Allah Allah Zaate Mustafa Kis Qadar Buland Shaan Hai Ek Nihayat Hi Pyari Aur Roohani Naat Sharif Hai Jo Dil Ko Sukoon Bakhshti Hai. Is Haseen Kalam Ke Zariye Pyare Aaqa Ki Shaan Aur Azmat Ko Nihayat Hi Khoobsurat Andaz Mein Bayan Kiya Gaya Hai.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Allah Allah Zaate Mustafa Kis Qadar Buland Shaan Hai |
| Poet / Writer | Shakeel Arfi Farrukhabadi |
| Category | Naat Sharif |
| Naatkhawan / Reciter | Shakeel Arfi |
| Book Name | Barkate Raza Naat Book |
Allah Allah Zaate Mustafa Kis Qadar Buland Shaan Hai Lyrics In Roman
Allah Allah Zaate Mustafa Kis Qadar Buland Shaan Hai
Jis Pe Unke Paon Pad Gaye Wo Zameen Aasman Hai
Apni Akhirat Ke Waste Kyon Kisi Ke Hath Par Biken
Do Jahan Mein Sabse Motabar Mustafa Ka Khandan Hai
Ilm Par Guroor Mat Karo Wo Khatibe Ilme Gaib Hain
Mere Mustafa Ke Samne Kainaat Be Zaban Hai
Jinko Fakhare Parsai Hai Wo Kahan Rahenge Hashr Mein
Damane Habibe Kibriya Asaiyon Ka Sayabaan Hai
Jab Gunahgar Roze Mustafa Ke Aas-Paas Hon
Aisa Lagta Hai Ki Zindagi Rahamaton Ke Darmiyaan Hai
Unke Zikre Paak Ke Liye Saude Baziya Na Kijiye
Ae Shakeel Unka Zikr To Qabro Hashr Ki Aman Hai
Allah Allah Zaate Mustafa Kis Qadar Buland Shaan Hai Lyrics In Hindi
अल्लाह अल्लाह ज़ात-ए-मुस्तफ़ा किस क़दर बुलंद शान है
जिस पे उनके पाँव पड़ गए वो ज़मीन आसमान है
अपनी आख़िरत के वास्ते क्यों किसी के हाथ पर बिकें
दो जहाँ में सबसे मो’तबर मुस्तफ़ा का ख़ानदान है
इल्म पर ग़ुरूर मत करो वो ख़तीब-ए-इल्म-ए-ग़ैब हैं
मेरे मुस्तफ़ा के सामने कायनात बे-ज़बान है
जिनको फ़ख़्र-ए-पारसाई है वो कहाँ रहेंगे हश्र में
दामन-ए-हबीब-ए-किबरिया आसियों का सायबान है
जब गुनहगार रोज़ा-ए-मुस्तफ़ा के आस-पास हों
ऐसा लगता है कि ज़िन्दगी रहमतों के दरमियान है
उनके ज़िक्र-ए-पाक के लिए सौदे बाज़ियाँ न कीजिए
ऐ शकील उनका ज़िक्र तो क़ब्र ओ हश्र की अमान है
Allah Allah Zaate Mustafa Kis Qadar Buland Shaan Hai Lyrics In Urdu
اللہ اللہ ذاتِ مصطفیٰ کس قدر بلند شان ہے
جس پہ ان کے پاؤں پڑ گئے وہ زمین آسمان ہے
اپنی آخرت کے واسطے کیوں کسی کے ہاتھ پر بکیں
دو جہاں میں سب سے معتبر مصطفیٰ کا خاندان ہے
علم پر غرور مت کرو وہ خطیبِ علمِ غیب ہیں
میرے مصطفیٰ کے سامنے کائنات بے زبان ہے
جن کو فخرِ پارسائی ہے وہ کہاں رہیں گے حشر میں
دامنِ حبیبِ کبریا عاصیوں کا سائبان ہے
جب گنہگار روضہِ مصطفیٰ کے آس پاس ہوں
ایسا لگتا ہے کہ زندگی رحمتوں کے درمیان ہے
ان کے ذکرِ پاک کے لیے سودے بازیاں نہ کیجیے
اے شکیل ان کا ذکر تو قبر و حشر کی امان ہے