Hawa Ki Khushboo Bata Rahi Hai Lyrics || Barkate Raza

Abdul Sattar Niyazi Sahib Ka Likhah Gaya Yeh Behad Mashhoor O Purnoor Kalam Sarkar E Do Alam Ki Shaan E Mubarak Mein Aala Maqam Rakhta Hai. Is Naat E Pak Mein Huzoor Ki Aamad Aur Rahmat E Elahi Ka Intehai Dilkash Aur Roohani Bayan Hai. Teeno Zabanon Mein Yeh Kalam Niche Mulahiza Farmaen.

Naat InformationDetails
Naat TitleHawa Ki Khushboo Bata Rahi Hai
Poet / WriterNiyazi
CategoryNaat Sharif
Naatkhawan / ReciterOwais Raza Qadri
Book NameBarkate Raza Naat Book

Hawa Ki Khushboo Bata Rahi Hai Lyrics In Roman

Hawa Ki Khushboo Bata Rahi Hai, Woh Zulf Apni Sajaa Rahay Hain
Sawaari Tayba Say Chal Parri Hai, Huzuur Tashreef Laa Rahay Hain

Aur Kahee Pay Mehfil Hay Mehkashon Ki, Kahee Pay Mehfil Hay Dil Jallon Ki
Ye Kitnay Khushbakht Hain Jo Apnay Nabi Ki Mehfil Saja Rahay Hain

Na Paas Bhi Ho Tou Suuna Saawan, Woh Jis Pay Raazi Wohi Suhaagan
Jinhon Nay Pakra Nabi Ka Daaman, Unhi Kay Ghar Jagmagaa Rahay Hain

Habeeb E Daawar Ghareeb Parwar Rasool E Akram Karam Kay Payker
Kissi Ko Der Pay Bula Rahay Hain, Kissi Kay Khawaab May Aa Rahay Hain

May Apnay Khair Ul Waraa Kay Sadqay, May Unki Shaan E Ata Kay Sadqay
Bhara Hay Aybon Say Meray Daaman, Huzuur Phir Bhi Nibha Rahay Hain

Bannay Ga Jaanay Ka Phir Bahaana, Kahay Ga Aaker Koi Dewaana
Challo Niyaazi Challay Madinay, Madinay Waalay Bula Rahay Hain

Hawa Ki Khushboo Bata Rahi Hai Lyrics In Hindi

हवा की खुशबू बता रही है, वो ज़ुल्फ़ अपनी सजा रहे हैं
सवारी तैबा से चल पड़ी है, हुज़ूर तशरीफ़ ला रहे हैं

और कहीं पे महफ़िल है महकशां की, कहीं पे महफ़िल है दिलजलों की
ये कितने ख़ुशबख़्त हैं जो अपने नबी की महफ़िल सजा रहे हैं

न पास भी हो तो सूना सावन, वो जिस पे राज़ी वही सुहागन
जिन्होंने पकड़ा नबी का दामन, उन्हीं के घर जगमगा रहे हैं

हबीब-ए-दावर ग़रीब परवर रसूल-ए-अकरम करम के पैकर
किसी को दर पे बुला रहे हैं, किसी के ख़्वाब में आ रहे हैं

मैं अपने ख़ैरुल वरा के सदक़े, मैं उनकी शान-ए-अता के सदक़े
भरा है ऐबों से मेरा दामन, हुज़ूर फिर भी निभा रहे हैं

बनेगा जाने का फिर बहाना, कहेगा आकर कोई दीवाना
चलो नियाज़ी चलें मदीने, मदीने वाले बुला रहे हैं

Hawa Ki Khushboo Bata Rahi Hai Lyrics In Urdu

ہوا کی خوشبو بتا رہی ہے، وہ زلف اپنی سجا رہے ہیں
سواری طیبہ سے چل پڑی ہے، حضور تشریف لا رہے ہیں

اور کہیں پہ محفل ہے مہکشوں کی، کہیں پہ محفل ہے دل جلوں کی
یہ کتنے خوش بخت ہیں جو اپنے نبی کی محفل سجا رہے ہیں

نہ پاس بھی ہو تو سونا ساون، وہ جس پہ راضی وہی سہاگن
جنہوں نے پکڑا نبی کا دامن، انہی کے گھر جگمگا رہے ہیں

حبیبِ داور غریب پرور رسولِ اکرم کرم کے پیکر
کسی کو در پہ بلا رہے ہیں، کسی کے خواب میں آ رہے ہیں

میں اپنے خیر الورٰی کے صدقے، میں ان کی شانِ عطا کے صدقے
بھرا ہے عیبوں سے میرا دامن، حضور پھر بھی نبھا رہے ہیں

بنے گا جانے کا پھر بہانہ، کہے گا آکر کوئی دیوانہ
چلو نیازی چلیں مدینے، مدینے والے بلا رہے ہیں

Leave a Comment