quotes about life

 

Qaul Mubarak | Aqwal E Zareen | Islamic Quotes

 

 

38 min read
Qaul Mubarak (Buzurgan e Deen Ke Irshadat) – Islamic Quotes In Roman Hindi Urdu English: Islamic Quotes also Known as best islamic sayings, short islamic quotes for whatsapp status, Islamic Aqwal E Zareen, islamic qol, qol mubarak, etc

Haq Ki Talash Me Koshish Karte Raho :

Hazarte Shaikh Abdul Qadir Jilani (Rehmatullah Alaih) Farmate Hai –

“Shirk Sirf Boot Parsti Hi Nahi Hai Balki Nafsani Khwahishat Ki Pairwi Aur Duniya Ki Kisi Bhi Chiz Ke Sath Ishq Ki Kefiyat Se Munsalik Ho Jana Ye Sarahatn Shirk Hai, Khuda Ke Siwa Har Chiz Gaire Khuda He Aur Har Gaire Khuda Ki Khwahish Shirk Hai, Lihaza Is Se Parhez Karo. Apne Nafs Ki Buraiyyo Se Darte Raho, Haq Ki Talash Me Koshish Karte Raho, Gaflat Ki Zindgi Ko Apna Shiaar Na Banawo, Musalman Kabhi Gafil Nahi Rehta.

Aatishbaji Haram :

Afsos ! Aatishbaji Ki Napaak Rasm Ab Musalmano Me Zor Pakadati Ja Rahi Hai, Musalmano Ka Lakho-Karodo Rupiya Har Saal Aatishbaji Ki Nazr Ho Jata Hai. Aur Aaye Din Yeh Khabare Aati Hai Ke – “Falah Jagah Aatishbaji Se Itne Ghar Jal Gaye Itne Log Aag Me Jhulas Kar Marr Gaye Vagaira Vagaira !!!”
Ismey Jaan Ka Khatra Maal Ki Barbadi Aur Makaan-o-Dukaan Me Aag Lagne Ka Andesha Hai, Fir Iss Kaam Me Allah Taala Ki Razamandi Kaise Ho Sakti Hai?
Qaul-e-Mubarak: Hazrate Mufti Yaar Khan (Rahmatullah Alayh) Farmatye Hai “Aatishbaji Banana, Bechna, Kharidna, Kharidwana, Chalana Aur Chalwana Sab Haraam Hai”
– (Islami Zindagi, Safa 78 )

Gunah Dil Ko Pareshan Rakhta Hai :

Hazrate Usman-e-Gani (RadiAllahu Anhu) Farmate Hai –
1). Ta’ajub Hai Uss Par Jo Jannat Par Emaan Rakhta Hai Aur Phir Bhi Duniya Ke Saath Aisho Aaram Se Waabasta Rehta Hai.
Ta’ajub Hai Uss Par Jo Dozakh (Ke Azaab) Ke Baarey Me Jaanta Hai Phir Bhi Gunah Se Door Nahi Hota.
Ta’ajub Hai Uss Par Jo Shaitaan Ko Dushman Jaanta Hai Aur Phir Bhi Uss Ki Ita’at Karta Hai.
2). Gunaah Kisi Na Kisi Surat Me Dil Ko Pareshan Rakhta Hai.

3). Khamoshi Ghusse Ka Behtareen Ilaaj Hai.
4). Haqeer Se Haqeer Pesha Ikhtiyar Kar Ke Mehnat Karna Haath Failane Se Zyada Behtar Hai.

Bagair Ilm Ke Fatwe Dene Se Bacha Karo :

Jisko Bagair Ilm Fatwa Diya Gaya Ho Uska Gunaah Uss Fatwa Denewale Par Hai Aur Jisne Apne Bhai Ko Mashwara Diya Aur Yeh Jaanta Hai Ki Bhalai Uske Gair Me Hai Usne Khyanat Ki.
– (Abu Dawood,/ Islami Akhlaq O Aadab, Page No.294)

Sabaq: Lihaja Bagair Ilm Ke Fatwa Dene Se Bacha Karo, Warna Mumkin Hai Ke La’ilmi Me Fatwa Dene Wala Hi Gunaahgar Ho Jaye. Aur Yeh Jante Hue Ke Uska Apne Bhai Ko Diya Hua Mashwara Uske Bhai Ke Bhalai Ke Khilaf Hoga Tou Goyaa Aisa Hai Ke Mashwara Dene Wale Ne Apne Bhai Ki Bhalayi Me Khayanat Ki.

Lalachi Shakhs Ke Paas Amanat Mehfooz Nahi Ho Sakti :

Imaam Abu Hanifa (Rehmatullah Alaih) Farmate Hai, Mere Nazdeek Kisi Bakheel(Kanjus) Ko Adal Qarar Dena Durust Nahi. Kyu Ke Iss Se Lalach Ubharta Hai Nateejah Woh Nuqsaan Ke Khauf Se Apne Haq Se Ziyada Le Leta Hai, Lehaza Jis Shakhs Me Bukhul(Kanjusi) Ki Sifat Paai Jati Hai Uss Ke Paas Amanat Mehfooz Nahi Ho Sakhti.
– (Ahya Uloom, Kitab Zam Hubul Maal, Biyan Zam Bukhl, Vol.3, Page:342)

Bimaari Ka Sabr Aur Shukr Se Istaqbal Kiya Karo :

Aye Imanwalo! Jab Tum Bimaar Ho Jao To Sabr Aur Shukr Se Uska Istaqbal Karo Taa’ke Wo Tumhare Liye Rehmat Ban Jaye.
– Syedna Sheikh Abdul Qadir Jilani (Rehmatullah Alaih)

Kis Ka Aamal Khalis Hai ?

