Hai Bulandi Se Falak Bos Nasheman Mera Lyrics

Hai Bulandi Se Falak Bos Nasheman Mera Lyrics

 

Abar-e-Kohsar (or Kuhsar کہسار )

Hai Bulandi Se Falak Bos Nasheman Mera
Abar E Kuhsar Hun Gul Pash Hai Daman Mera

 

Kabhi Sehra, Kabhi Gulzar Hai Maskan Mera
Sheher O Wirana Mera, Beher Mera, Ban Mera

 

Kisi Wadi Mein Jo Manzoor Ho Sona Mujh Ko
Sabza E Koh Hai Makhmal Ka Bichona Mujh Ko

 

Mujh Ko Qudrat Ne Sikhaya Hai Dur Afsan Hona
Naqa E Shahid E Rehmat Ka Hudi Khawan Hona

 

Ghamzada E Dil E Afsurda E Dehqan Hona
Ronaq E Bazm E Jawanan E Gulistan Hona

 

Ban Ke Gaisu Rukh E Hasti Pe Bikhar Jata Hun
Shana E Moja E Ser Ser Se Sanwar Jata Hun Mein

 

Door Se Didah E Umeed Ko Tersata Hun Mein
Kisi Basti Se Jo Khamosh Guzar Jata Hun

 

Saer Kerta Huwa Jis Dam Lab E Ju Aata Hun
Baliyan Neher Ko Gerdab Ki Pehnata Hun

 

Sabza E Mazere Nokhaiz Ki Umeed Hun Mein
Zadah E Beher Hun, Perwerdah E Khurshid Hun

 

Chasma E Koh Ko Di Shorish E Qulzum Mein Ne
Aur Perindon Ko Kiya Mehev E Tarannum Mein Ne

 

Ser Pe Sabze Ke Khare Ho Ke Kaha Qum Mein Ne
Gunchae Gul Ko Diya Zauq E Tabassum Mein Ne

 

Faiz Se Mere Namoone Hain Shabistanon Ke
Jhonpare Daman E Kuhsar Mein Dehqanon Ke

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

%d bloggers like this: