ek roz hoga jana sarkar ki gali mein lyrics
Ek Roz Hoga Jana Sarkar Ki Gali Mein – Naat Lyrics in Urdu
Ek Roz Hoga Jana Sarkar Ki Gali Mein
Hoga kabhi thikana Sarkar ki gali mei
Aankhe toh dekhne ko pehle hi mujhtarib thi
Dil bhi hua ravana Sarkar ki gali mei
Kabhi ho hasi tasawwur kabhi khud jau chalkar
Rahe yu hi aana jana Sarkar ki gali mei
Dil me nabi ki yaade lab par nabi ki naate
Jaana toh aise jana Sarkar ki gali mei
Go paas kuch nahi hai lekin yeh dekh lega
Ek din hame jamana Sarkar ki gali mei
Kabhi ho Khiza pe pehre kabhi do ghadi bahare
Mausam sada suhana sarkar ki gali mei
Samajhenge hum niyazi unki karam nawazi
Jis roz hoga jana sarkar ki gali mei
Ek Roz Hoga Jana Sarkar Ki Gali Mein
Hoga kabhi thikana Sarkar ki gali mei