Hazrat e Isha (Alaihay Salam) Se Hawariyon Ne Arz Kiya, “Kis Ka Aamal Khalis Hai ?
Hazrat Isha (Alaihay Salam) Ne Farmaya : “Uss Ka Amaal Khalis Hai Jo Allah Ki Raza Ke Liye Aamal Kerta Hai Aur Usey Ye Baat Pasand Nahin Hoti Ke Uske Aamal Per Uss Ki Koi Taarif Kare!”
– (Ihya-Ul Uloom, Jild 5, Page 110)

Sabaq: Lihaja Koi Nek Kaam Ki Niyat Kare Tou Mehaz Allah Ki Raza Ke Liye Hi Uss Kaam Ko Anzam De. Logon Se Uss Kaam Ki Uzrat Ki Ummid Rakhna Goya Riyaa Wa Takabbur Ke Siwaa Aur Kuch Bhi Nahi. Aur Allah Taala Ke Nazdik Usi Shakhs Ka Amaal Mehboob Hai Jo Riyakari Wa Takabbur Se Apne Aamal Ki Hifazat Kare.!!!

Takabbur (Pride, Ego) :

Hazarat-e-Muhammad Bin Husain Bin Ali (Razi’Allahu Anhu) Ka Qaul Hai Ke, “Insan Ke Dil Me Jitna Taqabbur Dakhil Hota Hai Utna Hi Uski Akl Kam Hoti Hai.

Takabbur Zyada Ho Tou Aqal Bahut Kam Hoti Hai Aur Agar Taqabbur Thoda Ho Tou Usi Ke Hisaab Se Aqal Kum Ho Jati Hai.

Janabe Sulaiman (Rehmatullah Alaih) Se Uss Gunaah Ke Muta’llik Puchha Gaya Jiski Maujudgi Me Neki Koi Fayda Nahi Deti Tou Unho Ne Kaha Woh Takabbur.
– (Mukasafatul Qulub Baab 42)

निकाह औरत मर्द के साथ-साथ दरअसल दो खानदान का भी रिश्ता होता हैं :

निकाह दरहकीकत एक ऐसा ताल्लुक हैं जो औरत मर्द के दरम्यान एक पाकदामन रिश्ता हैं जो मरने के बाद भी ज़िन्दा रहता हैं बल्कि निकाह हैं ही इसलिये के लोगो के दरम्यान मोहब्बत कायम रह सके| जैसा के नबी सल्लललाहो अलेहे वसल्लम ने फ़रमाया-

हदीस : हज़रत अब्दुल्लाह बिन अब्बास (रज़ी अल्लाहु अनहु) से रिवायत हैं के रसूलल्लाह (सल्लल्लाहु अलैहि व सल्लम) ने फ़रमाया – के ‘आपस मे मोहब्बत रखने वालो के लिये निकाह जैसी कोई दूसरी चीज़ नही देखी गयी|’
– (इब्ने माजा)
हदीसे नबवी से साबित हैं के निकाह औरत मर्द के साथ-साथ दरअसल दो खानदान का भी रिश्ता होता हैं जो निकाह के बाद कायम होता हैं|
इसका अव्वल तो ये फ़ायदा होता हैं के अगर एक मर्द और औरत की निकाह से पहले मोहब्बत मे हो तो गुनाह के इमकान हैं लेकिन अगर उनका निकाह कर दिया जाये तो गुनाह का इमकान नही रहता. दूसरे उनकी मोहब्बत हमेशा के लिये निकाह मे तबदील हो जाती हैं जो जायज़ हैं साथ ही दो अलग-अलग खानदान आपस मे एक-दूसरे से वाकिफ़ होते हैं और एक नया रिश्ता कायम होता हैं|
मोहब्बत के साथ-साथ निकाह नफ़्स इन्सानी के सुकुन का भी ज़रिय हैं जिससे इन्सान सुकुन और फ़ायदा हासिल करता हैं|
अल्लाह कुरान मे फ़रमाता हैं-
अल-कुरान : और उसी की निशानियो मे से एक ये हैं की उसने तुम्हारे लिये तुम्ही मे से बीवीया पैदा की ताकि तुम उनके साथ रहकर सुकून हासिल करे और तुम लोगो के दरम्यान प्यार और उलफ़त पैदा कर दी| इसमे शक नही गौर करने वालो के लिये यकिनन बहुत सी निशानिया हैं|
– (सूरह रूम सूरह नं 30 आयत नं 21)

Pehle Baatin Ko Sawaaron Fir Jaahir Ko Baad Me :

Hazrate Abdul Qadir Jilani (Rehmatullah Alaih) Farmate Hai – “Quran Ka Ek Kinara Allah Ke Hath(Dast-e-Qudrat) Me Hai Aur Dusra Makhlooq Ke Hath Me, Bas Isi Ko Allah Ta’ala Tak Pahuchne Ka Wasila Banaao Amal Karke!
Pehle Makaan Ko Ander Se Banaya Jata Hai, Baaher Baad Me! Isi Tarha Tum Apne Baatin Ko Sawaaron, Baaher (Jaahir) Ko Baad Me!”
– (Sirat-A-Gaus-A-Alal-Aazam)

Tab Tak Momin Ka Imaan Qaamil Nahi Ho Sakta :

Momin Ke Dil Me Jab Tak Lalach Ya Makhlooq Me Se Kisi Ka Khauf Baaki Hai, Tab Tak Uska Imaan Qaamil Nahi Ho Sakta”
– Abdul Qadir Jilani (Rehmatullah Alaih)

Agar Tum Mout Ki Raftar Ko Dekh Lete :

Farmane Hazrat Ali (Radi Allahu Anhu) Hai Ke,“Agar Tum Mout Ki Raftar Ko Dekh Lete Toh, Tum Zaroor Ummeedo Aur Umango Se Nafrat Karte. Aur Hargiz Inn Me Maghroor Na Hote”.

