Koi Saliqa He Arzoo ka Na Bandagi Meri Bandagi He Naat Lyrics
Koi saliqa he arzoo ka, na bandagi meri bandagi he
Yeh sab tumhara qaram he aaqa keh baat ab tak bani hui he
Kisi ka ihsan kyo uthen, kisi ko halat kyo batain
Tumhein se mangein gey tum hi do gey, tumhare dar se hi loo lagi he
Ata kiya mujh ko darde-ulfat, kaha thi yeh pur khata ki qismat
Mein iss karam ke kaha tha qabil, huzur ki banda parwari he
Shoor o fikro nazar ke dairey, had ka in se barh na paain
Na choo sake un balandiyon ko, jaha maqame Muhammadi he
Tajaliyon ke kafeel tum ho, murad tu ke khalil tum ho
Khuda ki roshan dalil tum ho, yeh sab tumhari hi roshni he
Koi Saliqa He Arzoo ka Na Bandagi Meri Bandagi He Naat Lyrics
Bashir kahiye nazir kahiye, unhein siraje munir kahiye
Jo sar ba sar he kalam-e-rabbi, woh merey aaqa ki zindagi he
Ammal ki merey asas kiya he, bajuz nadamat ke paas kiya he
Rahe salamat tumhari nisbat, mera to ek aasra yehi he
He Qaaba bhi marja-e-khalaiq, bohat numayan he yeh haqaiq
Magar jo maqsoode-e-aashqi he, huzur ke dar ki haazri he
Yehi he khalid asas rehmat, yehi he khalid bina-e-azmat
Nabi ka irfan zindagi he, nabi ka irfan bandagi he