Koi Kaise Samajh Payega Rutba Sabz Gumbad Ka Naat Lyrics
Koi Kaise Samajh Payega Rutba Sabz Gumbad Ka
Ke Khutba Pad Raha Hai Khud Hi Kaba Sabz Gumbad Ka
Jo Poocha Maine Jannat Se Teri Bhi Koi Jannat He
To Jannat Ne Diya Mujhko Hawala Sabz Gumbad Ka
Raza Ke Chahney Walon Ne Ek Soorat Nikali He
Ke Bareli Se Vo Karte Hai Nazara Sabz Gumbad Ka
Nabi ko noor jo samjhe wahi yah raj janegaa
kya! na saya mustafa ka hai na saya Sabz Gumbad Ka
Badi Hasrat Se Takti Hai Nigahein Asman Isko
Zami Nein Jab Se Bandha Hai Amama Sabz Gumbad Ka
Hare Patton Ko Aksar Dekhkey Ye Mehsoos Hota He
Darakhton Ne Saja Rakha Hai Thogra Sabz Gumbad Ka
Chale Aye Yahan Khich Khich Ke Ashiq Sabz Gumbad Ke
Asad Ne Jis Gadi Cheda Tarana Sabz Gumbad Ka
Koi Kaise Samajh Payega Rutba Sabz Gumbad Ka
Ke Khutba Pad Raha He Khud Hi Kaba Sabz Gumbad Ka