Jo Buri Jagah Jaata Hai, Wo Badnaam Hota Hai :

Hazrate Ja’afar Saadiq (Radi Allahu Anhu) Ne Hazrat Sufiyaan Souri (Radi Allahu Anhu) Se Farmaaya –
“Mujhe Mere Waalid Ne 3 Behtareen Adab Ki Baaten Sikhlaayin Aur Farmaaya:
1. Aye Bete ! Jo Buron Ki Sohbat Ikhtiyar Karta Hai, Salamat Nahi Rahta.
2. Jo Buri Jagah Jaata Hai, Mutthim (Badnaam) Hota Hai.
3. Aur Jo Apni Zubaan Ki Hifazat Nahi Karta, Sharmindagi Uthata Hai.
– (Mukasifatul Qulub: Baab-52, Page)

Taqdeer Se Ladai Jhagda Aur Mukhalifat Na Kar :

Hazrate Abdul Qadir Jilani (Rehmatullah Alaih) Farmate Hai Ki –
“(Aye Ibn-e-Aadam !) Taqdeer Se Ladayi-Zagda Aur Mukhalifat Na Ker Warna Tu Tabah Ho Jayega, Tu ALLAH Ke Her Kaam Per Raazi Reh! Jab Dil Durust Hota Hain Tou Nazar Bhi Durust Hoti Hain, Aur Jab Dil Durust Hota Hain To Banda Apne Rab Se Karib Hojata Hain!”.
– (Sirat-A-Gaus-A-Alal-Aazam)

Fakiron Aur Garibon Ko Bhi Khilaya Karo :

Hazrate Abdul Qadir Jilani (Rehmatullah Alaih) Farmate Hai Ki, “Saahibo! Roza Rakho, Lekin Jab Iftaar Karo Tou Thodasa Khana Apni Iftaari Me Se Faqeeron Aur Gareebon Ko Bhi De Do! Akele Mat Khao! Kyonki Jo Shakhs Tanha Khata Aur Dusron Ko Nahi Khilaata, Usper Khauf Hain Ki Mohtaj, Faqeer Aur Bhik-Manga Na Ban Jaye!”
– (Sirat-A-Gaus-A-Alal-Aazam)

Allah Ta’aala Humse Taqwa Aur Ikhlas Chahta Hai :

Hazrate Abdul Qadir Jilani (Rehmatullah Alaih) Farmate Hai Ki, Allah Ta’aala Tumhare Jaahiri Amaal Ko Nahi Dekhta, Wo Tumse Taqwa Aur Ikhlas Chahta Hain, Usney Apni Kitaab(Qalaam) Me Saaf-Saaf Farma Diya Hai Ki“Mujh Tak Tumahra Qurbani Ka Gosht Aur Khoon Nahi Pahuchta ! Balki Tumahra Taqwa Pahuchta Hain!”
– (Sirat-A-Gaus-A-Alal-Aazam)

Asal Bujurgi To Rooh Ki Bujurgi Hai :

Hazrate Abdul Qadir Jilani (Rehmatullah Alayh) Farmate Hai,
* Taqdeer Ke Saaye Me Aaraam Karo,
* Sabr Ko Apna Takiya Banalo,
* Taqdeer Ki Muafiqat Ko Apne Gale Ka Haikal (Locket) Banalo!
* Mote-Mote Kapde Pahen Lene Se Bujurgi Nahi Paida Hoti,
* Asal Bujurgi Tou Rooh Ki Bujurgi Hain Fir Uskey Baad Uska Asar Zaahir Hota Hain!
– (Sirat-A-Gaus-A-Alal-Aazam)

Jo Shakhs Tumhara Gussa Bardasht Kar Le :

Hazrat Ali (RadiAllahu Anhu) Farmate Hai.
» Uss Waqt Tak Koi Faisla Na Karo Jab Tak Tumhare Khoon Ki Gardish Aur Dil Ke Dharkan Pur-Sakuun Na Ho Jaye.
» Jisne Tujhe Tere Aib Bataye Agar Tujhe Aqal Ho Tou Beshak Usne Tujh Par Ehsaan Ki Inteha Kardi.
» Insan Ka Apne Dushman Se Inteqam Ka Sab Se Accha Tarika Ye Hai Ki Wo Apni Khubiyo Me Izafa Kare.
» Jo Shakhs Tumhara Ghussa Bardasht Kar Le Aur Sabit Qadam Rahe, Wohi Tumhara Sacha Dost Hai.

