MERE DIL MEIN HE YAAD-E-MUHAMMAD NAAT LYRICS || Barkate Raza

Ye pyaari naat e pak Mere Dil Mein He Yaad-E-Muhammad aqa e do jahan ki mohabbat aur unki chahat ka ek sacha izhaar hai. Is mubarak kalam ke zariye hum apne dilon ko yaad-e-mustafa se munawwar karte hain aur unki bargah-e-aqdas mein apni aqeedat pesh karte hain. Aaiye is pakiza kalam ke khoobsurat alfaaz se apne imaan ko taaza karein aur nabi e kareem ki madah sarayi ka sharaf hasil karein.

Naat Information Details
Naat Title Mere Dil Mein He Yaad-E-Muhammad
Poet / Writer Sikandar Lakhnawi
Category Naat Shareef
Naatkhawan / Reciter Alhaaj Khursheed Ahmed

Naat Lyrics in Roman

Mere Dil Mein He Yaad-E-Muhammad
Mere Ho’ton Pe Zikr-E-Madinah

Tajdaar-E-Haram Ke Karam Se
Aagaya Zindagii Ka Qareena

Mein Ghulaam-E-Ghulaamaan-E-Ahmad
Mein Sag-E-Aastaan-E-Muhammad

Qaabil-E-Fakhar He Mawt Mere
Qaabal-E-Rashk He Mera Jeena

Har Khataa Par Mere Chashm Poshi
Har Talab Pe Ataaon Ki Baarash

Muj Gunahgaar Pe Kis Qadar Hein
Mehrbaan Tajdaar-E-Madinah

Dil Shakasta He Mera To Kya Gham
Is Mein Rehte Hae Shah-E-Doh Aalam

Jab Se Mehmaan Huwe Hein Wo Dil Mein
Dil Mera Ban Gayaa Hein Madinah

Mujh Ko Tuufaan Ki Mojuun Ka Kyaa Gham
Wo Guzar Jaaye Gaa Rukh Badal Kar

Na Khuda Hein Mere Jab Muhammad
Kese Duube Gaa Mera Safeena.

Naat Lyrics in Hindi

मेरे दिल में है याद-ए-मोहम्मद
मेरे होठों पे ज़िक्र-ए-मदीना

ताजदार-ए-हरम के करम से
आ गया ज़िन्दगी का क़रीना

मैं ग़ुलाम-ए-ग़ुलामान-ए-अहमद
मैं सग-ए-आस्तान-ए-मोहम्मद

क़ाबिल-ए-फ़ख़्र है मौत मेरी
क़ाबिल-ए-रश्क है मेरा जीना

हर ख़ता पर मेरी चश्म पोशी
हर तलब पे अताओं की बारिश

मुझ गुनहगार पे किस क़दर हैं
मेहरबान ताजदार-ए-मदीना

दिल शिकस्ता है मेरा तो क्या ग़म
इस में रहते हैं शाह-ए-दो आलम

जब से मेहमान हुए हैं वो दिल में
दिल मेरा बन गया है मदीना

मुझ को तूफ़ान की मौजों का क्या ग़म
वो गुज़र जाएगा रुख़ बदल कर

ना ख़ुदा हैं मेरे जब मोहम्मद
कैसे डूबेगा मेरा सफ़ीना

Naat Lyrics in Urdu

میرے دل میں ہے یادِ محمد
میرے ہونٹوں پہ ذکرِ مدینہ

تاجدارِ حرم کے کرم سے
آ گیا زندگی کا قرینہ

میں غلامِ غلامانِ احمد
میں سگِ آستانِ محمد

قابلِ فخر ہے موت میری
قابلِ رشک ہے میرا جینا

ہر خطا پر مری چشم پوشی
ہر طلب پر عطاؤں کی بارش

مجھ گناہ گار پر کس قدر ہیں
مہربان تاجدارِ مدینہ

دل شکستہ ہے میرا تو کیا غم
اس میں رہتے ہیں شاہِ دوعالم

جب سے مہماں ہوئے ہیں وہ دل میں
دل مرا بن گیا ہے مدینہ

مجھ کو طوفاں کی موجوں کا کیا غم
وہ گزر جائے گا رخ بدل کر

ناخدا ہیں مرے جب محمد
کیسے ڈوبے گا میرا سفینہ

2 thoughts on “MERE DIL MEIN HE YAAD-E-MUHAMMAD NAAT LYRICS || Barkate Raza”

Leave a Comment