Aankhon ko woh pur kaif nazare nahi bhule Lyrics || Barkate Raza

Shehr-e-Madina ki thandak aur wahan guzare gaye haseen lamhaat har aashiq-e-rasool ke dilon me hamesha taaza rehte hain. Sohail Kaleem Farooqi sahb ka likha yeh khoobsurat kalam “Aankhon Ko Wo Pur Kaif Nazare Nahin Bhoole” isi roohani tadap aur Madina ki yaadon ko nihayat hi asardaar andaz me pesh karta hai. Aaiye is pakiza naat ke mukammal ash’aar ko dil se padhein aur Huzoor ﷺ ki bargah me apni muhabbat ka izhaar karein.

Naat Details

Naat Information Details
Naat Title Aankhon Ko Wo Pur Kaif Nazare Nahin Bhoole
Poet / Writer Sohail Kaleem Farooqi
Category Naat Sharif (Yaad-e-Madina)
Naatkhawan / Reciter Asad Raza Attari / Qari Shahid Mehmood

Naat Lyrics in Roman

aankho.n ko wo pur-kaif nazaare nahi.n bhoole
wo din jo madine me.n guzaare nahi.n bhoole

phir keeje karam, ya nabi ! hasnain ka sadqa
shehr aap ka ye dard ke maare nahi.n bhoole

bechain hai, ik baar uThe phir wahi ungli
mahtaab ko aaqa ke ishaare nahi.n bhoole

gir jaau.n mai.n jee chaahe mera phir se bhanwar me.n
aaqa ne diye the jo sahaare nahi.n bhoole

islaam ke gulshan ko bachaaya tha jinho.n ne
karbal ko wo zahra ke dulaare nahi.n bhoole

tayba ki hasee.n raat me.n, Faarooqi ! hamaari
taqdeer ke chamke jo sitaare nahi.n bhoole

Naat Lyrics in Hindi

आँखों को वो पुर-कैफ़ नज़ारे नहीं भूले
वो दिन जो मदीने में गुज़ारे नहीं भूले

फिर कीजे करम, या नबी ! हसनैन का सदक़ा
शहर आप का ये दर्द के मारे नहीं भूले

बेचैन है, इक बार उठे फिर वही उँगली
महताब को आक़ा के इशारे नहीं भूले

गिर जाऊँ मैं जी चाहे मेरा फिर से भँवर में
आक़ा ने दिए थे जो सहारे नहीं भूले

इस्लाम के गुलशन को बचाया था जिन्हों ने
कर्बल को वो ज़हरा के दुलारे नहीं भूले

तयबा की हसीं रात में, फ़ारूक़ी ! हमारी
तक़दीर के चमके जो सितारे नहीं भूले

Naat Lyrics in Urdu

آنکھوں کو وہ پُر کیف نظارے نہیں بھولے
وہ دن جو مدینے میں گزارے نہیں بھولے

پھر کیجے کرم، یا نبی ! حسنین کا صدقہ
شہر آپ کا یہ درد کے مارے نہیں بھولے

بے چین ہے، اک بار اٹھے پھر وہی انگلی
مہتاب کو آقا کے اشارے نہیں بھولے

گر جاؤں میں جی چاہے میرا پھر سے بھنور میں
آقا نے دیے تھے جو سہارے نہیں بھولے

اسلام کے گلشن کو بچایا تھا جنہوں نے
کربل کو وہ زہرا کے دلارے نہیں بھولے

طیبہ کی حسیں رات میں، فاروقی ! ہماری
تقدیر کے چمکے جو ستارے نہیں بھولے

Leave a Comment