Ae Rasool-E-Amin Lyrics

Ae Rasool-E-Amin Lyrics

 

 

Ae Rasul-e-Amin, Khaatamal Mursaleen
Tujh Sa Koi Nahi, Tujh Sa Koi Nahi
Ae Rasul-e-Amin, Khaatamal Mursaleen
Tujh Sa Koi Nahi, Tujh Sa Koi Nahi

Hai Aqeedah Yeh Apna Ba-Sidq Wa Yaqeen
Tujh Sa Koi Nahi, Tujh Sa Koi Nahi
Hai Aqeedah Yeh Apna Ba-Sidq Wa Yaqeen
Tujh Sa Koi Nahi, Tujh Sa Koi Nahi

Ae Rasul-e-Amin, Tujh Sa Koi Nahi

Bazm-e-Kaunain Pehle Sajaa’i Gayi
Phir Teri Zaat Manzar Pai Laayi Gayi

Mustafa, Mujtaba, Teri Madh Sana
Mere Bas Mai Nahi, Dastaras Mai Nahi

Dil Ko Himmat Nahi, Lab Ko Yaara Nahi
Tujh Sa Koi Nahi, Tujh Sa Koi Nahi
Ae Rasul-e-Amin, Tujh Sa Koi Nahi

Sayyad al-Awwaleen, Sayyad al-Aakhireen
Tujh Sa Koi Nahi, Tujh Sa Koi Nahi
Sayyad al-Awwaleen, Sayyad al-Aakhireen

Dast-e-Qudrat Ne Aisa Banaaya Tujhe
Jumla Awsaaf Sai Khud Sajaaya Tujhe
Ae Azal Ke Haseen, Ae Abad Ke Haseen
Dhoondhti Hai Tujhe Meri Jaan-e-Hazeen
Tera Sikkah Rawa Kul Jahan Mai Huwa
Is Zameen Mai Huwa, Aasmaan Mai Huwa
Kya Arab Kya Ajam Sab Hai Zair-e-Nagin
Taubah Taubah Nahi, Koi Tujh Sa Nahi

Ae Rasul-e-Amin, Khaatamal Mursaleen
Tujh Sa Koi Nahi, Tujh Sa Koi Nahi
Ae Rasul-e-Amin, Khaatamal Mursaleen
Tujh Sa Koi Nahi, Tujh Sa Koi Nahi

Hai Aqeedah Yeh Apna Ba-Sidq Wa Yaqeen
Tujh Sa Koi Nahi, Tujh Sa Koi Nahi
Hai Aqeedah Yeh Apna Ba-Sidq Wa Yaqeen
Tujh Sa Koi Nahi, Tujh Sa Koi Nahi

Ae Rasul-e-Amin, Tujh Sa Koi Nahi. .!!!

Sharing Is Caring:

Leave a Comment