Abdul Sattar Niazi Sahab Ka Likha Gaya Yeh Ek Nihayat Hi Khoobsurat Aur Maqbool Naat-E-Pak Ka Kalam Hai. Is Kalam Ke Zariye Pyare Aaka Alaihissalam Ki Shaan Aur Unki Azmat-E-Be-Kinara Ka Bohat Hi Behtareen Bayan Kiya Gaya Hai. Aaiye Is Ruhani Naat Ke Mukammal Lyrics Roman, Hindi Aur Urdu Mein Mulahiza Farmayein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Jis Ka Koi Sani Nahi Woh Nabi Hamara Hai |
| Poet / Writer | Abdul Sattar Niazi |
| Category | Naat-E-Pak |
| Naatkhawan / Reciter | Alhaj Owais Raza Qadri |
| Book Name | Unknown |
Jis Ka Koi Sani Nahi Woh Nabi Hamara Hai Lyrics In Roman
Jis Ka Koii Saani Nahi Wo Nabi (Salla Llahu ‘Alayhi Wa Sallam) Hamara Hai
Mustafa (Salla Llahu ‘Alayhi Wa Sallam) Ki Azmat Ka Had Hei Na Kinaara Hai
Jo Habeeb-E-Daawar Hei Jo Makeen-E-Khizra Hai
Sayyida (Radi Allahu ‘Anha) Ka Baba Hai, Amina Ka Pyaara Hai
Aap Ki Hi Chokhatt Ke Ya Nabi (Salla Llahu ‘Alayhi Wa Sallam) Bikaari Hein
Aap Hi Ke Tukrron Pe Ya Nabi (Salla Llahu ‘Alayhi Wa Sallam) Guzaara Hai
Zor Par Ho Tufaan Bhi Or Ddagmaga-Ai Nayya Bhi
Aap Gar Karam Kar Dain To Saamne Kinaara Hei
Iss Umeed Par Mein Bhi Aa Kharra Hun Chokhatt Par
Wo Kabhi To Poochain Ge Kon Gham Ka Maara Hai
Bhoole Na Niyaazi Kabhi Bhool Kar Bhi Yaad-E-Nabi
Un Ko Bhool Jaana Hi Asal Main Khasaara Hai
Jis Ka Koi Sani Nahi Woh Nabi Hamara Hai Lyrics In Hindi
जिसका कोई सानी नहीं वो नबी (सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम) हमारा है
मुस्तफ़ा (सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम) की अज़मत का हद है न किनारा है
जो हबीबे दावर है जो मकीने ख़िज़रा है
सय्यिदा (रज़ियल्लाहु अन्हा) का बाबा है, आमिना का प्यारा है
आप की ही चौखट के या नबी (सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम) भिखारी हैं
आप ही के टुकड़ों पे या नबी (सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम) गुज़ारा है
ज़ोर पर हो तूफ़ान भी और डगमगाए नय्या भी
आप गर करम कर दें तो सामने किनारा है
इस उम्मीद पर मैं भी आ खड़ा हूँ चौखट पर
वो कभी तो पूछेंगे कौन ग़म का मारा है
भूलें न नियाज़ी कभी भूल कर भी याद-ए-नबी
उनको भूल जाना ही असल में ख़सारा है
Jis Ka Koi Sani Nahi Woh Nabi Hamara Hai Lyrics In Urdu
جس کا کوئی ثانی نہیں وہ نبی ﷺ ہمارا ہے
مصطفیٰ ﷺ کی عظمت کا حد ہے نہ کنارہ ہے
جو حبیبِ داور ہے جو مکینِ خضرا ہے
سیدہؓ کا بابا ہے، آمنہ کا پیارا ہے
آپ کی ہی چوکھٹ کے یا نبی ﷺ بھکاری ہیں
آپ ہی کے ٹکڑوں پہ یا نبی ﷺ گزارا ہے
زور پر ہو طوفان بھی اور ڈگمگائے نیا بھی
آپ گر کرم کر دیں تو سامنے کنارہ ہے
اس امید پر میں بھی آ کھڑا ہوں چوکھٹ پر
وہ کبھی تو پوچھیں گے کون غم کا مارا ہے
بھولیں نہ نیازی کبھی بھول کر بھی یادِ نبی
ان کو بھول جانا ہی اصل میں خسارہ ہے