Apne Baccho Ko Acche Aakhlaq Sikhao :

Acche Aakhlaq :
“Agar Chahte Ho Ke Tumhara Naam BaaKi Rahe Tou Apne Baccho Ko Acche Akhlaaq Sikhao”.
– Hazrate Shaikh Sayed (Rehmatullah Alaih)

Badnigahi Deen Ka Safaya Ker Degi :

Hazrate Abdul Qadir Jilani (Rehmatullah Alaih) Farmate Hain –
“(Aye Ibne Aadam !) Aisi Jagah Mat Baith Jahan Teri Tabiyat Ka Josh Bhadak Ker Khud Tere Hi Imaan Ke Ghar Ko Aag Laga De, Jab Teri Tabiyat, Khwaish, Nafs Aur Tere Ander Ka Shaitaan Yeh Sab Bhadak Uthenge Tou Wo Deen Ka Safaya Kerdenge!”.
– (Sirat-A-Gaus-A-Alal-Aazam, Pf-105,106)

Aqlmand Wo Hai Jo Doosron Ki Naseehaten Sunta Hai :

Daawat Qabool Karne Me Ameer-O-Gareeb Ka Farq Naa Karo Aur Door Hone Ki Wajeh Se Daawat Radd Na Karo.
– Hazrat e Imam Gazali (Rehmatullah Alaih)
Apni Zarooraten Kum Karoge Tou Rahat Hasil Hogi.
– Hazrat e Imam Shafi’i (Radi Allahu Anhu)
Aqlmand Wo Hai Jo Doosron Ki Naseehaten Sunta Hai.
– Hazrat e Suleman (Alaihis Salam)
Agar Tum Logon Ke Kasoor Muaf Karoge Tou Allah Ta’ala Tumhare Kasoor Muaf Karega.
– Hazrat e Idrees (Alaihis Salam)
Khamoshi Gusse Ka Behtareen Ilaj Hai.
– Hazrate Usman-e-Ghani (Radi Allahu Anhu)
Kisi Per Ehsan Karo Tou Uss Ko Chupao Agar Tum Per Koi Ehsan Kare Tou Usey Jahir Karo.–
– Hazrate Ali (Radi Allahu Anhu)
Neki Karne Me Der Na Karo Aur Badla Lene Me Jaldi Na Karo.
– Hazrat Shafeeq Balgi (Rehmatullah Alaih)
Aqalmand Bolne Se Pehle Sonchta Hai Aur Bewaqoof Bolne Ke Baad Sonchta Hai.
– Hazrat e Hasan Basri (Radi Allahu Anhu)
Accha Dost Wo Hai Jo Musibat Ke Waqt Kaam Aaye.
– Hazrat e Shaikh Sa’di (Rehmatullah Alaih)
Quraan-e-Kareem Ka Sirf Mutala Hi Na Karo Bal Ke Uss Ko Samajhne Ki Koshis Bhi Karo.
– (Allama Iqbal).
Gusse Ki Halat Me Koi Faisla Na Karna Aur Khushi Ki Halat Me Koi Waada Na Karna.
– Hazrat e Ali (Radi Allahu Anhu)

3 Cheezen Mohabbat Badhane Ka Zariya Hai :

1. Salaam Karna.
2. Doosron Ke Liye Majlis Me Jagah Khali Karna.
3. Mukhatab Ko Behtareen Naam Se Pukarna.
– Hazrat e Umar Farooq (Radi Allahu Anhu)

Dushman Ko Muaf Karna Acche Nafs Ki Zeenat :

Al-Quraan : Jo Ghusse Ko Pee Jate Hai Aur Doosro’n Ke Kasoor Muaf Kar Dete Hain, Aise Log Allah Ko Bohat Pasand Hain.
– (Surah-Al-Imran 134:3)
Hadees : Jo Shakhs Kisi Ko Muaf Kar Deta Hai, Usse Allah Ta’ala Izzat se Sarfaraz Karta Hai.
– (Muslim Sharif)
Hadees : Wo Shakhs Jannati Hai Jo Raat Ko Soney Se Pehle Sab Ko Mua’af Ker Ke Soye.
Hadees : Ek Roz Sayyiduna Musaa (Kalimullah Alaihi Salam) Ne Arz Kiya Ke, “Aey Rab! Tere Nazdeek Kaun Sa Banda Zyada Izzat Wala Hai?”
Allah Ta’ala Ne Farmaya – “Wo Jo Badla Lene Ki Kuwwat Ke Ba’wajud (Dushman Ko) Muaf Karde”.
– (Sho’abul Iman, Jild-6, Page No.319, Hadees#8327)
Qaul Mubarak : Agar Tum Badla Lena Chahte Ho Tou Aisa Badla Lo Ke, Saamne Wala Zindagi Bhar Yaad Rakhe, Aur Aisa BADLA ! Muaf Kar Dena Hain.
– Hazrat Ali (Radi Allahu Anhu)
Qaul Mubarak : Bhooke Ko Khana Kheelana, Hajat-Ravai Karna, Dushman Ko Muaf Karna Acche Nafs Ki Zeenat Hai.
– Hazrat Khwaja Moinuddin Chishti (Rehmatullah Alaih)
Qaul Mubarak : Logon Ko Itni Jaldi Muaf Kar Diya Karo Jitni Jaldi Tum Allah Se Muafi Ki Ummid Rakhte Ho.
– Hazrat Umar-e-Farooq (Radi’Allahu Anhu)

Zyada Khaane-Peene Se Dil Halaak Ho Jaata Hai :

Hadees : Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai Ki, “Apne Dilon Ko Zyada Khaane-Peene Se Halaak Na Karo, Jis Tarah Zyada Paani Se Kheti Tabaah Ho Jati Hai, Usi Tarah Zyada Khaane-Peene Se Dil Halaak Ho Jaata Hai”.
– (Mukashifatul Quloob Page#55)
 
Hadees : Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai Ki, “Allah Ta’ala Ko Tum Me Se Ziyada Woh Banda Pasand Hai Jo Kam Khaane Wala Aur Halke Badanwala Ho”.
– (Jaam-e-Sagir Safa:20 Hadees:221)
Qaul Mubarak : Hazrate Umar Farooq-e-Aazam (RaziAllahu Anhu) Farmate Hai, “Apne Aap Ko Pait Bhar Kar Khaane Se Bachaao, Ki Yeh Zindagi Me Bojh Aur Mout Ke Waqt Badboo Hai”.
– (Ihyaul Uloom Jild:3, Safa:90)

Qaahili Aur Gaflat Se Bacho :

Hazrat Imam Hussain Ibn-e-Ali (RadiAllahu Anhu) Farmate Hai Ke –
“(Aye Emaanwalo !) Tum Log Do (2) Aadato Se Bacho, Qaahili Aur Gaflat Se !
Qaahili Tumhe Haq Ke Faraiz Anjam Dene Se Mehrum Karegi Aur Gaflat Se Tum Haq Par Emaan Rakhne Ke Qaabil Nahi Reh Sakoge,
Mere Jadd-e-Amjad (Nana) Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Wasiyat Hai Ke, Ek Bhai Dusre Bhai Se Mulaqaat Karey, Ke Yeh Amaal Aapas Me Mohabbat Paida Karati Hai”.
– (Safar-e-Karbala)

Mout Ko Shahadat Aur Zalimin Ke Sath Zindagi Zillat :

Aaqa Hussain Ibn-e-Ali (RaziAllahu Anhu) Jab Kufa Ke Safar Par Nikle Tou Farmaya –
“Mai Khudpasandi, Sarkashi, Fasaad Aur Na-Insafi Ke Liye Nahi Nikla Hu, Balki Mai Apne Jadd (Nana) Rasool’allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Ummat Ke Islah Ke Liye Nilkla Hu !
Kya Tumhe Dikhayi Nahi Deta ? Ke Haq Par Amal Nahi Ho Raha Aur Baatil Se Roka Nahi Ja Raha. Mai Aesi Haalat Me Mout Ko Shahadat Aur Zaalimin Ke Sath Zinda Rehne Ko Zillat Manta Hu”.
– (Safar-e-Karbala)

Agar Rizq Aqal-O-Danish Se Milta :

Hazrate Ali (Radi Allahu Anhu) Farmate Hai ke, “Agar Rizq Aqal-O-Danish Se Milta Tou Jaanwar Aur Bewaqoof Zinda Hii Na Rehte.”
 
Sabaq : Lihaja Aye Imanwalo! Jo Shakhs Yeh Gumaan Karta Hai Ke Usey Uski Aql (Mehnat-Mashakkat) Ya Kisi Ke Diye Hue Khairat Ki Vajah Se Rizzaq Nasib Ho Raha Hai Tou Yeh Unn Neymato Ki Nashukri Hai Jo Uskey Rab Ne Apne Fazl Se Usey Ata Ki Hai, Ke Beshaq Rizzaq Ataa Karne Waali Jaat Tou Sirf Allah Rabbul Aalmeen Hee Ki Hai.

Tamaam Khubiyon Ka Majmua Ilm Sikhna :

Abdul Qadir Jilani (Rahmatullah Alayh) Farmate Hai – “Tamaam Khubiyon Ka Majmua Ilm Sikhna, Uspar Amal Karna Aur Doosro Ko Sikhana Hai”.

Maut Ko Kasrat Se Yaad Kiya Karo :

Hadees : Farmane Mustafa (Sallallahu Alaihay Wasallam) Hai Ke “Lazzaton Ko Khatm Karne Waali Maut Ko Kasrat Se Yaad Kiya Karo”.
– (Sahih Bukhari)
Hadees : Hazrate Abu Hurera (Radi Allahu Anhu) Ne Kaha Ke, Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ke “Tum Me Koi Mout Ki Aarzoo Na Kare (Isliye Ke) Woh Ya Tou ‘Nekokar’ Hoga, Tou Mumkin Hai Iss Ke Nek Amal Me ‘Ziyadati’ Ho Jaye. Aur Ya ‘Badkar’ Hoga, Tou Ho Sakta Hai Ke Aainda Taubah Kar Ke Allah Ki ‘Khushnoodi’ Haasil Karle”.
– (Bukhari Shareef), Anwar-Ul-Hadees, Page Number 226)
Qaul Mubarak : “Mout Ko Hamesha Yaad Rakho, Magar Mout Ki Aarzoo Kabhi Naa Karo”.
– Hazrate Umar (RaziAllahu Anhu)
Qaul Mubarak : “Mout Ko Yaad Rakhna Nafs Ki Tamaam Bimaariyo Ki Dawaa Hai”.
– Hazrate Abdul Qadir Jilani (Rehmatullah Alayh)

Khudpasandi Se Parhez Kiya Karo :

Hazrate Ayesha Siddiqa (RaziAllahu Anha) Se Pucha Gaya Ke, “Aadmi Gunahgar Kab Hota Hai?,
Hazrate Ayesha Siddiqa Ne Farmaya – “Jab Usey Ye Gumaan Ho Ke Mai Nek-O-Kaar Yaani Nek Aadmi Hun”.
– (Ihya-Ul-Uloom, Jild 3, Page 452)
Hazrate Sayyiduna Zaid Bin Aslam Fermatay Hain, “Apne Aap Ko Nek-O-Kaar Mat Qarar Do Kyun Ke Ye Khudpasandi Hai”.
– (Ibid)
Hazrate Sayyiduna Mutarrif Farmatay Hain, “Mai Raat Bhar Ibadat Karun Aur Subah Khudpasandi Me Parroon Yaani Ye Samjhun Ke Mai Tou Bada Nek Aadmi Hun Iss Se Behtar Yehi Hai Ke Raat Soya Rahun Aur Subah Raat Ki Ibadat Se Mahrumi Per Afsos Karun”.
– (Ibid)

