Hui Sarkar Ki Aamad Zamana Ho Gaya Roushan || Barkate Raza

Sarkar E Do Alam Ki Mubarak Wiladat Ki Khushi Mein Likhah Gaya Yeh Behad Purnoor Kalam Dilon Ko Noor E Eman Se Munawwar Karta Hai. Is Naat E Pak Mein Huzoor Ki Aamad Se Tamam Kainat Mein Phelne Wali Roshni Aur Rahmat Ka Intehai Dilkash Bayan Pesh Kiya Gaya Hai. Teeno Zabanon Mein Yeh Kalam Niche Mulahiza Farmaen.

Naat InformationDetails
Naat TitleHui Sarkar Ki Aamad Zamana Ho Gaya Roushan
Poet / WriterUnknown
CategoryNaat Sharif
Naatkhawan / ReciterOwais Raza Qadri
Book NameBarkate Raza Naat Book

Hui Sarkar Ki Aamad Zamana Ho Gaya Roushan Lyrics In Roman

Hui Sarkar Ki Aamad Zamana Ho Gaya Roushan
Zameen O Aasma Ka Karkhana Ho Gaya Roushan

Rabi Un Noor Me Jab Noor Ka Baata Gaya Sadqa
Zami Chamki Falak Ka Shamiyana Ho Gaya Roushan

Shabe Tarikiyon Me Jab Muskuraaye Sarwar E Aalam
Janab E Ayesha Ka Aashiyana Ho Gaya Roushan

Shabe Asra Ke Doola Raat Jab Aaye Mere Ghar Par
Qadam Unke Pade Mera Gharana Ho Gaya Roushan

Tufail E Aala Hazrat Ghause Azam Ki Mili Nisbat
Mere Fikr O Amal Ka Aastana Ho Gaya Roushan

Hui Sarkar Ki Aamad Zamana Ho Gaya Roushan Lyrics In Hindi

हुई सरकार की आमद ज़माना हो गया रौशन
ज़मीन ओ आसमां का कारखाना हो गया रौशन

रबीउन्नूर में जब नूर का बांटा गया सदक़ा
ज़मी चमकी फ़लक का शामियाना हो गया रौशन

शबे तारीक में जब मुस्कुराये सरवर ए आलम
जनाब ए आयशा का आशियाना हो गया रौशन

शबे असरा के दूल्हा रात जब आये मेरे घर पर
क़दम उनके पड़े मेरा घराना हो गया रौशन

तुफ़ैल ए आला हज़रत ग़ौसे आज़म की मिली निस्बत
मेरे फ़िक्र ओ अमल का आस्ताना हो गया रौशन

Hui Sarkar Ki Aamad Zamana Ho Gaya Roushan Lyrics In Urdu

ہوئی سرکار کی آمد زمانہ ہو گیا روشن
زمین و آسماں کا کارخانہ ہو گیا روشن

ربیع النور میں جب نور کا بانٹا گیا صدقہ
زمی چمکی فلک کا شامیانہ ہو گیا روشن

شبِ تاریک میں جب مسکرائے سرورِ عالم
جنابِ عائشہ کا آشیانہ ہو گیا روشن

شبِ اسرا کے دولہا رات جب آئے میرے گھر پر
قدم ان کے پڑے میرا گھرانہ ہو گیا روشن

طفیلِ اعلیٰ حضرت غوثِ اعظم کی ملی نسبت
میرے فکر و عمل کا آستانہ ہو گیا روشن

Leave a Comment