Rahmat-o-noor ki Barsat Shabe Barat ki Raat Lyrics || Barkate Raza

Shabe Barat Ki Barkat Aur Azmat Se Labrez Yeh Ek Nihayat Hi Behtareen Aur Purnoor Kalam Hai. Is Kalam Ke Ziye Khuda Ki Rahmat Aur Maqbooliyat Ka Zikr Bohat Hi Khubsoorat Andaaz Mein Kiya Gaya Hai. Aaiye Is Barkat Se Bhare Kalam Ke Ash’aar Ko Padhein Aur Apne Dilon Ko Roshan Karein.

Naat InformationDetails
Naat TitleRahmat-o-noor ki barsat shabe barat ki raat
Poet / WriterAhil
CategoryShabe Barat Kalam
Naatkhawan / ReciterAlhaj Owais Raza Qadri
Book NameBarkate Raza Naat Book

Rahmat-o-noor ki barsat shabe barat ki raat Lyrics In Roman

Rahmat-O-Noor Ki Barsat Shabe Barat Ki Raat
Mahke Mahke Sabhi Baghaat Shabe Barat Ki Raat

Ho Na Mayoos Ke Tu Bhi Muraden Apni
Maang Le Rab Se Utha Haath Shabe Barat Ki Raat

Apne Mahboob Ke Dar Ka Utar Kar Sadqa
Rab Lutata Hai Ina’Maat Shabe Barat Ki Raat

Aasiyon Aao Chalen Rab Ke Karam Me Ham Sab
Rab Bulata Hai Hamen Aaj Shabe Barat Ki Raat

Rab Ka Wada Hai Jo Chaho Maang Lo Ahil
Maango Taiba Me Ho Wafaat Shabe Barat Ki Raat

Rahmat-o-noor ki barsat shabe barat ki raat Lyrics In Hindi

रहमत-ओ-नूर की बरसात शबे बरात की रात
महके-महके सभी बाग़ात शबे बरात की रात

हो ना मायूस के तू भी मुरादें अपनी
मांग ले रब से उठा हाथ शबे बरात की रात

अपने महबूब के दर का उतार कर सदक़ा
रब लुटाता है इनामात शबे बरात की रात

आसियों आओ चलें रब के करम में हम सब
रब बुलाता है हमें आज शबे बरात की रात

रब का वादा है ! जो चाहो मांग लो आहिल
मांगो तैबा में हो वफ़ात शबे बरात की रात

Rahmat-o-noor ki barsat shabe barat ki raat Lyrics In Urdu

رحمت و نور کی برسات شبِ برات کی رات
مہکے مہکے سبھی باغات شبِ برات کی رات

ہو نہ مایوس کہ تو بھی مرادیں اپنی
مانگ لے رب سے اٹھا ہاتھ شبِ برات کی رات

اپنے محبوب کے در کا اتار کر صدقہ
رب لٹاتا ہے انعامات شبِ برات کی رات

عاصیوں آؤ چلیں رب کے کرم میں ہم سب
رب بلاتا ہے ہمیں آج شبِ برات کی رات

رب کا وعدہ ہے جو چاہو مانگ لو آہل
مانگو طیبہ میں ہو وفات شبِ برات کی رات

Leave a Comment