Tanha Shakhs Mehfooz Hai :

“Tanha Shakhs Mehfooz Hai. Har Gunaah Ki Takmeel Do Afraad Se Hoti Hai”.
– Shekh Abdul Qadir Jilani (Rehmatullah Alayh)

Aapas Me Galatiyon Ko Darguzar Kiya Karo :

“Aapas Me Galatiyon Ko Darguzar Kiya Karo. Qyunki Darguzar Na Karo Ge Tou Mohabbat Khatm Ho Jayegi,
Jab Mohabbat Khatam Hogi Tou Rabta Toot Jayega,
Jab Rabta Toot Jayega Tou Fasla(Doori) Ho Jayea.
Aur Yeh Fasla Ek (1) Din Tumhare Rishte Ko Tod Dega”.
– Hazrate Ali (Radi Allahu Anhu)

Deen Me Kisi Tarha Ka Jabr Nahi :

Deen-e-Islam Me Kisi Tarha Ka Jabr(Jabardasti) Nahi.Hidayat Paaney Me Kisi Ko Barso Lag Jaatey Hai Tou Kisi Ko Ek Pal.Waqt Ka Tayyum Sirf Allah Ta’ala Hi Karta Hai.
– Farmane Hazrate Bilal (Radi Allahu Anhu)

Imam Ki Pehchan Kya Hai ?

Hazrate Imam Hussain Ibn-e-Ali (Radi Allahu Anhu) Farmate Hai,“Imam Wo Hi Hai Jo – Kitaab-e-Khuda (Quran) Ke Mutabik Faisle Karey, Adaalat Ke Sath Qayaam Karey, Deen-e-Haq Par Amal Daramat Karey, Aur Khud Ko Khuda Ke Marbut Cheezo Me Khalis Karar De”.
– (Safar-e-Karbala)

Dua Kyu Kare ?

Imaam Jafar Sadiq (Radi Allahu Anhu) Se Kisi Ne Sawaal Kiya Ke –Agar Hamare Nasib Me Pehle Se Hi Sab Kuch Likh Diya Gaya Hai Tou Phir Dua Kyon Kare ?
Aap Ne Farmaya Ke, “Ho Sakta Hai Tere Parwardigar Ne Yehi Tumhare Naseeb Me Likh Diya Ho Ke Mango Ge Tou Milega Warna Nahi Denge”.
– (Mizan-Ul-Hikmat, Jild 2, Page 258)

Nazar Dil Me Sehwat Ka Beej Boti Hai :

Hazrate Ala Bin Ziyad (Rehmatullah Alayh) Farmate Hai, “Apni Nazar Ko Aurat Ki Chadar Par Bhi Na Dalo Kyun Ke Nazar Dil Me Sehwat Ka Beej Boti Hai”.
– (Ahya-Ul-Uloom Jild:3 Safa:131)

Qabr Kya Kehti Hai ?

Hazrate Bin Harb (Rehmatullahi Alayhi) Farmate Hai, “Zameen Ko Uss Shakhs Per T’ajjub Hota Hai Jo Apni Khwaab-Gaah Ko Durust Karta Aur Sone Ke Liye Narm Narm Bistar Bichhata Hai, Zameen Uss Se Kehti Hai,
Aye Ibne Aadam! Tu Mere Andar Tawil Arse Tak Apne Galne Sadney Ko Kyu Yaad Nahi Karta ?
Yaad Rakh ! Mere Aur Tere Darmiyaan Koi Cheez Haail Nahi Hogi (Yaa’ni Tujhe Zameen Per Bagair Gadele Hi Ke Rakh Diya Jaega)”.
– (Detail In Ehyaul Uloom Jild-4 Page-413)

Gamzada Logo Ke Gam Suna Karo :

Kisi Ka Dil Na Dukhaao, Ho Sakta Hai Ke Woh Aansu Tumhari Sazaa Ban Jaye, Dukhiyon Ki Madad Karna Aur Unki Fariyad Sun’na Afzal Ibadat Hai.
– Hazrate Khawaja Garib Nawaz (Rehmatullah Alayh)
Qaul Mubarak : Agar Zindagi Ko Hamesha Khushiyon Ke Sath Guzarna Chahte Ho Tou Gamzada Logo Ke Gam Suna Karo, Kabhi Dukhi Nahi Rahoge.
– Shaikh Sa’adi (Rehmatullah Alayh)

Imaandaar Aur Aabid :

Imaam Hussain (Radi’Allahu Anhu) Ne Farmaya…
∗ Imaandaar Wahi Hai Jo Aakhirat Ke Liye Tosha Jama Kare, Aabid Wahi Hai Jo Allah Ki Taqseem Par Raazi Rahe.
∗ Agar Tumhain Ek Dusre Ki Niyaton Ka Ilm Hota Tou Tum Ek Dusre Ko Dafan Bhi Na Karte.
∗ Kisi Nek Kaam Ko Dikhawe Ke Liye Mat Anjaam Do Aur Kisi Neki Ko Sharmindagi Ki Bina Par Mat Chodo.

