Ro Ke Kheme Me Zainab Pukari – Aaj Mehndi hai Qasim tumhari
Ro ke Khaimen mein Zainab puka ri
Aaj Mehndi hai Qasim tumhari
Jaon sau baar main tumpe waari
Aaj Mehndi hai Qasim tumhari
Lao jaldi se dhoola banaon
Teri baraat ko main sajaoon
Ghar mein baithi hai Dulhan bechari
Aaj Mehndi hai Qasim tumhari
Jaon sau baar main tumpe waari
Aaj Mehndi hai Qasim tumhari
Yeh bata do kahan jaa rahe ho
Kiss liye dil ko tadpa rahe ho
Rok lo rok lo tum sawaari
Aaj Mehndi hai Qasim tumhari
Jaon sau baar main tumpe waari
Aaj Mehndi hai Qasim tumhari
Rang mehndi ka gahera racha hai
Haath mein dekho kangan bandha hai
Baat sun lo zara tum hamari
Aaj Mehndi hai Qasim tumhari
Jaon sau baar main tumpe waari
Aaj Mehndi hai Qasim tumhari
Aaj maanjhe baithane ka dil hai
Tumko dhoola banane ka dil hai
Bibiyaan raah taktin hai saari
Aaj Mehndi hai Qasim tumhari
Jaon sau baar main tumpe waari
Aaj Mehndi hai Qasim tumhari
Bibiyaan yaad kartin hain tumko
Apni soorat to dikhla do humko
Kah rahi hai koi gham ki maari
Aaj Mehndi hai Qasim tumhari
Jaon sau baar main tumpe waari
Aaj Mehndi hai Qasim tumhari
Hoor o balma bhi aaye huey hain
Ba adab sar jhukayen huey hain
Kisne gardan tumhari utari
Aaj Mehndi hai Qasim tumhari
Jaon sau baar main tumpe waari
Aaj Mehndi hai Qasim tumhari
Ro ke kahne laga zarra zarra
Aasman se lahu aaj barsa
Koi khaimey se Bibi pukari
Aaj Mehndi hai Qasim tumhari
Jaon sau baar main tumpe waari
Aaj Mehndi hai Qasim tumhari
Aam daron se aaye khabar hai
Ai Aatiq Nausha Qasim Kidhar hai
Kaifiat kyon na ho dil par taari
Aaj Mehndi hai Qasim tumhari
Jaon sau baar main tumpe waari
Aaj Mehndi hai Qasim tumha ri