Dilbar E Khwaja Qutab Faiz Lutaane Waale || Barkate Raza


Silsila-E-Chishtia Ke Azeem Sufi Buzurg Hazrat Baba Fariduddin Ganjshakar Ki Shaan Mein Padhi Jane Wali Yeh Ek Nihayat Hi Mashhoor Aur Roohani Manqabat Hai. Is Kalam-E-Azeem Mein Baba Farid Ke Faiz Aur Unki Barkaat Ka Nihayat Hi Dil-Kash Tazkira Kiya Gaya Hai. Aayiye, Is Noore-E-Irfan Se Labraiz Manqabat Se Apne Dilo Ko Roshan Karein.

Naat InformationDetails
Naat TitleDilbar E Khwaja Qutab Faiz Lutaane Waale
Poet / WriterUnknown
CategoryManqabat Sharif
Naatkhawan / ReciterAlhaj Owais Raza Qadri
Book NameBarkate Raza Naat Book

Dilbar E Khwaja Qutab Faiz Lutaane Waale Lyrics In Roman

Dilbar E Khwaja Qutab Faiz Lutaane Waale
Dilbar E Khwaja Qutab Faiz Lutaane Waale

Dil Mein Jamaaye Baithe Hain Naksha Fareed Ka
Paaya Hai Bekason Ne Sahaara Fareed Ka

Ham Hi Nahi Hain Chaahne Waale Fareed Ke
Allah Bhi Hai Chaahne Waala Fareed Ka

Dilbar E Khwaja Qutab Faiz Lutaane Waale
Mere Baba Hain Ghareebon Ko Nibhaane Waale

Mere Mashood Piya Main Teri Azmat Ke Nisaar
Sar Jhukaate Hain Tere Dar Pe Zamaane Waale

Meri Jholi Mein Bhi Kuchh Daal De Khairaat E Karam
Chishtiya Faiz Ghareebon Mein Lutaane Waale

Dilbar E Khwaja Qutab Faiz Lutaane Waale Lyrics In Hindi

दिलबर-ए-ख़्वाजा क़ुतुब फ़ैज़ लुटाने वाले
दिलबर-ए-ख़्वाजा क़ुतुब फ़ैज़ लुटाने वाले

दिल में जमाए बैठे हैं नक़्शा फ़रीद का
पाया है बेकसों ने सहारा फ़रीद का

हम ही नहीं हैं चाहने वाले फ़रीद के
अल्लाह भी है चाहने वाला फ़रीद का

दिलबर-ए-ख़्वाजा क़ुतुब फ़ैज़ लुटाने वाले
मेरे बाबा हैं ग़रीबों को निभाने वाले

मेरे मश्हूद पिया मैं तेरी अज़मत के निसार
सर झुकाते हैं तेरे दर पे ज़माने वाले

मेरी झोली में भी कुछ डाल दे ख़ैरात-ए-करम
चिश्तिया फ़ैज़ ग़रीबों में लुटाने वाले

Dilbar E Khwaja Qutab Faiz Lutaane Waale Lyrics In Urdu

دلبرِ خواجہ قطب فیض لٹانے والے
دلبرِ خواجہ قطب فیض لٹانے والے

دل میں جمائے بیٹھے ہیں نقشہ فرید کا
پایا ہے بیکسوں نے سہارا فرید کا

ہم ہی نہیں ہیں چاہنے والے فرید کے
اللہ بھی ہے چاہنے والا فرید کا

دلبرِ خواجہ قطب فیض لٹانے والے
میرے بابا ہیں غریبوں کو نبھانے والے

میرے مشہود پیا میں تیری عظمت کے نثار
سر جھکاتے ہیں تیرے در پر زمانے والے

میری جھولی میں بھی کچھ ڈال دے خیراتِ کرم
چشتیہ فیض غریبوں میں لٹانے والے

Leave a Comment