Zaahir Par Na Ja! Aag Dekhne Mai Surkh Lagti Hai :

(Aye Ibne Aadam!) Zaahir Par Na Ja! Aag Dekhne Me Surkh(Lal) Lagti Hai Par Uska Jalaya Hua Sia Ho Jata Hai, Pus Duniya Bazaahir Khubsurat Aur Uska Jalaya Hua Badd’surat Hai.
– Hazrat Ali (Radi’Allahu Anhu)

Dua Ka Tareeqa :

Dua Ka Tareeqa Yeh Hai Ke Pehle Khuda Ki Humd-O-Tareef Karo Phir Gunaahon Ka Iqrar Karo Aur Phir Apni Hajat Talab Karo.
– Imam Jafer-e-Sadiq (Radi Allahu Anhu)

Fatah Ilm Aur Khuda Ke Aitmaad Hoti Hai :

* Fatah! Umeed Se Nahi Balki Ilm Aur Khuda Par Aitmaad Se Haasil Hoti Hai.
* Allah Ka Zikr Kia Karo Ke Iss Me “Shifa” Hai Aur Logo’n Ke Aib Bayan Na Karo Ke Iss Me “Bimaari” Hai.
– Hazrat Umar Farooq (Radi’Allahu Anhu)

Walida Ki Farmabardari Ka Silaah :

Qaul Mubarak : Hazrat Bayazid Bustami (Rehmatullah Alayh) Farmate Hai, “Mujhe Jitne Maratib (Martaba) Hasil Huwe Hain, Wo Sab Meri Walida Ki Farmabardari Se Haasil Huwe Hain”.
– (Tazkiratul Aulia)

Duniya Ka Gham Dil Me “Andhera” :

* Bada Khatakar Woh Hai Jis Ko Logon Ki Buraiyon Ka Zikr Karne Ki Faraghat Mili Ho.

* Duniya Ka Gham Dil Me “Andhera” Aur Aakhirat Ki Fikr Dil Me “Noor” Paida Karti Hai.

– Farmane Hazrat Usman-e-Ghani (RadiAllahu Anhu)

* बड़ा खताकार वो है जिस को लोगों कि बुरियों का ज़िक्र करने कि फ़राग़त मिली हो.

* दुनिया का गम दिल में “अँधेरा” और आखिरत की फिक्र दिल “नूर” पैदा करती है.

– फरमाने हज़रात उस्मान-ए-घनी (रजी अल्लाहु अन्हु)

Koi Bhi Kisi Muslman Ko Haqeer Khayal Na Kare :

Qaul Mubarak : Tum Me Se Koi Bhi Dusre Musalman Ko Haqeer Khayal Na KareIss Liye Ke Allah Ke Yahan Chote Musalman Ka Rutba Bhi Badaa Hai”
– Hazrate Abu Bakar Siddique (RadiAllahu Anhu)

Jisne Apne Nafs Par Qaabu Paya :

Hazrat Sulaiman (Alaihay Salam) Farmate Hai Ke, “Jis Shakhs Ne Apne Nafs Par Qaabu Paya, Wo Uss Shakhs Se Zyada Taqatwar Hai Jo Akela Ek Shehar Ko Fatah Kar Leta Hai”.

Hazrat Umar Farooq Radi Allahu Anhu ki 6 Nasihatain :

1) Jo aadmi zyada hansta hai uska raub kam ho jata hai.
2) Jo mazaaq zyada karta hai log usko halka aur be haisiyat samajhte hai.
3) Jo baaten zyada karta hai uski galtiya bhi zyada hoti hai.
4) Jiski galtiya zyada hoti hai uski haya kam ho jaati hai.
5) Jiski haya kam ho jati hai uski parhezgari kam ho jaati hai.
6) Jiski parhezgari kam ho jaati hai uska dil murda ho jaata hai.
(Hayatus sahaba jild 3 page no. 562)

  • Mard ki ghairat ka andaza uski Aurat k libaas or Parde se lagaya jata hai, Beparda Aurat beghairat Mard ki nishani hai.
    – Sultan Salahuddin Ayyubi Rehmatullah Alaih
  • HADEES E PAAK : Hazrath Abu Musa رضي الله تعالى عنه se rivayat hai ki Rasoollallah صلى الله عليه وسلم ne Farmaya, “Qaidi ko aazad karwaya karo, Bhukhey ko khilaya karo aur Beemar ki Ayadat kiya karo”.
    [Sahih Bukhari, Vol 4, #3046]
  • Apne Momin Bhaiyon Ke Liye Unki Gair Mojudgi Me Bhi Dua Kiya Karo, Iski Barkat Se Tumhare Rizq Me Izaafa Hoga. – Hazrat Imam Baqar RadiAllahu Anhu
  • Kisi Ka Aib Dekh Kar UsKo Chhupana, Bade Ajr-O-Sawaab Ka Bais Hai Aur Allah waalo Ki Aadat Hai.
    – Hazrat Sayyed Shah Abul Hussain Ahmade Noori Rehmatullah Alaih
  • Hazrat Abu Musa Radiyallahu Anhu se rivayat hai ki Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: “Qaidi ko aazad karwaya karo, Bhukhe ko khilaya karo aur Beemar ki Ayadat kiya karo”.
    [Sahih Bukhari, Vol 4, Hadees, 3046]
  • Hazrat Muhammad Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke “Agar logo ko maloom hota ke azaan kehne me kitna sawab hai, To us par apas me talware chalti.”
    [Musnad Imam Ahmad Jild 4 Safah 58 Hadees 11241]
  • हजरत_इमाम_शाफ़ई_रहमातुल्लाह_फ़रमाते_है…
    चार चीज़े बदन में कुव्वत पैदा करती है…
    1. गोश्त खाना
    2. खुशबु सुँघना
    3. कसरत से गुस्ल करना
    4. सूती कपड़ा पहननाचार चीज़े नज़र को तेज़ करती है…
    1. खान-ए-क़ाबा के सामने बैठना
    2. सोते वक़्त सुरमा लगाना
    3. सब्ज़ ज़ार को देखना
    4. साफ जगह बैठना

