Kyun Kar Na Hon Meyar-e-Sakha Fatima Zahra Lyrics || Barkate Raza


Khaatoon E Jannat Sayyida Faatima Zahra Ki Shaan E Mubarak Mein Likhi Gayi Ye Pyaari Manqabat Dil Ko Aqeedat Aur Noor Se Bhar Deti Hai. Is Kalam Mein Shehzadi E Rasool Ke Muqaddas Maste Aur Unki Sakhaawat Ka Khoobsurat Zikr Kiya Gaya Hai. Padhne Walon Ke Dil Mein Ahl E Bait Ki Mohabbat Aur Qadradani Ka Jazba Bedaar Hota Hai.

Naat InformationDetails
Naat TitleKyun Kar Na Hon Meyar-e-Sakha Fatima Zahra
Poet / WriterPir Sayyid Naseeruddin Naseer
CategoryManqabat Sayyida Fatima Zahra
Naatkhawan / ReciterOwais Raza Qadri
Book NameBarkate Raza Naat Book

Kyun Kar Na Hon Meyar-e-Sakha Fatima Zahra Lyrics In Roman

Kyun-Kar Na Hon Me’yaar E Sakha Faatima Zahra
Hain Dukhtar E Mahboob E Khuda Faatima Zahra

Hain Noor E Muhammad Ba-Khuda Faatima Zahra
Mehshar Men Hain Rehmat Ki Ghata Faatima Zahra

Maadar Hain Wo Zainab Ki Husain Aur Hasan Ki
Hain Aal E Muhammad Ki Rida Faatima Zahra

Poochha Jo Kisi Ne Ki Hain Khaatoon E Jinan Kaun
Aahista Se Rizwaan Ne Kaha Faatima Zahra

Ek Ek Nazar Haamil E Sad Lutf O Karam Hai
Hain Waaris E Faizaan O ‘Ata Faatima Zahra

Naam Un Ka Hai Ikseer Pa E Radd E Baliyyaat
Hain Dard Ki Mere Bhi Dawa Faatima Zahra

Ausaaf E Hameeda Men Wo Mumtaaz Hain Sab Se
Hain Jumla Khawaateen Se Juda Faatima Zahra

Deti Hai Wafa E Hasnain Is Ki Shahaadat
Har Lamha Thin Raazi Ba Raza Faatima Zahra

Ab To Hai Naseer Un Se ‘Aqeedat Ka Ye ‘Aalam
Har Haal Men Hai Wird Mera Faatima Zahra

Kyun Kar Na Hon Meyar-e-Sakha Fatima Zahra Lyrics In Hindi

क्योंकर न हों मे’यार-ए-सख़ा फ़ातिमा ज़हरा
हैं दुख़्तर-ए-महबूब-ए-ख़ुदा फ़ातिमा ज़हरा

हैं नूर-ए-मुहम्मद, ब-ख़ुदा ! फ़ातिमा ज़हरा
महशर में हैं रहमत की घटा फ़ातिमा ज़हरा

मादर हैं वो ज़ैनब की, हुसैन और हसन की
हैं आल-ए-मुहम्मद की रिदा फ़ातिमा ज़हरा

पूछा जो किसी ने कि हैं ख़ातून-ए-जिनाँ कौन ?
आहिस्ता से रिज़वाँ ने कहा, फ़ातिमा ज़हरा

एक एक नज़र हामिल-ए-सद-लुत्फ़-ओ-करम है
हैं वारिस-ए-फ़ैज़ान-ओ-‘अता फ़ातिमा ज़हरा

नाम उन का है इक्सीर प-ए-रद्द-ए-बलिय्यात
हैं दर्द की मेरे भी दवा फ़ातिमा ज़हरा

औसाफ़-ए-हमीदा में वो मुमताज़ हैं सब से
हैं जुमला ख़वातीं से जुदा फ़ातिमा ज़हरा

देती है वफ़ा-ए-हसनैन इस की शहादत
हर लम्हा थीं राज़ी ब-रज़ा फ़ातिमा ज़हरा

अब तो है, नसीर ! उन से ‘अक़ीदत का ये ‘आलम
हर हाल में है विर्द मेरा, फ़ातिमा ज़हरा

Kyun Kar Na Hon Meyar-e-Sakha Fatima Zahra Lyrics In Urdu

کیوں کر نہ ہوں معیارِ سخا فاطمہ زہرا
ہیں دخترِ محبوبِ خدا فاطمہ زہرا

ہیں نورِ محمد بخدا فاطمہ زہرا
محشر میں ہیں رحمت کی گھٹا فاطمہ زہرا

مادر ہیں وہ زینب کی، حسین اور حسن کی
ہیں آلِ محمد کی ردا فاطمہ زہرا

پوچھا جو کسی نے کہ ہیں خاتونِ جنات کون
آہستہ سے رضوان نے کہا فاطمہ زہرا

ایک ایک نظر حاملِ صد لطف و کرم ہے
ہیں وارثِ فیضان و عطا فاطمہ زہرا

نام ان کا ہے اکسیر پئے ردِ بلیات
ہیں درد کی میرے بھی دوا فاطمہ زہرا

اوصافِ حمیدہ میں وہ ممتاز ہیں سب سے
ہیں جملہ خواتین سے جدا فاطمہ زہرا

دیتی ہے وفائے حسنین اس کی شہادت
ہر لمحہ تھیں راضی برضا فاطمہ زہرا

اب تو ہے نصیر ان سے عقیدت کا یہ عالم
ہر حال میں ہے ورد میرا فاطمہ زہرا

Leave a Comment