho Uss Ka Dil Ranjeeda Hota Hai, Jo Baar Baar Azadaana Nigaah Karta Hai Wo Hamesha Hasrato Me Mubtla Rehta Hai.
– Hazrat Ali (RadiAllahu Anhu)
Jis Ka Rabita Allah Se Ho Wo Nakam Nahi Hota :
Jis Ka Rabita Allah Se Ho Wo Naakam Nahi Hota, Naakam Wo Hota Hai Jis Ki Ummidain Duniya Se Wabasta Hon.
– Hazrat Ali (Radi’Allahu Anhu)
Sajdah Shukr :
Hazrat Abu Bakr RadiyAllahu Anhu farmate hain ke “Jab bhi koi Khushi ki baat ya khush khabri Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ke samne Aati to Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Allah ka Shukr ada karte hue Sajdah mein gir jate the.”
[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 2 :: Hadith 1001]
Jhoot Bolne Ka Wabaal :
Hazrat Ibn E Umar Radi ALLAHU Ta’ala Anhu Se Rivayat Hai K Huzur E Akram (Alaihis Salaato Was_Salaam ) Ne Farmaya K Jab Banda Jhoot Bolta Hai To Uski Badboo Se Farishta 1 Meel (Mile) Door Hat Jaata Hai.
[Tirmizi Shareef, Anwarul Hadees, Pg: 413]
[1 Mile = 1.6 Km / 1600 m]
Mohabbat Bhara Musafha aur Mulaqat :
“Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Jab Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Kisi se Musafha Farmate to us Waqt tak uske Hath se Apna hath Nahin kheenchte the Jab tak wo Khud na Kheench leta aur us Waqt tak us ki Taraf se Chehrah Mubarak Nahin Pherte the Jab tak wo Khud Chehra na Pher leta.”
[Shuab ul Iman Al-Bayhaqi : 8132 Sahih]
Aurat ka Khushbu Laga kar Nikalna :
Hazrat Abu Musa Al-Ash’ari RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya:
“Jo bhi Aurat Khushbu Laga kar (Na Mahram) Mardon ke Paas se is Liye Guzre ke Wo uski Khushbu Soongh len to Aisi Aurat Zaniya hai.”
[Urdu Ref :: Sunan an-Nasa’i :: Vol. 3 :: Hadith1427]
Like this:
Like Loading...