haye Ali qatl hogaye Noha Lyrics
haye Ali qatl hogaye
Jibreel de rahe thay nida ke ghazab hua
Hyder ko qatl qanaye khaAliq may kardiya
haye Ali qatl hogaye
Shehzadiyo ne jyon hi suni gham ki ye sada
betaab hoke royi aur Hasnain se kaha
masjid may jaake dekho zara kya hai maajra
ye Jaun keh raha hai hue qatl Murtaza
haye Ali qatl hogaye
zarbe layeen se hogaya jis dam do para sar
us dam alam se hilte thay masjid ke bamo dar
mehraab aur musalla hua saara khoon may tar
kaampa falak to zalzala aaya zameen par
haye Ali qatl hogaye
Daude ye sunte hi suye masjid Hassan Hussain
dekha namazi karte hai naale ba shoro shain
apne lahoo may laut-te hia Shaahe Mashraqain
paaya pidar ko aise kiye dono ne ye bain
haye Ali qatl hogaye
dekha namaziyo ne jo beton ko hat gaye
Hasnani badke apne pidar se lipat gaye
naale kiye wo sunke jigar gham se phat gaye
riqqat se doston ke kaleje ulat gaye
haye Ali qatl hogaye
yan ho rahi thi seena zani naala-o-buka
aayi kahin kareeb se Fizza ki ye sada
Zehra ki betiyon ko nahi yaara zabt ka
bechain hai wo dekhne ko haale Murtaza
haye Ali qatl hogaye
kya haal hai pidar ka na aakar bat aoge
Hasnain se kaho ke jo unse chupaoge
Hyder ko jald ghar may agar tum na laaoge
Zainab ko sar khule hue masjid may paaoge
haye Ali qatl hogaye
awaaz sunke bole Ali ye baja nahi
hum besahara bekaso beaashna nahi
hai paas sab rafeeq ye ahle jafa nahi
kufa hai kehdo beti se ye Karbala nahi
haye Ali qatl hogaye
Hasnain leke baba ko pahunche khareebe dar
sab hatgaye Anees* jo aaya Ali ka ghar
betaab hoke betiyan nikli barehna sar
lipti pidar se aah hui is tarha nohagar
haye Ali qatl hogaye
Shaheed e Karbala Hussain
Qatibe Nainawa Hussain
Hussain Hussain Hussain Hussain
hai waqte ruqsate Hussain
sakina kar rahi hai bain
na jaayein tanha chor kar
mite ga sab ke dil ka chain
zabihe maariya Hussain
Hussain Hussain Hussain Hussain
wo zulm kaun sa raha
jo aap par nahi hua
sivaye sabro shukr ke
zubaan se kuch nahi kaha
ghamon ki intehaan Hussain
Hussain Hussain Hussain Hussain
ay sher ghaziyo utho
hamara haal dekhlo
haazaar nouso aur pachaas
hai zaqm behta hai lahoo
bina e la ilah Hussain
Hussain Hussain Hussain Hussain
ay mere bhai saqshikan
ay baazu e shahe zaman
kamar khameeda kargaya
teri judaai ka mehan
sukoone mustafa Hussain
Hussain Hussain Hussain Hussain
kahan ho akbar e jari
ye kyun hai beta berukhi
akela rehgaya pidar
qabar lo aake baap ki
kharaar e sayyeda Hussain
Hussain Hussain Hussain Hussain
hudoo ke teer sholabaar
badan ko kar gaye figaar
magar sambhaal dosh par
tane imam e ziwaqaar
Nishaan e Jafa Hussain
Hussain Hussain Hussain Hussain
When is it Mustahab to make Ghusal?
When is it Sunnah to make Ghusal?
Benefits and Virtues of Tahajjud
Iman Mufassal & Mujammal (ایمان مفصل و مجمل)
Benefits and Virtues of Ishraq
Performing Hajj on behalf of others
The Family of Prophet Muhammad (ﷺ)
Khutbah Jumuah Arabic (Friday Sermon) خطبه جمعه
Quran Aayatul Istikfa (آیات الاستکفاء قرآن)
Hamdard Khamira Abresham Hakim Arshad Wala
51 Modern Muslim Girl Names with Meaning
The Fasts of Sha’baan and the Virtues of the 15th of Sha’baan