Koi Nabi Nahi He Mere Mustafa ke Bad Naat Lyrics || Barkate Raza

Yeh nihayat hi maqbool aur imaan-afroz manqabat-e-paak hai jisme aqaid-e-ahlesunnat ke mutabiq Khatm-e-Nubuwwat aur Panjtan-e-Pak ki azeem shaan ko bayan kiya gaya hai. Is kalam me Maula Ali, Syeda Fatima, Hasnain-e-Karimain aur Karbala ke diler shuhada ki azmat ko nihayat hi dil-kash andaz me khiraaj-e-aqeedat pesh kiya gaya hai. Is manqabat ka ek ek sher aashiqan-e-ahlebaat ke jazbaat ki behtareen akasi karta hai.

Naat Information Details
Naat Title Koi Nabi Nahi Hai Mere Mustafa Ke Baad
Poet / Writer Traditional / Islamic Scholars
Category Manqabat-e-Ahlebaat / Khatm-e-Nubuwwat
Naatkhawan / Reciter Various Famous Reciters

Naat Lyrics in Roman

Koi Nabi nahi hai mere Mustafa ke baad
Shere Khuda nahi hai Ali Murtuza ke baad

Na hai kisi ke bete Hussaino Hasan se
aur Na Fatima si maa hai koi Fatima ke baad

Jaisi padhi Hussain ne teeron ke chaaon me
Aisi namaaz phir na hui karbala ke baad

Abbas tere naam ko main apne ishq se
Pehle wafa ke likhu ya likhu wafa ke baad

Shabbir kehke bhai bulate rahe jise Hurr
aur kya sawaal kare is ata ke baad

Darbare shaam me kaha Zainab ne sun yazeed
Darte nahi kisi se bhi hum to Khuda ke baad

Naat Lyrics in Hindi

कोई नबी नहीं है मेरे मुस्तफ़ा के बाद
शेरे ख़ुदा नहीं है अली मुर्तुज़ा के बाद

ना है किसी के बेटे हुसैनो हसन से
और ना फ़ातिमा सी माँ है कोई फ़ातिमा के बाद

जैसी पढ़ी हुसैन ने तीरों के छांव में
ऐसी नमाज़ फिर न हुई कर्बला के बाद

अब्बास तेरे नाम को मैं अपने इश्क़ से
पहले वफ़ा के लिखूं या लिखूं वफ़ा के बाद

शब्बीर कहके भाई बुलाते रहे जिसे हुर्र
और क्या सवाल करे इस अता के बाद

दरबारे शाम में कहा ज़ैनब ने सुन यज़ीद
डरते नहीं किसी से भी हम तो ख़ुदा के बाद

Naat Lyrics in Urdu

کوئی نبی نہیں ہے میرے مصطفیٰ کے بعد
شیرِ خدا نہیں ہے علی مرتضیٰ کے بعد

نہ ہے کسی کے بیٹے حسین و حسن سے
اور نہ فاطمہ سی ماں ہے کوئی فاطمہ کے بعد

جیسی پڑھی حسین نے تیروں کی چھاؤں میں
ایسی نماز پھر نہ ہوئی کربلا کے بعد

عباس تیرے نام کو میں اپنے عشق سے
پہلے وفا کے لکھوں یا لکھوں وفا کے بعد

شبیر کہہ کے بھائی بلاتے رہے جسے حُر
اور کیا سوال کرے اس عطا کے بعد

دربارِ شام میں کہا زینب نے سن یزید
درتے نہیں کسی سے بھی ہم تو خدا کے بعد

Leave a Comment