Yeh Naaz Yeh Andaaz Hamare Nahin Hote Lyrics || ये नाज़ ये अंदाज़ हमारे नहीं होते

Sarkar-e-Do-Jahan Huzoor Rehmat-e-Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam ki bargah-e-be-kas panah me pesh kiya gaya ye nihayat hi maqbool aur roohani kalam hai. Is naat-e-paak me nabi-e-kareem ki rehmat, unki ata aur unke darbar se milne wali ne’maton ka zikr nihayat hi aajzi aur mohabbat ke sath kiya gaya hai. Aaiye is pakiza kalam ke zariye aqa-e-namdar ki muhabbat ka nazrana pesh karein aur apni rooh ko is mithaas se sarshaar karein.

Naat Information Details
Naat Title Ye Naaz Ye Andaaz Hamaare Nahi Hote
Poet / Writer Khalid Mahmood Naqshbandi
Category Naat-e-Rasool ﷺ
Naatkhawan / Reciter Owais Raza Qadri, Zohaib Ashrafi

Naat Lyrics in Roman

ye naaz ye andaaz hamaare nahi.n hote
jholi me.n agar Tuk.De tumhaare nahi.n hote

jab tak ki madine se ishaare nahi.n hote
raushan kabhi qismat ke sitaare nahi.n hote

daamaan-e-shafaa’at me.n hame.n kaun chhupaata
sarkaar ! agar aap hamaare nahi.n hote

milti na agar bheek, huzoor ! aap ke dar se
is ThaaT se mangto.n ke guzaare nahi.n hote

be-daam hi bik jaaiye baazaar-e-nabi me.n
is shaan ke saude me.n KHasaare nahi.n hote

ye nisbat-e-sarkaar ka e’jaaz hai warna
toofaa.n se numoodaar kinaare nahi.n hote

ham jaise nikammo.n ko gale kaun lagaata
sarkaar ! agar aap hamaare nahi.n hote

wo chaahe.n bula le.n jise ye un ka karam hai
be-izn madine ke nazaare nahi.n hote

KHaalid ! ye tasadduq hai faqat naa’t ka warna
mehshar me.n tere waare niyaare nahi.n hote

Naat Lyrics in Hindi

ये नाज़ ये अंदाज़ हमारे नहीं होते
झोली में अगर टुकड़े तुम्हारे नहीं होते

जब तक कि मदीने से इशारे नहीं होते
रौशन कभी क़िस्मत के सितारे नहीं होते

दामान-ए-शफ़ा’अत में हमें कौन छुपाता
सरकार ! अगर आप हमारे नहीं होते

मिलती न अगर भीक, हुज़ूर ! आप के दर से
इस ठाट से मँगतों के गुज़ारे नहीं होते

बे-दाम ही बिक जाइए बाज़ार-ए-नबी में
इस शान के सौदे में ख़सारे नहीं होते

ये निस्बत-ए-सरकार का ए’जाज़ है वर्ना
तूफ़ाँ से नुमूदार किनारे नहीं होते

हम जैसे निकम्मों को गले कौन लगाता
सरकार ! अगर आप हमारे नहीं होते

वो चाहें बुला लें जिसे ये उन का करम है
बे-इज़्न मदीने के नज़ारे नहीं होते

ख़ालिद ! ये तसद्दुक़ है फ़क़त ना’त का वर्ना
महशर में तेरे वारे नियारे नहीं होते

Naat Lyrics in Urdu

یہ ناز یہ انداز ہمارے نہیں ہوتے
جھولی میں اگر ٹکڑے تمہارے نہیں ہوتے

جب تک کہ مدینے سے اشارے نہیں ہوتے
روشن کبھی قسمت کے ستارے نہیں ہوتے

دامانِ شفاعت میں ہمیں کون چھپاتا
سرکار! اگر آپ ہمارے نہیں ہوتے

ملتی نہ اگر بھیک، حضور! آپ کے در سے
اس ٹھاٹ سے منگتوں کے گزارے نہیں ہوتے

بے دام ہی بک جائیے بازارِ نبی میں
اس شان کے سودے میں خسارے نہیں ہوتے

یہ نسبتِ سرکار کا اعجاز ہے ورنہ
طوفان سے نمودار کنارے نہیں ہوتے

ہم جیسے نکموں کو گلے کون لگاتا
سرکار! اگر آپ ہمارے نہیں ہوتے

وہ چاہیں بلا لیں جسے یہ ان کا کرم ہے
بے اذن مدینے کے نظارے نہیں ہوتے

خالد! یہ تصدق ہے فقط نعت کا ورنہ
محشر میں تیرے وارے نیارے نہیں ہوتے

Leave a Comment