Chashma-e Faiz o Karam Jaan e Tamanna Aaja Lyrics || Barkate Raza

Chashma-e Faiz o Karam Jaan e Tamanna Aaja Allama Saim Chishti Sahab Ka Likha Hua Ek Intihai Dilkash Aur Mashhoor Istighasa Naat-E-Paak Hai.
Is Kalam Mein Madine Wale Aaqa Alaihissalatu Wassalam Ke Bargah-E-Khas Mein Faryad Aur Intehai Tadap Ka Badi Khubsoorati Se Izhaar Kiya Gaya Hai.
Aaiye Is Haseen Kalam Ke Mukammal Lyrics Ko Roman, Hindi Aur Urdu Mein Mulahiza Farmayein.

Naat Information Details
Naat Title Chashma-e Faiz o Karam Jaan e Tamanna Aaja
Poet / Writer Allama Saim Chishti
Category Naat-E-Paak / Istighasa
Naatkhawan / Reciter Traditional / Various

Chashma-e Faiz o Karam Jaan e Tamanna Aaja Lyrics In Roman

Chashma-E Faiz O Karam Jaan E Tamanna Aaja
Ay Meri Jaan Ke Maalik Mere Aaqa Aaja

Ho Gayi Tool Mujhe Shab-E Hijr Misaal-E Mahshar
Ab To Ay Chaañd Madine Ke Khidara Aaja

Ya Mujhe Taiba Ki Raahoñ Meiñ Mita De Yaksar
Ya Mere Dil Mein Mere Aaqa O Maula Aaja

Main To Majboor Huñ Aaqa Mere Aauñ Kaise
Tu Hai Mukhtar-E Do Aalam Shah-E Waala Aaja

Chashma-E Chashm Hai Labrez Mera Ashkon Se
Phir Bhi Ay Saqi-E Kausar Huñ Pyasa Aaja

Kist-E Ummeed Meri Khushk Hui Jaati Hai
Mauj-Zan Hoke Tu Ab Noor Ke Darya Aaja

Jab Se Sarkar Ne ‘Saim’ Pe Nazar Daali Hai
Bas Yahi Dil Ki Sadayeñ Hain Ke Aaja Aaja

Chashma-e Faiz o Karam Jaan e Tamanna Aaja Lyrics In Hindi

चश्मा-ए फ़ैज़ ओ करम जान ए तमन्ना आजा
ऐ मेरी जान के मालिक मेरे आक़ा आजा

हो गई तूल शब ए हिज्र मिसाल ए महशर
अब तो ऐ चांद मदीने के खुदारा आजा

या मुझे तैबा की राहों में मिटा दे यकसर
या मेरे दिल में मेरे आक़ा ओ मौला आजा

मैं तो मजबूर हूं आक़ा मेरे आऊं कैसे
तू है मुख़्तार ए दो आलम शहे वाला आजा

चश्मा-ए-चश्म है लबरेज़ मेरा अश्कों से
फिर भी ऐ साक़ी-ए-कौस़र हूं प्यासा आजा

किस्त-ए-उम्मीद मेरी ख़ुश्क हुई जाती है
मौज-ज़न हो के तू अब नूर के दरिया आजा

जब से सरकार ने ‘साइम’ पे नज़र डाली है
बस यही दिल की सदाएं हैं के आजा आजा

Chashma-e Faiz o Karam Jaan e Tamanna Aaja Lyrics In Urdu

چشمۂ فیض و کرم جانِ تمنا آجا
اے مری جان کے مالک مرے آقا آجا

ہو گئی طول شبِ ہجر مثالِ محشر
اب تو اے چاند مدینے کے خدارا آجا

یا مجھے طیبہ کی راہوں میں مٹا دے یکسر
یا مرے دل میں مرے آقا و مولا آجا

میں تو مجبور ہوں آقا مرے اؤں کیسے
تو ہے مختارِ دو عالم شہِ والا آجا

چشمۂ چشمِ ہے لبریز مرا اشکوں سے
پھر بھی اے ساقئ کوثر ہوں پیاسا آجا

کِشتِ امید مری خشک ہوئی جاتی ہے
موجزن ہو کے تو اب نور کے دریا آجا

جب سے سرکار نے صائم پہ نظر ڈالی ہے
بس یہی دل کی صدائیں ہیں کے آجا آجا

Leave a Comment