Chand taro mein Suraj mein jalwa numa Kamli wale Muhammad ki Tanvir hai Lyrics || Barkate Raza

Chand Taro Mein Suraj Mein Jalwa Numa Saim Chishti Sahab Ki Likhi Hui Ek Nihayat Hi Khoobsurat Aur Maqbool Naat-E-Paak Hai.
Is Kalam Mein Huzoor Tajdar-E-Madina Ki Azmat Aur Un Ke Haseen O Jameel Jalwon Ka Badi Pyari Tashbeehon Ke Saath Bayan Kiya Gaya Hai.
Aaiye Is Ruhani Naat Ke Mukammal Lyrics Ko Roman, Hindi Aur Urdu Mein Mulahiza Farmayein.

Naat Information Details
Naat Title Chand Taro Mein Suraj Mein Jalwa Numa
Poet / Writer Saim Chishti
Category Naat-E-Paak
Naatkhawan / Reciter Traditional / Various

Chand Taro Mein Suraj Mein Jalwa Numa Lyrics In Roman

Chand Taro Mein Suraj Mein Jalwa Numa Kamli Wale Muhammad Ki Tanvir Hai,
Unki Surat Pe Qur’añ Ki Hain Soorateñ Unki Tasvir Khaliq Ki Tasvir Hai

Yuñ Muqaddar Ko Apne Sanwara Karo Ya Muhammad Muhammad Pukara Karo,
Unki Surat Ko Dil Mein Utara Karo Unki Surat Hi Qur’añ Ki Tafsir Hai

Unko Wannajm, Wal-Fajr, Taha Kahuñ, Wadduha Ya Ke Noorummunira Kahuñ,
Unke Dast-E Yadullah Pe Qurban Main Jisme Inna-Fatahna Ki Shamshir Hai

Mere Aaqa Main Naachiz O Naadaar Huñ Maasiyat Mein Hamesha Giraftar Hun,
Meri Qismat Badal Sadqa Hasnain Ka Tere Hathoñ Mein Aalam Ki Taqdir Hai

Teri Khatir Sabhi Hain Nazare Bane Tere Khadim Hidayat Ke Tare Bane,
Koi Siddiq! Faruq Koi Bana! Teri Nazron Ki Aaqa Ye Tasir Hai

Bil Yaqin Main Sarapa Khatakar Hun Daam E Isiyan Me Har Dam Giraftar Hun,
Husn E Ism E Muhammad Ki Hain Barkaten Meri Maqbul ‘Saim’ Jo Tahrir Hai

Chand Taro Mein Suraj Mein Jalwa Numa Lyrics In Hindi

चांद तारों में सूरज में जलवानुमा कमली वाले मोहम्मद ﷺ की तनवीर है
उनकी सूरत पे क़ुरआं की हैं सूरतें उनकी तस्वीर खाली की तस्वीर है

यूं मुक़द्दर को अपने संवारा करो या मोहम्मद मोहम्मद ﷺ पुकारा करो
उनकी सूरत को दिल में उतारा करो उनकी सूरत ही क़ुरआं की तफ़्सीर है

उनको वन्नज्म, बल-फ़ज्र, ताहा कहूं, वद्दुहा या के नूरुम्मुनीरा कहूं
उनके दस्त ए यदुल्लह पे क़ुर्बान मैं जिसमें इन्ना फ़-तहना की शमशीर है

मेरे आक़ा मैं नाचीज़ ओ नादार हूं मासियत में हमेशा गिरफ़्तार हूं
मेरी क़िस्मत बदल सदक़ा हसनैन का, तेरे हाथों में आ़लम की तक़दीर है

तेरी ख़ातिर सभी हैं नज़ारे बने तेरे ख़ादिम हिदायत के तारे बने
कोई सिद्दीक़! फ़ारूक़ कोई बना! तेरी नज़रों की आक़ा यह तासीर है

बिल-यक़ीं मैं सरापा ख़ताकार हूं दाम ए इसियां में हरदम गिरफ्तार हूं
हुस्न ए इस्म ए मोहम्मद ﷺ की हैं बरकते, मेरी मक़बूल ‘साइम’ जो तहरीर है

Chand Taro Mein Suraj Mein Jalwa Numa Lyrics In Urdu

چاند تاروں میں سورج میں جلوہ نما کملی والے محمد کی تنویر ہے
ان کی صورت پے قرآں کی ہیں سورتیں ان کی تصویر خالق کی تصویر ہے

یوں مقدر کو اپنے سنوارا کرو یا محمد محمد ﷺ پکارا کرو
ان کی صورت کو دل میں اتارا کرو ان کی صورت ہی قرآں کی تفسیر ہے

ان کو والنّجم والفجر طٰہٰ کہوں والضحیٰ یا کے نورٌ منیرا کہوں
ان کے دستِ یاد اللّہ پہ قربان میں جس میں اِنّا فتحنا کی شمشیر ہے

میرے آقا میں ناچیز و نادار ہوں معصیّت میں ہمیشہ گرفتار ہوں
میری قسمت بدل صدقہ حسنین کا تیرے ہاتھوں میں عالم کی تقدیر ہے

تیری خاطر سبھی ہیں نظارے بنے تیرے خادم ہدایت کے تارے بنے
کوئی صِدّیق! فاروق کوئی بنا! تیری نظروں کی آقا یہ تاثیر ہے

بالیقیں میں سرابہ خطاکار ہوں دامِ عِصیاں میں ہر دم گرفتار ہوں
حسنِ اِسمِ محمد ﷺ کی ہیں برکتیں میری مقبول صائم جو تحریر ہے

Leave a Comment