Yeh Allama Muhammad Iqbal Ka Nihayat Hi Azeem Aur Shandar Kalam Hai. Is Pukaif Tehreer Mein Insaan Ko Khudi Aur Ishq Ki Ahmiyat Sikaayi Gayi Hai. Is Roohani Kalam Ko Parh Kar Apne Imaan Aur Jazbe Ko Buland Karein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Jab Ishq Sikhata Hai Adab-E-Khud Agaahi |
| Poet / Writer | Allama Muhammad Iqbal |
| Category | Sufiana Kalam |
| Naatkhawan / Reciter | Rahat Fateh Ali Khan |
| Book Name | Bal-E-Jibril |
Jab Ishq Sikhata Hai Adab-E-Khud Agaahi Lyrics In Roman
Jab Ishq Sikhata Hai Adab-E-Khud Agaahi
Khule Hain Ghulamon Par Asrar-E-Shehanshahi
Attar Ho, Rumi Ho, Razi Ho, Ghazali Ho
Kuch Hath Nahin Ata Be Aah-E-Sahargahi
Naumeed Na Ho In Se Ae Rahbar-E-Farzana
Kamkosh To Hain Lekin Be-Zauq Nahin Raahi
Ae Tair-E-Lahooti! Uss Rizq Se Mout Achi
Jis Rizq Se Ati Ho Parwaz Mein Kotahi
Dara-O-Sikandar Se Woh Mard-E-Faqeer Aula
Ho Jis Ki Faqeeri Mein Boo-E-Asadullahi
Aaeen-E-Jawanmardan, Haq Goyi-O-Bebaki
Allah Ke Sheron Ko Ati Nahin Roobahi
Jab Ishq Sikhata Hai Adab-E-Khud Agaahi Lyrics In Hindi
जब इश्क़ सिखाता है आदाब-ए-ख़ुद आगाही
खुले हैं ग़ुलामों पर असरार-ए-शहंशाही
अत्तार हो, रूमी हो, राज़ी हो, ग़ज़ाली हो
कुछ हाथ नहीं आता बे आह-ए-सहरगाही
नौमीद न हो इन से ऐ रहबर-ए-फ़रज़ाना
कमकोश तो हैं लेकिन बे-ज़ौक़ नहीं राही
ऐ ताइर-ए-लाहूती! उस रिज़्क से मौत अच्छी
जिस रिज़्क से आती हो परवाज़ में कोताही
दारा-ओ-सिकंदर से वो मर्द-ए-फ़क़ीर औला
हो जिस की फ़क़ीरी में बू-ए-असदउल्लाही
आईन-ए-जवाँमर्दां, हक़ गोई-ओ-बेबाकी
अल्लाह के शेरों को आती नहीं रूबाही
Jab Ishq Sikhata Hai Adab-E-Khud Agaahi Lyrics In Urdu
جب عشق سکھاتا ہے آدابِ خود آگاہی
کھلے ہیں غلاموں پر اسرارِ شہنشاہی
عطار ہو، رومی ہو، رازی ہو، غزالی ہو
کچھ ہاتھ نہیں آتا بے آہِ سحر گاہی
نومید نہ ہو ان سے اے رہبرِ فرزانہ
کم کوش تو ہیں لیکن بے ذوق نہیں راہی
اے طائرِ لاہوتی! اس رزق سے موت اچھی
جس رزق سے آتی ہو پرواز میں کوتاہی
دارا و سکندر سے وہ مردِ فقیر اولیٰ
ہو جس کی فقیری میں بوئے اسد اللہی
آئینِ جوانمرداں، حق گوئی و بے باکی
اللہ کے شیروں کو آتی نہیں روباہی