Tere Ghar Ke Phere Lagata Rahoo Main Lyrics

Tere Ghar Ke Phere Lagata Rahoo Main Lyrics

 

Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana
Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana

Tere ghar ke phere lagata rahun main
Tere ghar ke phere lagata rahun main
Sada shahr-e-makkah me aata rahun main

Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana

Haram me main hazir hua banke mujrim
Haram me main hazir hua banke mujrim
Ye labbaik nara lagata rahun main
Sada shahr-e-makkah me aata rahun main

Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana

Main leta rahun bosa-e-sang-e-aswad
Main leta rahun bosa-e-sang-e-aswad
Yun dil ki siyahi mitata rahun main
Sada shahr-e-makkah me aata rahun main

Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana

Ilahi main phirta rahun gird-e-kaba
Ilahi main phirta rahun gird-e-kaba
Yun qismat ki gardish mitata rahun main
Sada shahr-e-makkah me aata rahun main

Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana

Lipat kar gale lag ke main multazam se
Lipat kar gale lag ke main multazam se
Gunahon ke dhabbe mitata rahun main
Sada shahr-e-makkah me aata rahun main

Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana

Hateem-e-haram me namazon ko padh kar
Hateem-e-haram me namazon ko padh kar
Tere dar par dukhde sunata rahun main
Sada shahr-e-makkah me aata rahun main

Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana

Main peeta rahun har gadi aab-e-zamzam
Main peeta rahun har gadi aab-e-zamzam
Lagi apne dil ki bujhata rahun main
Sada shahr-e-makkah me aata rahun main

Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana

Barasti hai baran-e-rahmat haram me
Barasti hai baran-e-rahmat haram me
To meezab-e-zar se nahata rahun main
Sada shahr-e-makkah me aata rahun main

Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana

Hai sayyad ki khwahish madine me mar kar
Hai sayyad ki khwahish madine me mar kar
Hamesha ki jannat ko pata rahun main
Sada shahr-e-makkah me aata rahun main

Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana.

%d bloggers like this: