Ameer E Ahle Sunnat Ameer E Tareeqat Hazrat Allama Ilyas Attar Qadri Ka Likhah Gaya Yeh Behad Khubsoorat Kalam Ishq E Madina Aur Wilayat E Mustafa Par Mabni Ek Aala Shahkar Hai. Is Kalam Mein Madina Munawwara Ki Muhabbat Aur Bargaah E Risalat Se Unsiyaat Ka Dilkash Bayan Pesh Kiya Gaya Hai. Teeno Zabanon Mein Yeh Kalam Niche Mulahiza Farmaen.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Jo Madine Ke Tasawwur Mein Jiya Karte Hain |
| Poet / Writer | Muhammad Ilyas Attar Qadri |
| Category | Naat Sharif |
| Naatkhawan / Reciter | Shakeel Sindhu Qadri |
| Book Name | Barkate Raza Naat Book |
Jo Madine Ke Tasawwur Mein Jiya Karte Hain Lyrics In Roman
Jo Madine Ke Tasawwur Mein Jiya Karte Hain
Har Jagah Lutf Madine Ka Liya Karte Hain
Ishq E Sarwar Mein Jo Hasti Ko Fana Karte Hain
Bhed Ulfat Ke Faqat Un Pe Khula Karte Hain
Maal O Daulat Ki Dua Ham Na Khuda Karte Hain
Ham To Marne Ki Madine Mein Dua Karte Hain
Aag Dozakh Ki Jala Hi Nahin Sakti Un Ko
Ishq Ki Aag Mein Dil Jin Ke Jala Karte Hain
Dard O Aalaam Mein Taskeen Unhen Milti Hai
Naam Un Ka Jo Museebat Mein Liya Karte Hain
Tu Salaam Un Se Dar E Paak Pe Jaa Kar Kehna
Iltija Tujh Se Ham Ai Baad E Saba Karte Hain
Kyun Phiren Shauq Mein Maal Ke Maare Maare
Ham To Sarkaar Ke Tukdon Pe Pala Karte Hain
Chaand Sooraj Ka Muqaddar Bhi To Dekho Aksar
Gumbad E Khazra Ke Nazzaare Kiya Karte Hain
Rashk Attar Ko Un Zarron Par Aata Hai Jo
Un Ke Naalain Ke Talwon Se Laga Karte Hain
Qaabil E Rashk Hain Attar Wo Qismat Waale
Dafn Jo Meethe Madine Mein Huwa Karte Hain
Jo Madine Ke Tasawwur Mein Jiya Karte Hain Lyrics In Hindi
जो मदीने के तसव्वुर में जिया करते हैं
हर जगह लुत्फ़ मदीने का लिया करते हैं
इश्क़-ए-सरवर में जो हस्ती को फ़ना करते हैं
भेद उल्फ़त के फ़क़त उन पे खुला करते हैं
माल-ओ-दौलत की दु’आ हम न, ख़ुदा करते हैं
हम तो मरने की मदीने में दु’आ करते हैं
आग दोज़ख़ की जला ही नहीं सकती उन को
इश्क़ की आग में दिल जिन के जला करते हैं
दर्द-ओ-आलाम में तस्कीन उन्हें मिलती है
नाम उन का जो मुसीबत में लिया करते हैं
तू सलाम उन से दर-ए-पाक पे जा कर कहना
इल्तिजा तुझ से हम, ऐ बाद-ए-सबा करते हैं
क्यूँ फिरें शौक़ में हम माल के मारे मारे
हम तो सरकार के टुकड़ों पे पला करते हैं
चाँद-सूरज का मुक़द्दर भी तो देखो अक्सर
गुंबद-ए-ख़ज़रा के नज़ारे किया करते हैं
रश्क अत्तार को उन ज़र्रों पर आता है जो
उन के ना’लैन के तल्वों से लगा करते हैं
क़ाबिल-ए-रश्क हैं, अत्तार वो क़िस्मत वाले
दफ़्न जो मीठे मदीने में हुवा करते हैं
Jo Madine Ke Tasawwur Mein Jiya Karte Hain Lyrics In Urdu
جو مدینے کے تصور میں جیا کرتے ہیں
ہر جگہ لطف مدینے کا لیا کرتے ہیں
عشقِ سرور میں جو ہستی کو فنا کرتے ہیں
بھید الفت کے فقط ان پہ کھلا کرتے ہیں
مال و دولت کی دعا ہم نہ، خدا کرتے ہیں
ہم تو مرنے کی مدینے میں دعا کرتے ہیں
آگ دوزخ کی جلا ہی نہیں سکتی ان کو
عشق کی آگ میں دل جن کے جلا کرتے ہیں
درد و آلام میں تسکین انہیں ملتی ہے
نام ان کا جو مصیبت میں لیا کرتے ہیں
تو سلام ان سے درِ پاک پہ جا کر کہنا
التجا تجھ سے ہم، اے بادِ صبا کرتے ہیں
کیوں پھریں شوق میں ہم مال کے مارے مارے
ہم تو سرکار کے ٹکڑوں پہ پلا کرتے ہیں
چاند سورج کا مقدر بھی تو دیکھو اکثر
گنبدِ خضرا کے نظارے کیا کرتے ہیں
رشک عطار کو ان ذروں پر آتا ہے جو
ان کے نعلین کے تلؤوں سے لگا کرتے ہیں
قابلِ رشک ہیں، عطار وہ قسمت والے
دفن جو میٹھے مدینے میں ہوا کرتے ہیں