Bas Meri Nigahon Mein Qasr E Shah E Aali He Ek Nihayat Hi Roohani, Pyari Aur Dil Ko Choo Lene Wali Naat-E-Pak-E-Rasool Hai. Is Mubarak Kalam Ke Shayer Aur Reciter Janab Qari Ahsan Mohsin Sahab Hain Jinhone Bare Hi Haseen Andaaz Mein Sarkar-E-Do-Alam Ki Azmat Aur Gumbad-E-Khazra Se Sachi Aqeedat Ka Izhar Kiya Hai. Niche Is Haseen Kalam Ke Mukammal Lyrics Roman, Hindi Aur Urdu Zabaan Mein Mulahiza Farmayein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Bas Meri Nigahon Mein Qasr E Shah E Aali He |
| Poet / Writer | Qari Ahsan Mohsin |
| Category | Naat Sharif |
| Naatkhawan / Reciter | Qari Ahsan Mohsin |
| Book Name | Barkate Raza Naat Book |
Bas Meri Nigahon Mein Qasr E Shah E Aali He Lyrics In Roman
Bas Meri Nigahon Mein Qasr E Shah E Aali Hai
Unka Sabz Gumbad Hai Aur Sunheri Jaali Hai
Aapke Tajallee Se Her Koi Mujallaa Hai
Zaat E Mustafaa Kee Bee Roshnee Niralee Hai
Ummat E Muhammad Kee Azmatoan Ka Kia Kehna
Koi Bu Haneefa He Or Koi Ghazalee He
Hazrat E Sumaeeya Ne Raah E Haq Me Jaan De Kar
Saree Maaon Behnoan Kee Abroo Bacha Lee He
Ae Haleema Daee Tu Kitnee Khush Muqaddar He
Tere Goad Ka Bacha Do Jahaan Ka Walee He
Baada Kash Bee Saqee Bee Shaah Bhee Bhikaree Bhee
Aap K Dareechay Ka Her Koi Sawalee He
Be Naseeb Aankhoan Me Ashk E Pur Nadaamat Hain
Kyu K Daman E Mohsin Ashqee Se Khalee He
Bas Meri Nigahon Mein Qasr E Shah E Aali He Lyrics In Hindi
बस मेरी निगाहों में क़स्र-ए-शाह-ए-आली है
उनका सब्ज़ गुम्बद है और सुनहरी जाली है
आपके तजल्ली से हर कोई मुजल्ला है
ज़ात-ए-मुस्तफ़ा की भी रोशनी निराली है
उम्मत-ए-मुहम्मद की अज़मतों का क्या कहना
कोई बू हनीफ़ा है और कोई ग़ज़ाली है
हज़रत-ए-सुमैय्या ने राह-ए-हक़ में जान दे कर
सारी माओं बहनों की आबरू बचा ली है
ऐ हलीमा दाई तू कितनी ख़ुश मुक़द्दर है
तेरे गोद का बच्चा दो जहाँ का वाली है
बादा कश भी साक़ी भी शाह भी भिकारी भी
आपके दरीचे का हर कोई सवाली है
बे नसीब आँखों में अश्क-ए-पुर नदामत हैं
क्यूँकि दामन-ए-मोहसिन आशिक़ी से ख़ाली है
Bas Meri Nigahon Mein Qasr E Shah E Aali He Lyrics In Urdu
بس میری نگاہوں میں قصرِ شاہِ عالی ہے
ان کا سبز گنبد ہے اور سنہری جالی ہے
آپ کی تجلی سے ہر کوئی مجلیٰ ہے
ذاتِ مصطفیٰ کی بھی روشنی نرالی ہے
امتِ محمدؐ کی عظمتوں کا کیا کہنا
کوئی بو حنیفہ ہے اور کوئی غزالی ہے
حضرتِ سمیہ نے راہِ حق میں جان دے کر
ساری ماؤں بہنوں کی آبرو بچا لی ہے
اے حلیمہ دائی تو کتنی خوش مقدر ہے
تیرے گود کا بچہ دو جہاں کا والی ہے
بادا کش بھی ساقی بھی شاہ بھی بھکاری بھی
آپ کے دریچے کا ہر کوئی سوالی ہے
بے نصیب آنکھوں میں اشکِ پُر ندامت ہیں
کیوں کہ دامنِ محسن عاشقی سے خالی ہے