Hazrat Allama Qaari Muhammad Muslih-ud-deen Siddeeqi Biography || Barkate Raza

Hazrat Allama Qaari Muhammad Muslih-ud-deen Siddeeqi rahmatullāhi alaihi:

Ibtidaai Ta’aruf Aur Khandaan

  • Wilaadat: Aap ki wilaadat 11 Rabi-ul-awwal 1336 Hijri (27 December 1918 A.D.) ko Peer ke roz Nander, Hyderabad me hui.

  • Waalid: Aap ke waalid ka naam Ghulaam Jeelaani bin Mohammad Noor-ud-deen hai.

Taleemi Safar Aur Asaatiza

  • Hifz-e-Qur’an: Aap ne apne waalid se ibtidai ta’aleem haasil ki aur 14 saal ki umr me Haafiz e Qur’an hue. Aur Hazrat Haafiz e Millat Haafiz Abdul Azeez Mubarakpuri rahmatullāhi alaihi se sanad haasil ki.

  • Mubarakpur Ka Safar: Hazrat Haafiz e Millat ke mashware se 1354 Hijri (1935 A.D.) me Aap Mubarakpur jaakar Madrasa Ashrafiya Misbaah-ul-Uloom me Haafiz e Millat Abdul Azeez Mubarakpuri, Ṡanaullāh Aazami aur Muhammad Sulaimān Bhagalpuri se Hadeeṡ, Fiq’h aur deegar uloom ki ta’aleem haasil ki.

  • Dastaar-e-Fazeelat: 1362 Hijri (1943 A.D.) me Aap Haafiz e Millat ke saath Jaamia Arabia, Nagpur gaye aur waha Aap ko Dastaar-e-Fazeelat ata ki gai.

Sadr-ush-Shariah Se Ba’et Aur Khilaafat

  • Ba’et: 1358 Hijri (1939 A.D.) me Aap Haafiz e Millat ke saath Ghosi gaye aur us waqt Sadr-ush-Shariah Bareilly se Ghosi tashreef laaye the. Aap ne Sadr-ush-Shariah Maulana Amjad Ali Azami se Sahih Bukhari ta’aleem haasil ki aur phir naamaz e asr ke baad Aap Sadr-ush-Shariah ke mureed hue.

  • Khilaafat Ka Waqia: 1365 Hijri (1946 A.D.) me Aap Sadr-ush-Shariah ke saath Nagpur mehfil e Na’at me gaye. Sadr-ush-Shariah ke farmaan par Aap ne Maulana Jaami ki naat padhi. Jise sunkar Sadr-ush-Shariah ki aankho me aansoo aa gaye aur usi jalse me unho ne Aap ko Khilaafat ata farmai.

Pakistan Hijrat Aur Deeni Khidmaat

  • Imaamat Aur Khitaabat: Hindustan ki aazaadi aur taqseeme mulk ke kuchh arse baad Aap Pakistan chale gaye. Kharadar me Aap Akhund Masjid me Imaam (Khateeb) bane. Phir Jodia Bazaar ki Khori Garden Masjid me Imaam bane.

  • Tadrees: 40 saal tak Aap ta’eleem wa tadrees karte rahe. Aap hamesha ba-wuzu talba ko ta’aleem dete. Aap puri zindagi Islaam aur Ahle Sunnat wal Jamaat ki khidmat karte rahe.

  • Talba Ko Baghdad Bhejna: Aap ne bahot saare Pakistani talba ko majeed ta’aleem ke liye Madarsa Qaadriya me Baghdad bheja.

Mash’hoor Shaagird

Aap ke shaagirdo me mandarja zail ulema mash’hoor hain:

  1. Allama Mufti Sayyed Shaah Turaab-ul-Haq Qaadri Razawi rahmatullāhi alaihi

  2. Allama Abdul Azeem Qaadri

  3. Maulana Muhammad Qaasim Bareilwi

Pariwaar Aur Khandaan

Aap ke 3 saahabzaade aur 1 saahabzaadi hain:

  • Saahabzaade: (1) Muhammad Moeen-ud-deen, (2) Muhammad Misbaah-ud-deen, (3) Muhammad Salaah-ud-deen.

  • Saahabzaadi: Akhtar.

Silsila-e-Tareeqat Aur Khulfa

Aap Hazrat Sadr-ush-Shariah Allama Amjad Ali Aazami rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain. Aap ko Huzoor Mufti-e-Aazam-e-Hind Muhammad Mustafa Raza Khan rahmatullāhi alaihi aur Hazrat Qutb-e-Madeena Allama Zia-ud-deen Ahmad Madani rahmatullāhi alaihi ne bhi khilaafat ata farmai hai.

Aap ke Khulfa:

  1. Hazrat Allama Mufti Sayyed Shaah Turaab-ul-Haq Qaadri Razawi rahmatullāhi alaihi (Karachi / Pakistan)

  2. Hazrat Allama Abdul Azeem Qaadri (Bangladesh)

Wisaal, Namaaz-e-Janaaza Aur Mazaar-e-Aqdas

  • Wisaal Ka Manzar: 7 Jamaadi-uṡ-ṡaani 1403 Hijri (23 March 1983 A.D.) ko dopahar ko Aap ki tabiyat na-saaz hui. Aap ne Kalma aur Durood shareef padhna shuru kar diya. Aap ko ambulance me haspataal le jaa rahe the tab dil ke daure ki wajah se Aap ka inteqaal hua. Aap ka wisaal 7 Jamaadi-uṡ-ṡaani 1403 Hijri (23 March 1983 A.D.) ko Budh ke roz hua.

  • Namaaz-e-Janaaza: Aap ki namaaz e janaaza Hazrat Allama Mufti Taaj-ush-Shariah Akhtar Raza Khan rahmatullāhi alaihi ne padhai.

  • Mazaar: Aap ka mazaar Jodia Bazar, Kharadar, Karachi (Pakistan) me hai.

Dua: ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me aur Hazrat Qaari Muhammad Muslih-ud-deen Siddeeqi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae. Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae. Aameen.

Leave a Comment