Muhammad Mustafa Aaye Baharon Par Bahar Aayi Lyrics

Muhammad Mustafa aaye bahar andar bahar aayi
(Muhammad Mustafa aaye baharon par bahar aayi)
Zamin ko chumne Jannat se khushbu baar baar aayi

Janaabe Aamena ka chand jab chamka zamaane mein
Qamar ki chandani qadmon pe hone ko nisaar aayi

Muhammad Mustafa aaye bahar andar bahar aayi
Zamin ko chumne Jannat se khushbu baar baar aayi

Halima Do jahaan qurban hon Tere Muqaddar par
Tere kacche se Ghar mein Rahmate Parwardigar aayi

Muhammad Mustafa aaye bahar andar bahar aayi
Zamin ko chumne Jannat se khushbu baar baar aayi

Badi maayus thi Daayi Halima jab gayi Makke
Magar aayi to lekar Do Jahaan ka Tajdaar aayi

Muhammad Mustafa aaye bahar andar bahar aayi
Zamin ko chumne Jannat se khushbu baar baar aayi

Jabi to hai mahek utthi ye Aalam ki faza saari
Hai gaisu chum-kar unke Nasime Khushgawaar aayi

Muhammad Mustafa aaye bahar andar bahar aayi
Zamin ko chumne Jannat se khushbu baar baar aayi

Rabiun-Noor ki sub-h khabar faili ye Makke mein
Ke Rahmat Do Jahanon ki hai Abdullah ke Ghar aayi

Muhammad Mustafa aaye bahar andar bahar aayi
Zamin ko chumne Jannat ki khushbu baar baar aayi

Milade Mustafa Mein kyun manaun na Zaheer Unka
Ke Jinke aane se Duniya andheron se nikal aayi

Muhammad Mustafa aaye bahar andar bahar aayi
Zamin ko chumne Jannat ki khushbu baar baar aayi

Wo aaye to manaadi ho gayi Aqsa zamaane mein
Wo aaye to manaadi ho gayi Saayim zamaane mein
Bahaar aayi Bahaar aayi Madine mein bahaar aayi

Muhammad Mustafa aaye bahar andar bahar aayi
Zamin ko chumne Jannat ki khushbu baar baar aayi

हिंदी (HINDI):

मुहम्मद मुस्तफा आये बहार अंदर बहार आयी
मुहम्मद मुस्तफा आये बहारों पर बहार आयी
ज़मीं को चूमने जन्नत से खुश्बु बार बार आयी

जनाबे आमेना का चाँद जब चमका ज़माने में
कमर की चांदनी क़दमों पे होने को निसार आयी

मुहम्मद मुस्तफा आये बहार अंदर बहार आयी
ज़मीं को चूमने जन्नत से खुश्बु बार बार आयी

हलीमा दो जहां क़ुर्बान हों तेरे मुक़द्दर पर
तेरे कच्चे से घर में रेहमते परवरदिगार आयी

मुहम्मद मुस्तफा आये बहार अंदर बहार आयी
ज़मीं को चूमने जन्नत से खुश्बु बार बार आयी

बड़ी मायूस थी दायी हलीमा जब गयी मक्के
मगर आयी तो लेके दो जहां का ताजदार आयी

मुहम्मद मुस्तफा आये बहार अंदर बहार आयी
ज़मीं को चूमने जन्नत से खुश्बु बार बार आयी

जबी तो है महक उठी ये आलम की फ़ज़ा सारी
है गेसू चूमकर उनके नसीमे खुशगवार आयी

मुहम्मद मुस्तफा आये बहार अंदर बहार आयी
ज़मीं को चूमने जन्नत से खुश्बु बार बार आयी

रबिउन्नूर की सुब्ह खबर फैली ये मक्के में
के रहमत दो जहानों की है अब्दुल्लाह के घर आयी

मुहम्मद मुस्तफा आये बहार अंदर बहार आयी
ज़मीं को चूमने जन्नत से खुश्बु बार बार आयी

मिलादे मुस्तफा में क्यों मनाउं ना ज़हीर उनका
के जिनके आने से दुनिया अंधेरों से निकल आयी

मुहम्मद मुस्तफा आये बहार अंदर बहार आयी
ज़मीं को चूमने जन्नत से खुश्बु बार बार आयी

वो आये तो मनादि हो गयी अक़्सा ज़माने में
वो आये तो मनादि हो गयी साईम ज़माने में
बहार आयी बहार आयी मदीने में बहार आयी

मुहम्मद मुस्तफा आये बहार अंदर बहार आयी
ज़मीं को चूमने जन्नत से खुश्बु बार बार आयी

Sharing Is Caring:

Leave a Comment