Badi Shaan Waala Madine Ke Waali Ek Nihayat Hi Roohani Aur Intehayi Mashhoor Naat-E-Pak-E-Rasool-E-Maqbool Hai. Is Mubarak Kalam Ke Shayer Janab Muhammad Ali Zuhoori Sahab Hain, Jinhone Nihayat Hi Pyare Aur Dilkash Andaaz Mein Sarkar-E-Do-Alam Ki Azmat Aur Bargah-E-Aqdas Ki Barkaton Ka Zikr Kiya Hai. Niche Is Haseen Kalam Ke Mukammal Lyrics Roman, Hindi Aur Urdu Mein Mulahiza Farmayein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Badi Shaan Waala Madine Ke Waali |
| Poet / Writer | Muhammad Ali Zuhoori |
| Category | Naat Sharif |
| Naatkhawan / Reciter | Rahat Fateh Ali Khan[1] |
| Book Name | Barkate Raza Naat Book |
Badi Shaan Waala Madine Ke Waali Lyrics In Roman
Badi Shaan Waala Madine Ke Waali
Bade Se Bada, Jin Ke Dar Ke Sawali
Farishte Bhi Meri, Jabeen Choomte Hain
Mein Jab Choomloon Unke Roze Ki Jaali
Jahan Mein Anokha, Hai Unka Madina
Zamaane Mein Hain, Unki Choukat Nirali
Mile Unki Rehmat Ki Khayraat Sabko
Geya Koi Bhi Unke Dar Se Na Khaali
Kahan Yeh Huzoori, Kahan Mein Zuhoori
Mein Adna Se Adna, Wo Aali Se Aali
Badi Shaan Waala Madine Ke Waali Lyrics In Hindi
बड़ी शान वाला, मदीने के वाली
बड़े से बड़ा, जिन के दर के सवाली
फ़रिश्ते भी मेरी, जबीं चूमते हैं
मैं जब चूम लूँ उनके रोज़े की जाली
जहाँ में अनोखा, है उनका मदीना
ज़माने में है, उनकी चौखट निराली
मिले उनकी रहमत की ख़ैरात सबको
गया कोई भी उनके दर से न खाली
कहाँ ये हुज़ूरी, कहाँ मैं ज़ुहूरी
मैं अदना से अदना, वो आली से आली
Badi Shaan Waala Madine Ke Waali Lyrics In Urdu
بڑی شان والا، مدینے کے والی
بڑے سے بڑا، جن کے در کے سوالی
فرشتے بھی میری، جبیں چومتے ہیں
میں جب چوم لوں ان کے روضے کی جالی
جہاں میں انوکھا، ہے ان کا مدینہ
زمانے میں ہے، ان کی چوکھٹ نرالی
ملے ان کی رحمت کی خیرات سب کو
گیا کوئی بھی ان کے در سے نہ خالی
کہاں یہ حضوری، کہاں میں ظہوری
میں ادنیٰ سے ادنیٰ، وہ عالی سے عالی