Hakeem-Ul-Ummat Allama Muhammad Iqbal Ka Likhkha Hua Ye Azeem-O-Shan Falsafiyana Kalam ‘Zamistani Hawa Mein Garcha Thi Shamsheer Ki Taizi’ Insaani Zindagi, Deen Aur Siasat Ke Gehre Talluq Ko Bayan Karta Hai. Is Mukammal Kalam Ke Lyrics Roman, Hindi Aur Urdu Mein Niche Pesh Kiye Gaye Hain.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Zamistani Hawa Mein Garcha Thi Shamsheer Ki Taizi |
| Poet / Writer | Allama Muhammad Iqbal |
| Category | Kalam-E-Iqbal / Ghazal |
| Naatkhawan / Reciter | Rahat Fateh Ali Khan |
| Book Name | Bal-E-Jibril |
Zamistani Hawa Mein Garcha Thi Shamsheer Ki Taizi Lyrics In Roman
Zamistani Hawa Mein Garcha Thi Shamsheer Ki Taizi
Na Chhoote Mujh Se London Mein Bhi Adab-E-Sehar Khaizi
Kahin Sarmaya-E-Mehfil Thi Meri Garam Guftari
Kahin Sab Ko Preshan Kar Gyi Meri Kam Amaizi
Zamam-E-Kaar Agar Mazdoor Ke Hathon Mein Ho Phir Kya!
Tareeq-E-Kohkan Mein Bhi Wohi Heelay Hain Parvaizi
Jalal-E-Padshahi Ho Ke Jamhoori Tamasha Ho
Juda Ho Deen Siasat Se To Reh Jati Hai Changaizi
Sawad-E-Ruma-Tul-Kubra Mein Dilli Yaad Ati Hai
Wohi Ibrat, Wohi Azmat, Wohi Shaan-E-Dil-Awaizi
Zamistani Hawa Mein Garcha Thi Shamsheer Ki Taizi Lyrics In Hindi
ज़मिस्तानी हवा में गरचे थी शमशिर की तेज़ी
न छूटे मुझसे लन्दन में भी अदब-ए-सहर ख़ैज़ी
कहीं सरमाया-ए-महफ़िल थी मेरी गर्म गुफ़्तारी
कहीं सब को परेशान कर गई मेरी कम आमेज़ी
ज़माम-ए-कार अगर मज़दूर के हाथों में हो फिर क्या!
तरीक़-ए-कोहकन में भी वही हीले हैं परवेज़ी
जलाल-ए-पादशाही हो कि जम्हूरी तमाशा हो
जुदा हो दीन सियासत से तो रह जाती है चंगेज़ी
सवाद-ए-रूमा-तुल-कुबरा में दिल्ली याद आती है
वही इब्रत, वही अज़मत, वही शान-ए-दिल-आवेज़ी
Zamistani Hawa Mein Garcha Thi Shamsheer Ki Taizi Lyrics In Urdu
زمستاني ہوا میں گرچہ تھی شمشیر کی تیزی
نہ چھوٹے مجھ سے لندن میں بھی ادبِ سحر خیزی
کہیں سرمایۂ محفل تھی میری گرم گفتاری
کہیں سب کو پریشان کر گئی میری کم آمیزی
زمامِ کار اگر مزدور کے ہاتھوں میں ہو پھر کیا!
طریقِ کوہکن میں بھی وہی حیلے ہیں پرویزی
جلالِ پادشاہی ہو کہ جمہوری تماشا ہو
جدا ہو دین سیاست سے تو رہ جاتی ہے چنگیزی
سوادِ رومۃ الکبریٰ میں دلی یاد آتی ہے
وہی عبرت، وہی عظمت، وہی شانِ دل آویزی