Hakeem-Ul-Ummat Hazrat Mufti Ahmed Yar Khan Naeemi Ki Likhi Gayi Yeh Maqbool Aur Purnoor Naat Sharif Azmat-E-Mustafa Ka Aina Hai. Is Kalam Mein Huzoor Ke Noor-E-Haq Aur Unke Jalwa-Numa Hone Ka Nihayat Hi Khubsoorat Bayan Kiya Gaya Hai. Aaiye Is Ruhani Kalam Ke Barkat Se Bhare Ash’aar Ko Padhein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Noor E Haq Jalwa Numa Tha Mujhe Maloom Na Tha |
| Poet / Writer | Mufti Ahmed Yar Khan Naeemi (Takhallus: Salik) |
| Category | Urdu Naat Sharif |
| Naatkhawan / Reciter | Alhaj Owais Raza Qadri |
| Book Name | Deewan-e-Salik |
Noor E Haq Jalwa Numa Tha Mujhe Maloom Na Tha Lyrics In Roman
Noor E Haqq Jalwa Numa Tha, Mujhe Maaloom Na Tha
Shakal E Insaan Mein Chhupaa Thaa, Mujhe Maaloom Na Tha
Baarhaa, Jis Ne Kaha Tha “Ana Basharun” Us Ne
“Man Ra’Anii” Bhii Kaha Tha, Mujhe Maaloom Na Tha
Bakriyaan Jis Ne Charaa’Ii Theen Halima Terii
‘Arsh Par Vohii Gyaa, Mujhe Maaloom Na Tha
Jis Ne Ummat Keliye Ro Kay Guzaareen Raatein
Voh Hii Mahboob E Khuda Tha, Mujhe Maaloom Na Tha
Chaand Ashaaray Se Phatta, Hukm Say Sooraj Lotaa
Mazhar E Zaat E Khuda Tha, Mujhe Maaloom Na Tha
Dekha Jab Qabr Mein Uss Pardah-Nasheen Ko Tau Khulaa
Dil-E-Salik Mein Rahaa Tha, Mujhe Maaloom Na Tha
Noor E Haq Jalwa Numa Tha Mujhe Maloom Na Tha Lyrics In Hindi
नूर-ए-हक़ जल्वानुमा था, मुझे मालूम ना था
शक्ल-ए-इंसान में छुपा था, मुझे मालूम ना था
बारहा, जिसने कहा था “अना बशरुन्” उसने
“मन रआनी” भी कहा था, मुझे मालूम ना था
बकरियां जिसने चराई थीं हलीमा तेरी
अर्श पर वोही गया, मुझे मालूम ना था
जिसने उम्मत के लिए रो के गुज़ारीं रातें
वो ही महबूब-ए-ख़ुदा था, मुझे मालूम ना था
चाँद इशारे से फटा, हुक्म से सूरज लौटा
मज़हर-ए-ज़ात-ए-ख़ुदा था, मुझे मालूम ना था
देखा जब क़ब्र में उस पर्दा-नशीं को तो खुला
दिल-ए-सालिक में रहा था, मुझे मालूम ना था
Noor E Haq Jalwa Numa Tha Mujhe Maloom Na Tha Lyrics In Urdu
نورِ حق جلوہ نما تھا، مجھے معلوم نہ تھا
شکلِ انسان میں چھپا تھا، مجھے معلوم نہ تھا
بارہا، جس نے کہا تھا “انا بشرٌ” اس نے
“من رآني” بھی کہا تھا، مجھے معلوم نہ تھا
بکریاں جس نے چرائیں تھیں حلیمہ تیری
عرش پر وہی گیا، مجھے معلوم نہ تھا
جس نے امت کے لیے رو کے گزاریں راتیں
وہ ہی محبوبِ خدا تھا، مجھے معلوم نہ تھا
چاند اشارے سے پھٹا، حکم سے سورج لوٹا
مظہرِ ذاتِ خدا تھا، مجھے معلوم نہ تھا
دکھا جب قبر میں اس پردہ نشیں کو تو کھلا
دلِ سالک میں رہا تھا، مجھے معلوم نہ تھا_
Mashallah