Achhe hain ya kharab hain maula ali ke hain lyrics
Achhe hain ya kharab hain maula ali ke hain
Zarra hain aaftab hain maula ali ke hain
Taareekh e qaynat utha kar to dekhiye
Jo log la-jawab hain maula ali ke hain
Is dar se uth gaye to kahan chain paoge
Rahmat ke jitne baab hain maula ali ke hain
Har phool apni-apni jagah khoob hai magar
Ham is liye gulab hain maula ali ke hain
Zarra hain aaftab hain maula ali ke hain
Kuchh aur dekhne ki tamanna nahin shakil
Aankhon me jitne khwab hain maula ali ke hain
Achhe hain ya kharab hain maula ali ke hain