Saare Aalam Mein Mohabbat Ki Ghata Chhayi Hai Lyrics || Barkate Raza

Saare Aalam Mein Mohabbat Ki Ghata Chhayi Hai Ek Nihayat Hi Mashhoor Aur Dilkash Naat Sharif Hai. Is Pyare Kalaam Mein Huzoor ﷺ Ki Aamad Aur Unki Ummat Se Mohabbat Ka Behad Khoobsoorat Zikr Kiya Gaya Hai. Aaiye Is Barkat Bhare Kalaam Ke Mukammal Lyrics Roman, Hindi Aur Urdu Mein Padhte Hain.

Naat InformationDetails
Naat TitleSaare Aalam Mein Mohabbat Ki Ghata Chhayi Hai
Poet / WriterBedam Shah Warsi
CategoryNaat Sharif
Naatkhawan / ReciterAsad Iqbal Kalkattvi
Book NameBarkate Raza Naat Book

Saare Aalam Mein Mohabbat Ki Ghata Chhayi Hai Lyrics In Roman

Saare Aalam Mein Mohabbat Ki Ghata Chhayi Hai
Aap ﷺ Aaye To Zamane Mein Bahaar Aayi Hai

Rooh Jab Waadi-E Pur-Dard Mein Ghabraai Hai
Ummati Ummati Aaqa ﷺ Ki Sada Aayi Hai

Banke Khushboo Jo Mere Dil Mein Utar Aayi Hai
Woh Teri Yaad Hai Ab Rooh Samajh Paayi Hai

Aankh Ke Til Mein Hai Mahfooz Jamal-E Khazra
Jaise Jannat Meri Aañkhoñ Mein Simat Aayi Hai

Zaat-E Sarkar ﷺ Hai Noorani Sahifoñ Ki Daleel
Yaani Quraan Se Pehle Yeh Kitaab Aayi Hai

Jo Bhi Aayeena Mohabbat Ki Nazar Se Dekha
Teri Soorat Usi Sheeshe Meiñ Nazar Aayi Hai

Har Jagah Mere Liye Sabne Bichhayeeñ Palkeñ
Har Jagah Teri Hi Nisbat Mere Kaam Aayi Hai

Jab Teri Yaad Mein Duniya Se Gaya Hai Koyi
Jaan Lene Ko, Dulhan Ban Ke Qaza Aayi Hai

Koyi Mushkil Ho Koi Gham Ho Karo Zikr-E Habeeb
Ye Dawaa Woh Hai Jo Har Daur Meiñ Kaam Aayi Hai

Marne Wale Ki Khuli Aañkh Khuli Rahne Do
Woh Nazar Jalwa-E Aaqa ﷺ Ki Tamannayi Hai

Jab Tabiyat Gham-E Tanhaai Se Ghabraai Hai
Ham Tere Saath Hain Yeh Unki Sada Aayi Hai

Saari Duniya Ki Nigaahoñ Se Gira Hai ‘Bedam’
Tab Kahiñ Jaa Ke Tere Dil Mein Jagah Paayi Hai

Saare Aalam Mein Mohabbat Ki Ghata Chhayi Hai
Aap ﷺ Aaye To Zamane Mein Bahaar Aayi Hai

Rooh Jab Waadi-E Pur-Dard Mein Ghabraai Hai
Ummati Ummati Aaqa ﷺ Ki Sada Aayi Hai

Saare Aalam Mein Mohabbat Ki Ghata Chhayi Hai Lyrics In Hindi

सारे आलम में मोहब्बत की घटा छाई है
आप ﷺ आए तो ज़माने में बहार आई है

रूह जब वादी-ए-पुरदर्द में घबरायी है
उम्मती-उम्मती आक़ा ﷺ की सदा आई है

बनके ख़ुशबू जो मेरे दिल में उतर आयी है
वोह तेरी याद है, अब रूह समझ पायी है

आंँख के तिल में है मह़फ़ूज़ जमाले ख़ज़रा
जैसे जन्नत मेरी आँखों में सिमट आई है

ज़ात ए सरकार ﷺ है नूरानी सहीफ़ों की दलील
यानी क़ुरआन से पहले ये किताब आई है

जो भी आईना मोहब्बत की नज़र से देखा
तेरी सूरत उसी शीशे में उतर आई है

हर जगह मेरे लिए सब ने बिछायीं पलकें
हर जगह तेरी ही निसबत मेरे काम आई है

जब तेरी याद में दुनिया से गया है कोई
जान लेने को दुल्हन बनके क़ज़ा आई है

कोई मुश्किल हो, कोई ग़म हो, करो ज़िक्र ए हबीब ﷺ
येह दवा वोह है, जो हर दौर में काम आई है

मरने वाले की खुली आंख खुली रहने दो
वोह नज़र जल्वा-ए आक़ा ﷺ की तमन्नायी है

जब तबीयत ग़म-ए-तन्हायी से घबरायी है
हम तेरे साथ हैं, येह उनकी सदा आयी है

सारी दुनिया की निगाहों से गिरा है ‘बेदम’
तब कहीं जाके तेरे दिल में जगह पाई है

सारे आलम में मोहब्बत की घटा छाई है
आप ﷺ आए तो ज़माने में बहार आई है

रूह जब वादी-ए-पुरदर्द में घबरायी है
उम्मती-उम्मती आक़ा ﷺ की सदा आई है

Saare Aalam Mein Mohabbat Ki Ghata Chhayi Hai Lyrics In Urdu

سارے عالم میں محبت کی گھٹا چھائی ہے
آپ ﷺ آئے تو زمانے میں بہار آئی ہے

روح جب وادئ پُردرد میں گھبرائی ہے
اُمتی اُمتی آقا ﷺ کی صدا آئی ہے

بنکے خوشبو جو مِرے دل میں اُتر آئی ہے
وہ تِری یاد ہے اب روح سمجھ پائی ہے

آنکھ کے تل میں ہے محفوظ جمالِ خضراء
جیسے جنت مری آنکھوں میں سمٹ آئی ہے

ذات سرکار ﷺ ہے نورانی صحیفوں کی دلیل
یعنی قرآن سے پہلے یہ کتاب آئی ہے

جو بھی آئینہ محبت کی نظر سے دیکھا
تیری صورت اسی شیشے میں نظر آئی ہے

ہر جگہ میرے لیے سب نے بچھائیں پلکیں
ہر جگہ提ری ہی نسبت مرے کام آئی ہے

جب تری یاد میں دنیا سے گیا ہے کوئی
جان لینے کو دلہن بن کے قضاء آئی ہے

کوئی مشکل ہو، کوئی غم ہو، کرو ذکرِ حبیب ﷺ
یہ دوا وہ ہے جو ہر دور میں کام آئی ہے

مرنے والے کی کھلی آنکھ کھلی رہنے دو
وہ نظر جلوۂ آقا ﷺ کی تمنّائی ہے

جب طبیعت غمِ تنہائی سے گھبرائی ہے
ہم ترے ساتھ ہیں یہ انکی صدا آئی ہے

ساری دنیا کی نگاہوں سے گرا ہے بیدم
تب کہیں جا کے تِرے دل میں جگہ پائی ہے

سارے عالم میں محبت کی گھٹا چھائی ہے
آپ ﷺ آئے تو زمانے میں بہار آئی ہے

روح جب وادئ پُردرد میں گھبرائی ہے
اُمتی اُمتی آقا ﷺ کی صدا آئی ہے

Leave a Comment