    चार चीज़े अक्ल को बढ़ाती है…
    1. फ़ुज़ूल बातो से परहेज़
    2. दाँत साफ़ रखना
    3. सलिहीन की मजलिस
    4. उल्माओ की सुहबत

    चार चीज़े रिज़्क को बढ़ाती है…
    1. तहज्जुद की नमाज़
    2. अस्तग़फ़ार की कसरत
    3. सदका की कसरत
    4. ज़िक्र कि कसरत

  • Jisne Allah k Deen ka Iqrar Zubaan Se Kiya Woh Musalman hai aur Jo Allah ki Baato par Amal bhi kare wo Momin hai.
    – Hazrat Imam Jafar Sadiq Radiallahu Anhu
  • Jannat Me Na Koi Bakhil (Kanjus) Dakhil Hoga Na DhokeBaaz Na Koi Khayanati Na Gulamo (Nokaro) K Sath Bura Suluk Karne Wala.
    – Hazrat Abu bakr Siddiq Radiallahu Anhu
  • Musalman Kamzor Nahi Hota Kamjori Us Wakt Aati Hai Jab Uske Dil Me Azmat E Rasoolallah Ki Kami Aa Jati Hai.
    – Hazrat Abu bakr Siddiq Radiallahu Anhu
  • Bahadur Ka Imtehaan Medan e Jung Me He,
    Dost Ka Imtehaan Zarurat Ke Waqt He,
    Aqal Mand Ka Imtehaan Gusse Ki Halat Me Hota He.
    – Hazrat Usman Gani RadiAllahu Anhu
  • Umm Al-Mu’minin Hazrat A’ishah Siddiqah RadiyAllahu Anha Farmati Hain: Hazrat Ali Tamam Logo’n Se Badh Kar Sunnat Ke Aalim Hain.
    [Ibn Asakir Fi Tarikh Madinat Al-Dimashq, 42/408.]
  • Hazrat Farooq e Azam رضی اللہ تعالی  عنہ Farmate Hai, “Sacche Dost Talash Karo Aur Unki Panah Me Zindagi Guzaro Kyunki Wo Khushi Ki Halat Me Zeenat Aur Aazmaish Ke Waqt  Saaman Hai, Aur Kisi Guanhgar Ki Sohbat Ikhtiyar Na Karo Warna Usse Gunah Karna Sikhoge.”
    [Siratul Jinan Jild : 4 Safga : 258]
  • Hazrat Saiyyedna Khwaja Owais Karni Radiallaho Anhu Irshad Farmate Hai Ki, “Tum Par Farz Hai Ki Tum Apne Dil Ki Hifazat Karo Ke Ye Kisi Gair Ki Fikr Mein Mubtela Na Ho Jaye”.
    (Aqwal E Aulia)
  • Hazrat Saiyedna Sheikh Abdul Qadir Jilani Ne Farmaya, Tumhe Wasiyyat Karta Hu Ke Umra(Ameero/Rich) Se Milo Toh Khuddari Aur Waqaar Ke Sath, Fukra Se Milo To Aajizi Aur Fardtani Ke Sath. Aajizi Aur Ikhlas Ko Hamesha Ke Liye Ikhtiyar Karo Kyu Ke Isi Ki Wajah Se Deedar-E-Khudawandi Mumkin Hai Aur Asbaab Mein Khuda Ta’ala Ko Mutham Na Karo.Har Haal Me Allah Ke Saamne Apni Bechargi Ka Izhar Karo Aur Apne Bhaiyo Ke Huqooq Ko Is Khayal Se Jaaye Na Karo Ke Tumhare Aur Unke Darmiya Dosti Aur Yagangat(Ittefaq) Hai.
    [Futuh Al Ghaib, Page-163]
  • Maulana Jalaluddin Rumi (Qadasallaho Sirrahul Aziz) Farmate Hai, “Chu Kuni Tu Zaat E Murshid Raa Qabool, Hum Khudayabi Wa Hum Yabi Rasool”
    Tarjuma: Jab Tune Apne Murshid Ki Zaat Ko Qabool Kar Liya To Khuda Aur Rasool Dono Ko Paa Liya.
  • Shariat Ke 3 Hisse Hai.
    1. Ilm
    2. Amal
    3. Ikhlaas
    Jab Tak Yeh Teeno Hisse Haasil Na Ho Raza-e-Ilahi Ka Usool Poora Karna Namumkeen Hai.
    – Mujaddid-e-Alf Saani Radiallahu Anhu
  • Hazrat Junnoon Misri RadiAllahu TaaLa Anhu Farmate Hain, “Aankh Ki Tauba Haram Chizeñ Na Dekhne Me Hai.”
    [Aqwal E Auliya]
  • Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan Barelvi Rehmatullah Alaih Irshad Farmate Hain, “Hindustan Mein Maqaam E Mustajaab (Dua Qabool Hone Ki Jagah) Sultan ul Hind Khwaja Garib Nawaz Ka Muqaddas Aastana Hai.”
    – Fatawa E Razvia

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

%d bloggers like this: