Chokhat pe khade shah o gada lyrics
Chokhat pe khade shah o gada maang rahe hain…
Sarkaar se jeene ki ada maang rahe hain!!!
Muzda hai tere waaste ay ummat aasi…
Mehboob e dua ro ke dua maang rahe hain!!!
Kya gumbad e khazra ka nazar aa gya jalwa…
Sarkaar ke deewane qaza maang rahe hain!!!
Wo chaand hai aagosh e haleema mein ke jisse…
Ye chand sitaare bhi ziya maang rahe hain!!!
Lillah karam ki nazar ay khaak e madina…
Hum log hain bimaar shifa maang rahe hain!!!
Padne ka bhi andaaz ata karte hain sarkaar…
Haidar se jahan waale ye kya maang rahe hain!!!