Nabi Ka Mohsin Khalifa Awwal Hai Qalb-e-Ummat Siddiq-e-Akbar Lyrics
Nabi Ka Mohsin Khalifa Awwal
Sadaaqaton Ka ‘Azeem Paikar
Hamen Abu-Bakr Jaan Se Pyaara
Hai Qalb-E-Ummat Siddiq-E-Akbar
Nabi Ho Daamaad Jis Bashar Ka
Bashar Wo Kitna Azeem-Tar Hai
Tamaam Ashaab Ka Wo Saalaar
Rahbar-O-Zaat-E-Mo’tabar Hai
Mila Ke Shaana Chala Nabi Se
Kathin Maraahil Men Be-Khatar Hai
Saf-E-‘Adoo Pe Gira Hamesha
Wo Barq-E-Imaan Kadakti Ban Kar
Nabi Ka Mohsin Khalifa Awwal
Sadaaqaton Ka ‘Azeem Paikar
Hamen Abu-Bakr Jaan Se Pyaara
Hai Qalb-E-Ummat Siddiq-E-Akbar
Wo Raazi Rab Se Rab Us Se Raazi
Wo Paak Be-Daag Gul-Badan Tha
Tha Jannati Shakhs Qaul-E-Aaqa
Wo Noor-E-Imaan Ki Anjuman Tha
Wo Halqa-E-Dostaan Men Khushboo
Wo Razm-E-Baatil Men Saf-Shikan Tha
Wo Aaj Bhi Mominon Ki Dhadkan
Munaafiqon Ke Liye Hai Khanjar
Nabi Ka Mohsin Khalifa Awwal
Sadaaqaton Ka ‘Azeem Paikar
Hamen Abu-Bakr Jaan Se Pyaara
Hai Qalb-E-Ummat Siddiq-E-Akbar
Tha Ham-Safar Yaar-E-Gaar-E-Sarwar
Wafa Ki Ik Jaavedaan Nishaani
Dayaar-E-Makka Men Sang Aaqa –
Ke Sah Gaya Zulm-O-Bad-Zubaani
Tha Baa’d Az Ambiya Wo Afzal
Ki Deen Ki Jis Ne Tarjumaani
Wali Nabi Ka ‘Umar Ka Saathi
Gani Ki Dhadkan Wo Jaan-E-Haidar
Nabi Ka Mohsin Khalifa Awwal
Sadaaqaton Ka ‘Azeem Paikar
Hamen Abu-Bakr Jaan Se Pyaara
Hai Qalb-E-Ummat Siddiq-E-Akbar
‘Ajab Sakhaawat ! Nabi Ke E’laan –
Pe Mohabbat Se Ghar Lutaaya
Zakaat-O-Khairaat Rokne Waale
Fitna-Baazon Ka Sar Udaaya
Kabhi Nubuwwat Ke Daa’wedaaron –
Ka Jad Se Naam-O-Nishaan Mitaaya
Kya Shaan ! Rab Ne Sula Diya –
Un Ko Rauza-E-Mustafa Ke Andar
Nabi Ka Mohsin Khalifa Awwal
Sadaaqaton Ka ‘Azeem Paikar
Hamen Abu-Bakr Jaan Se Pyaara
Hai Qalb-E-Ummat Siddiq-E-Akbar
Nabi Ka Mohsin Khalifa Awwal Hai Qalb-e-Ummat Siddiq-e-Akbar Lyrics
नबी का मोहसिन, ख़लीफ़ा अव्वल, सदाक़तों का ‘अज़ीम पैकर
हमें अबू-बक्र जाँ से प्यारा, है क़ल्ब-ए-उम्मत सिद्दीक़-ए-अकबर
नबी हो दामाद जिस बशर का, बशर वो कितना अज़ीम-तर है
तमाम असहाब का वो सालार, रहबर-ओ-ज़ात-ए-मो’तबर है
मिला के शाना चला नबी से, कठिन मराहिल में बे-ख़तर है
सफ़-ए-‘अदू पे गिरा हमेशा वो बर्क़-ए-ईमाँ कड़कती बन कर
नबी का मोहसिन, ख़लीफ़ा अव्वल, सदाक़तों का ‘अज़ीम पैकर
हमें अबू-बक्र जाँ से प्यारा, है क़ल्ब-ए-उम्मत सिद्दीक़-ए-अकबर
वो राज़ी रब से, रब उस से राज़ी, वो पाक, बे-दाग़, गुल-बदन था
था जन्नती शख़्स क़ौल-ए-आक़ा, वो नूर-ए-ईमाँ की अंजुमन था
वो हल्क़ा-ए-दोस्ताँ में ख़ुश्बू, वो रज़्म-ए-बातिल में सफ़-शिकन था
वो आज भी मोमिनों की धड़कन, मुनाफ़िक़ों के लिए है ख़ंजर
नबी का मोहसिन, ख़लीफ़ा अव्वल, सदाक़तों का ‘अज़ीम पैकर
हमें अबू-बक्र जाँ से प्यारा, है क़ल्ब-ए-उम्मत सिद्दीक़-ए-अकबर
था हम-सफ़र, यार-ए-ग़ार-ए-सरवर, वफ़ा की इक जावेदाँ निशानी
दयार-ए-मक्का में संग आक़ा के सह गया ज़ुल्म-ओ-बद-ज़ुबानी
था बा’द अज़ अम्बिया वो अफ़ज़ल, की दीन की जिस ने तर्जुमानी
वली नबी का, ‘उमर का साथी, ग़नी की धड़कन, वो जान-ए-हैदर
नबी का मोहसिन, ख़लीफ़ा अव्वल, सदाक़तों का ‘अज़ीम पैकर
हमें अबू-बक्र जाँ से प्यारा, है क़ल्ब-ए-उम्मत सिद्दीक़-ए-अकबर
‘अजब सख़ावत ! नबी के ए’लान पे मोहब्बत से घर लुटाया
ज़कात-ओ-ख़ैरात रोकने वाले फ़ित्ना-बाज़ों का सर उड़ाया
कभी नुबुव्वत के दा’वेदारों का जड़ से नाम-ओ-निशाँ मिटाया
क्या शान ! रब ने सुला दिया उन को रौज़ा-ए-मुस्तफ़ा के अंदर
नबी का मोहसिन, ख़लीफ़ा अव्वल, सदाक़तों का ‘अज़ीम पैकर
हमें अबू-बक्र जाँ से प्यारा, है क़ल्ब-ए-उम्मत सिद्दीक़-ए-अकबर